جمعرات, اکتوبر 17, 2013

Awaraan, Baluchistan: Relief efforts for the earthquake victims (Work report - 1)

Awaraan, Balochistan, Pakistan:

Most effected area by the Earthquake September, 2013.

Muhtram Doston,
Assalam O Alikum.

Awaraan main first day:

Guzishta raat jab hum awaraan puhanche tu hum ko yahan ke Halaat ka koi behtar andaza nahi ho saka tha, magar ab jab subha hoi tu hum ko zalzale (earthquake) se hone wali tabahi aur nuqsan ka buhat behtr andaza ho raha tha, lag bhag sara city he tehes nese (barbaad) ho chuka he, loog edher udher bhage dore phir rahe hain, kisi ko apne piyaron ki parwa hay aur koi apne aur apne ghar walon kay liye jo zalzale se bach gaiye hain ke liye nai panah gaah talash kar raha hay. Balochistani culture bhi ajeb hay, yahan kay log dosre elaqon se aane wale logon ko ajnabi samjh rahe hain, maddad chahte bhi hain magar maddad karne walo par shak bhi kar rahe hain. Gawadar se Awaraan, Balochistan ke raste main hum ko buhat mushkilat ka samna karna para hum ko bar bar yehi kaha jata raha hay kay Awaran jana buhat bara khatrahay, Awaraan main security kay buhat issueshain. kuch shidat pasanad, dhehshat gar hum ko nuqsan bhi puhancha sakte hain. Lekin hum ALLAH ko he apna hafiz mante hain aur ALLAH hehumari hifazat karne wala hay, Humare yahan (Awaraan) anne ka maqsad sirf aur sirf apne baloch bhai behnon aur bachon ki kuch maddad karna hay issi wajha say hamara Iman aur mazboot aur pukhta hay. mere sath meri relief team main shamil tmmam dost o ahbab bhi mazboot iradon kay malik hain, hum sab nai kisi bhi qisam ki dhamki ya pareshani ka shikar na hone ka fesla kia aur sirf apne relief kay kamon par he tawaja day rahe hain. Haan hum ko bar bar pata nahi kiun yeah ahsas zaroor hota jaa raha hay kay jese hum Pakistan main nahi balke kisi aur mulk main agai hain woh bhi shayad ghair khanooni tareqe say. Jabke hamari maloomat kay mutabiq Awaraan, Balochistan ka aik earthquake effected area hay aur Islamic Republic of Pakistan ka hisa hay. Hum bhi Pakistani hain aur pareshan haal logon ke maddad kay kaam say yahan tak aye hain, hum ne apne gharon ko chora hay, apne aram ko apni nokri ko aur apne ghar walon ko umid dilai hay kay hum aik naik maqsad kay liye jaa rahe hain. Tu phir darna kesa? wese bhi hum ko yahan konsa umar bhar bethna hay, jo bhi imdadi saman (relief goods) hum ne Karachi main jama kari thi wu sab yahan (Awaraan) kay earthquake victims ko bahtar say bahtar tariqe say de kar wapas apne gharon ko rawana ho jana hay.

Relief work's in Awaraan, Balochistan:
Buhat he ziada afsoos aur nadamat hoi yeah dekh kar kay sirf muqami loog aur Pakistani forces kay kuch loog he earthquake victims ki maddad kay liye yahan mojood hain. aaj ka sara din hum ne sirf servey karne main guzara, Iss servey main hum ne pori koshish kari kay buhat he ziada mutasir (earthquake victims) ko he hamara imdadi saman mil sake. Awaraan city main tu loog aik dosre ki maddad kar he rahe hain magar yahan sab say bara masla peene kay saaf pani (drinking water) ka hay yahan kahi bhi peene ka saaf pani abhi tak mojood nahi hay. Hum apne sath jitna pani (mineral water for drinking) laye hain wu tu yahan ke logon main se sirf kuch ke he piyas bujha sakta hay.

Jub hamari amad ki itila logon tak puhanchi tu hamare say milne buhat sare loog agaye aur apne apne masail batane lage aur apni zaroort say agah karne lage, Aksar logon ne hum say shikayat bhare lehje main kaha ke kia hum insan nahi hain? kia hum Pakistani nahi hain jo humari maddad nahi ke jaa rahi? humare pass in logon ke kisi bhi sawal ka koi jawab nahi hay. Hum sirf itna jante hain kay jo kuch hum kar sakte hain, humari hesiyat aur himat hay woh hum kar rahe hain. Pakistan aur Dunya main rehne wale Baqi Insan khaas kar musalmanon (muslims) kia kar rahe hain yeah har insan ka apna apna faith aur Iman hay. Hum sirf yehi dua kar sakte hain kay ALLAH tmam insanon ko aik dosre ki maddad karne ki toufeq aur hidayat de - Ameen. (Magar shayad main ne kahi parha hay ya kisi say sunna hay kay Hidayat bhi unhi ko milti hay jo hidayat ka talabgaar hota hay).

