جمعہ, اکتوبر 11, 2013

Karachi to Awaraan, Baluchistan (Relief efforts for the Baluchistan earthquake victims)


Muhtram Doston,

Assalam O Alikum,

Awaraan, Baluchistan main Earthquake victims ke relief work main gai hoye hamare doston main se kuch dost wapas Karachi agaye hain aur unhon naih apne safar aur Awaraan, Baluchistan main jari relief work kay bare main joo kuch bhi dekha aur kia wou hum yahan aap kay sath share kar rahe hain.

Words written by a volunteer of friends team from Awaraan, Baluchistan. Pakistan.

Gizishta month (September 2013) ke akhir main Baluchistan aur Pakistan ke degar elaqon main Zalzale (earthquake) ke shaded jhatke mehsoos kiye gaiye, Karachi main apne office D.H.A main bhi hum ne zamin ko larzte dekha. Al Hamd Ul ALLAH, Karachi samet degar bare sheher holnaak tabahi se mehfooz rahe.
Magr Baluchistan ke District Awaraan main shaded tabahi hoi. Awaraan city almost tabah ho chuka hay jo buildings tabahi se mehfooz rahi hain in ki khasta haali ke sabbab koi in main rehne ko tayar nahi.

Main aur mere kuch doston ne mil kar apne toor par Zalzale (earthquake) se mutasira apne Balochi bhai behnon ki maddad karne ka irada kia, apne ghar walon, aziz o aqarib, aur doston se mashora karne ke baad hum ne intihai zaroori (most rquired items) ki list banai, jin main sb se ziada importance peene ke saaf pani ke intizam ko di gai degar main kuch ghizai ajnas jin main buscuits, chips, weafers waghera ko rakha gaya aur akhir main adwiyat (Medicines) ke intizam ka fesla kia gaya.

Hum sab doston ne apne apne toor par funds jama kiye phir hum ne apne ghar walon, doston, padosiun (neighbors) se mulaqaten karen aur apne maqsad se agah kiya, aur jis jis ne huamari jese bhi maddad karna chahi kari ya jo koi cheez (relief item) hum ko de sakte thy hum ko diya. Kuch logon ne hum ko duain bhi din aur esi main apna farz pora kiya aur bhalai samjhi, Hamare liye yeh duain bhi buhat ahmiyat rakhti hain. 
Jo saman hum ne kuch dinon main jama kia is ki tafseel kuch is tarha se hay.

Cash Amount:
Rs. 60,000/= (Sixty thousands "Pak Ruppee")

Drinking Water:
2000 liter (Mineral water bottle's)

Food Stuff:
Biscuits, Chips, Wafers etc (Worth of Rs. 10,000/= Ten Thousands only)

Medicines:
Including medicines for infant, women, general and a few of antibiotics. (Worth of Rs. 50,000/= Fifty thousands only)

Clothes etc:
Hum log clothes waghera le kar jana nahi chahte thy mgr kuch doston ne hum ko used kapre aur kuch general items jese Candles, match box, soap waghera bhi diya jo hum ne bakhushi le lia aur is ko bhi imdadi saman (Relief goods) main rakh diya.

Hamare liye sab se mushkil kaam iss imdadi saman ko (relief goods) ko Awaraan, Baluchistan tak le jane ka tha, pehle hum ne kuch transporter hazrat se baat kari jin main se kuch ne tu bilkul mana kar diya aur jo hamara imdadi saman Awaraan, Baluchistan tak le jane ke liye tayar howe unhon ne buhat bari raqm mangi jis ke liye hamare pass funds available nahi thy. Pher hum na kuch N.G.O walon se bhi rabita kia magar hum ko koi tassali wala jawab nahi mila aksar N.G.O walon ko security ka problem tha aur kuch ko Govt ne Awaraan, Baluchistan main relief work karne ki ijazat nahi di thi. Jab hum apni tmaam koshishen kar chuke tu hum ne Peshawar main mojood Adnan bhai se rabita kiya jo kafi arse se akaele he mukhtalif qisam ki Imdadi aur falahi kamon main masroof hain. Adnan bhai ne humari pori baat sun kar hum se ek din ka waqt manga aur hum ko yaqen dilaya kay un se jo kuch bhi ho saka aur jese bhi wo hamari maddad kar sake zaroor karen ge. Esi raat Adnan bhai se ek dafa phir rabita howa jis per unhon naih Karachi main mojood ek transporter say baat karne kay liye kaha. hum ne foran he rabita kia aur phir kuch tafseelat par baten karne ke baad hum ko apna imdadi saman Awaraan, Baluchistan tak puhanchane kay liye hami bhar li gaiy, hum ne Adnan bhai ka shukriya ada kia aur un ko kaha kay agar wo kuch waqt nikal kar Awaraan, Baluchistan kay zalzala zadgan ki maddad ke liye jani wali hamari imdadi team ka hissa ban saken tu hum ko buhat khushi hogi, Adnan bhaai ne hum ko yaqen dialaya ke wou Ashiyana Camp ki masrofiyat se kuch waqt nikal kar hamari team main shamil hone ki pori koshish karen ge.

