جمعہ, اکتوبر 04, 2013

Relief efforts for the Earthquake victims of Baluchistan, Pakistan

Respected Brother's and Sister's,

Assalam O Alikum,

Al Hamd Ul ALLAH, I'm in Karachi and preparing myself to move with a few of Aid for my brothers and sisters who are effected by the last Earthquake in Awaraan, Baluchistan, Pakistan.

Main ALLAH Pak ka fazl o karam se Karachi agaya hon aur Insha ALLah buhat jald Awaraan, Baluchistan rawana hoo raha hon, jahan mere dost aur sathi karkunan apni hesiyat aur bisaat ke mutabiq zalzale se mutasira apne bhai behnon ki maddad karne ki pori koshish kar rahe hain.

Mera Karachi buhat kafi waqt kay baad ana howa hay, karachi buhat badal gaya hay, log shayad is ko jidat ka naam dete hain magar main is ko samaji tabdili kaa naam don gaa, guizshta raat se ab tak main buhat logon say mila hon jin main mere dost family members aur kuch degar afrad shamil hain magar afsoos kay sab kay sab life ki race main aagai barhne ki koshish main lage howe hain iss baat ki kisi ko parwa nahi kay ALLAH Pak ne hum sab par kitna bara imtihan sabit kar diya hay aur aik muslim ki hesiyat se hum sab ko is imtihan main kamyab hone ki pori koshish karni hay. ALLAH Pak hum sab ko hidayat atta farmaye - Ameen.

Muhtrm doston,
Main Insha ALLAH aaj ya kal he Awaraan, Baluchistan kay liye rawana hoo raha hon, aaj sham tak main apne se jo bhi imdadi saman jama kar saka aur jo kuch mere doston, family walon aur degar ahbab ne maddad kari le kar rawana ho jaon gaa. Main aur mere sathi yeah baat buhat achi tarhan jante hain kay jo imdadi saman hum ne jama kia hay wu buht kam hai magar main ALLAH Pak ka shukr ada karta hon kay hum ne apni koshish kari aur kar rahe hain. ALLAH Pak hi hamari mehnat ko qabool karne wala behtren malik hay, Ameen.

Main ek dfa phir apne tamam doston, sathiun, parhne walon se appeal karta hon, guzarish karta hon, kay mushkil aur afat main mubtila apne Pakistani bhai behnon ko apni duaon main yad rakhen aur apne toor par kuch na kuch maddad zaroor karen, Aaj shaam tak Insha ALLAH Awaraan, Baluchistan main mojood mere dost aur karkunan wahan kay halat se mujh ko aagah kar den gaih jiss sai main aap sab ko zaroor agah karon gaa.

ALLAH Pak hum sab ko himat, sabr, hosla atta farmaye aur iss dunya ki zindagi kay sath sath akhirat ki zindagi ko bhi behtr say behtr bnane ki toufeeq atta farmai - Ameen.

Humari behan Syeda Faryal Zehra jo kay Canada main muqeem hain un say aaj hi rabita mumkin ho saka hay aur unhon ne bhi pori yaqeen dihani karwai hay kay buhat jald wu khud Pakistan main mojood hongi aur Baluchistan ke zalzale se mutasir bhai behnon kay liye falahi kamon main hisa lain gi. ALLAH Pak qabool karne wala hay, Ameen.

Jazak ALLAH
Aap ka bhai
Syed Adnan Ali Naqvi

P.S: agar aap Awaraan, Baluchistan kay zalzala zadgan (earthquake victims) ki maddad Team Ashiyana aur hamare karkunan ki maddad se karna chahte hain tou hum se rabita karen,
s_adnan_ali_naqvi@yahoo.ca
mansoorahmed.aaj@gmail.com
faryal.zehra@gmail.com

+92 333 342 6031
+92 345 297 1618