Hum ko buhat sare kaam karne hain. Pani ki taqseem sab say mushkil aur time taking work hay. Hum ne aik dafa phir Awaraan ka muqami hospital kay kuch doctors say baat kari jinhon nay hum ko bataya kay Awaraan main koi darya, koi jheel (lake) ya pani stock karne ka proper intizam nahi hay jaha say pani hasil kia ja sake, sirf barish kay pani ko he jama kar kay loog apni zindagi guzarte hain. Yeah bhi buhat mushkil baat hay. Hospital main he hum ko kuch muqami logon ne bataya kay Awaraan se ziada nuqsan Awaarn ke janobi elaqo aur maghribi elaqo main howa hay jahan pore kay pore gaon, dehat (villages) khtam ho gaye hain, Jani nuqsan ka tu koi andaza nahi hay magar maali nuqsan buhat ziada hay, logon kay paas ghizai ajnaas, pani waghera ka jo bhi stock hay wou sab he khatam ho chuka hay. Iss par aksar loog apne elaqon se Awaran city ki taraf aane kay liye tayar nahi hain, iss main kuch yahan ka culture aur kuch logon ko bache kuche maal ke lut jane ka khtra hay, iss kay elawa yahan koi siyasi ya hakomti nizam mojood nahi hay, jis kay zariye logon ki koi maddad ya daad rasi ho sake. Awaraan, Balochistan kay un elaqon main hay jahan Qabaili nizam (Trible system) chalta hay, Elaqe ka koi bara jagerdar, ya wadera he yahan ke logon ki qismat ka fesla karta hay, wohi wadera yahan ka hakim hay, wohi wadera yahan ka nizam e hakoomat hay, wohi wadera yahan mushkil main ghire pareshan haal logon ke liye ummid hay, jesa wu chahe gaa wesa he hoga. Yahan ye bhi likh don kay, hum ko bhi yahan kay aik buhat bare wadere sahab (naam nahi likh sakta, kiu kay hum ko yahan abhi shayad kuch din aur kaam relief work karna pare) ne apne karindon kay zariye rabita kia aur hum ko kaha gaya kay hum jo bhi imdadi saman laye hain wu un tak puhancha dain aur jo bhi maddad (relief work) karna chahte hain un kay zariye he karen. jis par hum sab voluteer sathiun ne mil bethne ka fesla kia aur in halat par tafsili baat karne ka kaha k abi kia karna hay?

Sham tak hum apne servey aur muqami logon se mulaqat kar kay farigh ho chuke thy, Awaraan, may he hum ko kuch loog mile jinhon ne hum ko yeah bataya kay Awaraan kay degar elaqon main halaat buhat kharab hain, loog bhook aur piyas ka shikar hain, Muqami loog apne khandan walon ko kisi sorat wahan kay logon ko apne elaqon se bahar nikalne kay liye tayar nahi hain. (Iss main buhat bara kirdar muaqmi waderon ka hay) yahan ke wadere yahan kay badshah hain jo sirf apni marzi chalate hain aur kisi sorat nahi chahte kay inn elaqon kay loog yahan say kahi bahar niklen bahar ki dunya ko dekhne kuch shaoor hasil karen aur kahi esa na hoo kay phir in waderon ki hakomat ko khatra ho jaye, wese bhi jab aik insan kay hath main kisi bhi qisam ka hahtyar ho tou sharef insan khud ko majboor aur bebas mehsoos karta hay.

Hum sabhi doston ne yehi fesla kia kay kisi bhi sorat ghar khanooni dabao ka shikar nahi hona hay, aur kisi bhi qisam ki dehshat ka muqabla apne Imaan aur apne mustahkam iradon say karna hay aur agar humara yahan falahi kaam karna mushkil howa ya hum ko roka gaya tu hum foran yahan se wapas chale jaiye ge.

Raat tak hum apni calculations se farigh ho chuke thy, ham apne liye kisi bhi qisam ka khana pene ka saman nahi laye thy socha tha kay jo kuch hum Awaraan kay logon ko dain ge ussi main se hum bhi khaen gay wese bhi hum yahan kisi bhi qisam ki outing ya picnin kay liye nahi aye thy aur hamara zamer bhi yeah kisi sorat gawara nahi kar sakta tha kay hum yahan ke logon ko tu bhoka dekhen aur khud apne liye kisi qisam kay khaas khane ka intizam karen.