Karachi to Awaraan, Baluchistan via Gawadar.

Hum ne apne toor par apne imdadi saman ko tarteb de diya tha aur Gulshan Iqbal main mojood ek dost kay ghar main sara saman jama kiya gaya tha. jahan truck par yeah saman lada gaya, humara irada pehle esi truck kay sath jane ka tha magar doston aur degar logon ne mashora diya kay Baluchistan ke security ke halat buhat kharab hain tu alag rawana hon, pehle hum ko gawadar jana tha aur wahan say kisi bhi tarha koshish kar kay hum ko Awaraan jana tha. Hum sab dost du (2) teams main taqseem howe ek team ko raat ko nikalna tha dosri team ko subh rawana hona tha. (yeah qadam bhi hifazti toor par uthaya gaya tha)
Jis raat mere ko team A k sath rawana hona tha esi raat humari ek buhat aziz dost, hamari Behen Faryal Zehra ka phone Canada say aaya aur unhon nay bataya kay woh bhi hamari idmadi team ka hissa banne bht jald Pakistan arahi hain aur yeah unhon nain Adnan Bhaai say rabita hone kay baad kia hai. Wu kuch imdadi saman aur kuch funds bhi jama karne ki koshish kar rahi hain. Faryal baji ke iss fone se hamari himat bhat barh gai aur hum ne un ko bataya kay hum log tu rawana hoo rahe hain wu Pakistan ajaen aur agle trip par hamare sath rahen.

Hum log kisi bhi tarha say Gawadar tak tu puhanch gaiye magar yahan puhanch kar andaza howa aur hum ko bataya gaya kay yahan say Agaye Awaraan jana buhat mushkil kaam hay, jaga jaga security kay khatrat hain, millitiant logon ko kidnapped kar rahe hain, mar rahe hain, imdadi saman ko Awaraan tak nahi puhanchne de rahe hain. Hum ko hum se ziada huumare imdadi saman ki fiker hoi magar transporter se rabita karne par pata chala kay wu hum se pehle Gawadar puhanch chuka hay aur hamara imdadi saman Gawadar se truck par nahi balke chooti gadiun (small cabs) se Awaraan muntaqkhil kia jaa raha hay jis kay liye muqami logon ko munasib raqm (Amount) de gai hai aur un ki khidmat hasil ki jaa rahi hain. Yahi hum ne ek dafa phir Adnan bhaai se rabita kia jinhon ne hum ko muqami Security idaron ke office jane ka mashora diya aur un ke samne sari soorat e haal rakhne ka kaha. hum ne muqami logon se rabita kia un ko apne yahan (gawadar) anae ka maqsad bayan kia aur yahan mojood har insan ne hum ko yehi kaha kay aap apna Imdadi saman armed forces ke hawale kar ke wapas karachi chale jaen kiun kay agai (Gawadar se Awaraan, Baluchistan) tak kay halat buhat kharab hain. Magar hum apne mazboot irade se gharon se nikle thy hum ne bhi saaf keh diya kay hum khud Awaraan ja kar Imdadi kamon (relief work) karna chahte hain be shaak 2-3 din kay liye he sahi. iss par hamari himat aur hosle ko samne rakhte howe kuch security walon ne hum ko kaha ke humar Team B jo karachi se arahi thi kay humarah hum ko kisi bhi tarha Awaraan puhancha diya jae gaa. Hum ne sajda -e- shukar ada kia aur Karachi se aane wali team B ka intizaar karne lage. agli shaam jab Karachi se aane wale degar sathi bhi yahan aagai tu hum ne Gawadar se Awaraan kay liye nikalne ka fesla kiya aur muqami security kay idaron ko agah kia jis par hum ko Awaraan jane wale aik qafle main jaga de di gai.

