جمعرات, جولائی 18, 2013

An Appeal for the help, Aid, Food Stuff, Medicines etc

Assalam O Alikum,

Muhtram Doston aur sathiun,

Main Ashiyana Camp kay funds raising kay liye aik dafa phir Peshwar aya hon. Ashiyana camp main is waqt bhi 200 aise afrad muqeem hain jo North Waziristan kay mukhtalif elaqon say maddad aur umid ki talash main Miranshah aaye hain. 

Hamare pass iss waqt in ko khilane in ki adwiyat aur degar kay liye bilkul funds mojood nahi hain.

Miranshah main hum ko kisi bhi tarh ki koi saholat mojood nahi, na hi internet acces hai na hi rabite ki koi dosri sorat jis ki wajha say yeh site update nahi kari jaa saki, main aur mere sathi pori koshish kar rahe hain kay aap sab ko apne falahi kamon say agah rakha jaiye.

Mujhe umid aur pora yaqeen haih kay ALLAH Pak kisi na kisi tarha hamari madd zaroor farmain gai jesa kay ALLAH ne maddad karne ka wada kia hai.

Aap say bhi hath joor kar, Appeal karta hon kaih mera sath dain, aur meri madd karain, aap ki kari hoi thodi thodi madd mere aur mere camp main mojood logon kay buhat kaam aa sakti hai.

Jazak ALLAH
Syed Adnan Ali Naqvi
+92 345 297 1618