Muqami hospital kay doctors aur kuch logon kay sath mil kar hum sab nay apne liye khane ka intizam kia. aur jo bhi hasil howa ALLAH ka shukr ada kar kay khaya. subha kay liye intizam kia kay hum ko kis tarha say apna relief ka kaam shuro karna hay, Hum Karachi say yahan sirf 3 din kay liye aye thy aur yehi plan kia tha kay hum sab se pehle koshish karen gay kay apne sath laye gaye pani ki frahmi shuro kar den. magar abhi tak kuch samjh nahi araha tha kay kaha say apna kaam shuro karen. kiun kay yahan tu har insan ko maddad ki zarooarat thi. Muqami logon kay mashore aur halat ko dekhte howe hum ne fesla kia kay humare tmam dost (volunteers) subh 2 teams banain ge.
Pehli team ka kaam hoga apne sath laye gaye saman ko tarteb dena aur hisab kitab rakhna aur dosri team field work main nikle ge. hum apne oper jitna bhi imdadi saman laad sakte hain ladne ki koshish karen ge aur agar kuch muqami logon ne sath diya tu jitna door tak jaa sakte hain jaiye ge aur Imdadi saman ki taqseem shuro karen ge, Apne sath lai gai medicines kay liye hum ne yeah fesla kia tha kay iss medicines ko le kar hum muqami hospital kay doctors kay sath mill kar aik free medical camp lagain ge aur agr kuch medicines bach jati hain tu wu muqami hospital ki management kay hawale kar di jaen ge.

Main khud guzishta kuch barson se Flahai aur Imdadi kamon ka hissa raha hon, Flood kay baad, Earthquacke 2005 kay baad say le kar aaj tak jo kuch bhi sekha tha aaj un sab imtihanat ko samne rakhna tha, jo kuch sekha tha uss sab ki azmaish ka waqt tha. Main ne bari mushkil se yeah imdadi team banai thi aur Imdadi saman ko yahan tak puhanchaya tha. Main jb bhi himat harta yaa khud ko thaka howa mehsoos karta tu Mere aziz dost jo aaj tak kisi na kisi tarha falahi kamon ko sar anjaam de rahe hain un ki kuch baton ko yaad karta.
"Mushkil taren waqt aur halaat main yeah na dekho kay kon kia kar raha hay? balke yeah dekho kay tum kia karsakte hoo aur kia kar rahe hoo, apne iradon ko pukhta rakho, ALLAH par bharosa rakho aur apne maqsad kay hasool kay liye lag jao, Pher dekhna ALLAH tumhari maddad kese karta hay."
Aur yeah bhi ek haqeqat hay kay ALLAH ne kisi na kisi tarha hum ko mushkil wqat aur halat se nikala hay. sirf Irada aur yaqen pakka aur mustahkam hona he chahiye. Main jiss had tak apne sathiun aur doston ko umid dila sakta tha dilae aur subh ka intizar karne lage. Kisi bhi falahi ya imdadi kaam ke doran yeah shayad pehla moqa tha jab hum ko muqami kisi bhi qisam ki madad hasil nahi hay, naa he hamare pass Karachi main mojood hamare doston aur family walon se kisi bhi tarha ka rabita (contact) karne ka koi rasta nazr araha hay. aur yehi iss waqt hamari sab se bari kamzoori thi. Hum ko yahan ek din guzar kar buhat achi tarha ahsas ho chuka tha kay Pakistani idare (organizations) jis ko hum sab N.D.M.A (National Diseaster & Management Authority) kehte hain wu khud shayad kisi Disaster ka shikar hu chuki hay. Jab hum Karachi main thy tu calculation udate tu arahi thi magar yeah N.D.M.A naami bala kar kia rahi hay yahan akar pata chala. Mujhe ya mere sathiun ko tu yahan aane ke baad ek bhi karkun N.D.M.A ka nahi milla. Ek aur baat jo sab se alag thi kay hum ko yahan Pakistani naami girami media kahi nazar nahi araha tha. Shayad yahan ki news ya halaat ko dikhana bhi in ki kisi policy ka hissa hogga. Kher, wohi baat kay yeah na dekho kon kia karta hay, yeah dekho kay hum kia kar rahe hain. Hum subh ka intizar kar rahe hain.

Garmi apne arooj par hay, Muqami hospital kay aik taraf bahar hamara imdadi saman (Relief goods) rakhi gai hain, essi kay samne khule asman ke neche hum sab dost aram karne jesa jis ko saholat hoo rahi hay bethe aur lete hain. main yeah sab likh raha hon aur ALLAH se dua kar raha hon kay hum ko Izat kay sath aur hifazat kay sath hamare imdadi kamon ko mukamal karne main hamari maddad kare - Ameen.