Gawadar to Awaraan, Baluchistan.
Gawadar se hamara safar sham 6pm par start howa Gawadar tak tu sab kuch theek lag raha tha magar jese he hum agai barh rahe thy hum ko halat ki sangenin ka ahsas ho raha tha, har taraf ghup andhera aur sanata tha, hum jis qafle main shamil thy iss main chalne wali gadiyan kabhi apni roshinya open karti kabhi ban karti hum sab bilkul khamoosh thy aur buss dill he dill main ALLAH se madad mang rahe thy. pata nahi kiun aik anjana khoof dil main ata jaa raha tha kay agar kuch ghalat howa tu kia hoga. Magar Al Hamd Ul ALLAH hum log buhat hifazat aur kheriyat kay sath Awaraan puhanch gaiye jahan huamara istaqbal muqami hospital kay zimedaran ne kia. yeah log District hospital Awaraan kay loog thy jin ko hamare aane ke bare main hamare transporter sahiab ne bata diya tha. huamra kuch saman Awaraan, Baluchistan puhanch chuka tha jabke kuch saman raste main tha. hum ne ALLAH ka shukr ada kia aur district hospital ki imarat jo baqi reh gai thi dakhil howe wahan ka manzar buhat he holnak tha choota sa hospital tha jahan muqami doctors aur kuch armed forces ke loog zalzale se mutasira logo ke maddad karte nazr arahe thy. Hospital ke muntazimin nay hum ko jo kuch bataya uss ko sun kar hamari ankho main sirf ansoo thy. aur hum sab dost yehi soch rahe thy ke Karachi jese bare city se sirf kuch hours (ghanton) ke faslon per hone kay bawajood Awaraan aik esei jagaha ka manzar pesh kar raha tha kay jese hum log patharon kay zamane main agai hon. 

Safar ki thakan aur saman ki mukamal muntaqil ke hone tak hum sab doston ne yahi rukne ka fesla kia aur muqami logon ke hal poche aur hospital main muqami logon kay sath ghul mill gaiye. 

Awaraan, Baluchistan main hum ko abhi tak sab se bara masla communication ka hay, yahan koi mobile ntwork kaam nahi kar raha naa he internet ki saholat mojood hay jis ki wajha se humara Karachi main mojood hamare ghar walon se rabita mumkin nahi hay buss yehi alfaz jo hum aik report ke toor par aik register main likh rahe hain yehi hamara total communication hay.

Raat hum ne kisi bhi tarha guzari shadeed garmi aur habs tha. hospital main har taraf bachon ke rone aur bemaron ke karahne ki awazen arahi thi. Aur hum filhal khud ko kamzoor aur be bas mehsoos kar rahe thy, raat ki wajha se Awaran ki tabahi ka andaza karna thoda mushkil tha. hum ne fesla kia ke raat kuch aram kar kay subh taza dam ho kar apne Imdadi kam ko start karte hain aur hum sab doston ne apne aap ko mukhtalif kamo (relief work) ke liye teams bana kar taqsem kar lia. 

To Contact with our relief team in Awaraan or to help or any kind of the assistance for earthquake victims of Awaraan, Baluchistan, Pakistan please use the following link.
http://teamashiyana.blogspot.com 

زلزلہ: اقوام متحدہ کے امدادی کارکنان کو بلوچستان جانے سے روک دیا گیا

پاکستان نے اقوام متحدہ کے اداروں کو بلوچستان میں زلزلے سے متاثرہ علاقوں میں کام کرنے کی اجازت دینے سے انکار کردیا ہے اور منگل کو بذریعہ سڑک آواران روانگی کے لیے کراچی پہنچنے والے اقوام متحدہ کے امدادی اداروں کے ارکان کو روک دیا گیا ہے۔

دوسری طرف وزیر اعلٰی بلوچستان عبدالمالک بلوچ نے بی بی سی اردو سروس کو بتایا کہ صوبائی حکومت نے وفاقی حکومت سے مطالبہ کیا ہے کہ وہ زلزلے سے متاثرہ علاقوں میں لوگوں کی از سر نو آباد کاری کے لیے عالمی اداروں کو کام کرنے کی اجازت دیں۔
 
دریں اثنا صحت کے عالمی ادارے ڈبلیو ایچ او کے شعبۂ ایمرجنسی کے کوآرڈینیٹر ڈاکٹر فواد خان نے بی بی سی کو بتایا ڈبلیو ایچ او ، یونیسیف اور ورلڈ فوڈ پروگرام سمیت اقوام متحدہ کے تمام ہی اداروں کے نمائندے کوئٹہ سے کراچی پہنچے تھے اور یہاں سے انہیں بذریعہ سڑک آواران جانا تھا لیکن نیشنل ڈزاسٹر منیجمنٹ اتھارٹی نے انہیں اجازت نہیں دی، اس لیے مشن کو مؤخر کردیا گیا ہے۔
 
اقوام متحدہ کے یہ ادارے صحت، غذائیت، شیلٹر، خوراک اور واش کلسٹر کی صورت میں کام کرتے ہیں۔
 
ڈاکٹر فواد خان کا کہنا تھا کہ اس طرح کے مشن مقامی ضلعی انتظامیہ سے ملاقات کرتے ہیں پھر متاثرہ علاقوں میں جاتے ہیں اور ضروریات کا جائزہ لیتے ہیں جن کی بنیاد پر امدادی کام شروع کیا جاتا ہے۔

انہوں نے بتایا کہ صحت کے عالمی ادارے کے جو مقامی لوگ پولیو مہم میں کام کرتے ہیں اب وہی ان کی آنکھیں اور کان ہیں، یہ لوگ متاثرہ علاقے میں آسانی سے سفر کر رہے ہیں اور انہیں اب تک کوئی مسئلہ پیش نہیں آیا۔ پاکستان کی حکومت نے اس سے پہلے فرانس کے ڈاکٹروں کی بین الاقوامی تنظیم ڈاکٹرز ود آؤٹ بارڈرز کو بھی زلزلے سے متاثرہ علاقوں میں کام کرنے کی اجازت دینے انکار کردیا تھا۔
 
پاکستان کے نیشنل ڈزاسٹر مینجمنٹ اتھارٹی کے ترجمان ادریس محسود کا کہنا ہے کہ حکومت نے بین الاقوامی اداروں یا ممالک سے مدد کی اپیل نہیں کی ہے کیونکہ حکومت سمجھتی ہے کہ متاثرین کی مدد اور بحالی کے لیے اس کے پاس وسائل، اہلیت اور قابلیت موجود ہے۔
 
بلوچستان کے وزیر اعلیٰ ڈاکٹر مالک بلوچ نے بین الاقومی اداروں سے مدد کی اپیل کی تھی، ان کا کہنا تھا کہ جس پیمانے کی تباہی ہوئی ہے وہ اکیلے اس کا مقابلہ نہیں کرسکتے۔

این ڈی ایم کے ترجمان نے اس ایپل سے لاعلمی کا اظہار کیا اور کہا کہ وزیر اعلیٰ نے قومی اداروں اور مخیر حضرات سے مدد کی اپیل کی ہوگی، کیونکہ بین الاقوامی مدد کا فیصلہ وفاقی حکومت کرتی ہے۔
 
بلوچستان کے صوبائی ڈزاسٹر مینجنمنٹ اتھارٹی کا کہنا ہے کہ زلزلے سے آواران اور کیچ کی پونے دو لاکھ آْبادی متاثر ہوئی ہے، جبکہ قومی ڈزاسٹر مینیجمنٹ اتھارٹی کا دعویٰ ہے کہ متاثرین کی تعداد سوا لاکھ ہے۔