پیر, اکتوبر 11, 2010

Few Days With Taliban (Part - 1) "Taliban's K sath Kuch Din"


Part - 1:

With the name of ALLAH Almighty

Assalam O Alikum.

In this post I would like to stat in roman urdu, Mai apni ess post main Roman urdu main tehreer karma chahon gee, maqsad sirf ye hoga k wu loog jo Pakistani hain un ko yahan khalat, humare kaam aur ane wale waqt k bare main mazeed achi maloomat aur andaza ho sake.

Muhtram, Mai apni baat se shuru karon gee, main ne jabh Adnan bhai aur un ke team ko join kia tu mujhe bilkul andaza he nahi tha k wu jiss jaga aur jin logon k liye kaam kar rahe hain wu kiss qadar kathin aur mushkil hai, Mansoor bhai aur un ke team k efforts jabh Adnan bhai k team se mil kar samne aye tu ALLAH par yaqeen aur bharoosa mazeed pukhta ho gaya. ALLAH pak ne hum ensano ko kiss maqsad k liye ess dunya main bheja aur hum ensan aur bahesiyat muslim kia karte phir rahe hain, Khyber Pakhtoonkwa k jin areas main main last 2 months se hon, ye buhat he mushkil, dushwar guzar, khatrat se bharpur hain, shuru shuru mai mujhe aur mere sath aye new volunteer’s ko buhat dar lagta tha aur dar bhi kiss ka zindagi ka, lekin har guzarte din aur lamhat k sath ye dar bhi dur ho gaya, hum yahan ek team ke tarhan kaam kar rahe hain, jin k dukh, such hansi khushi sabh ek he hain, hum jabh apne samne kisi khatoon ko pareshan aal dekhte hain tu humari pori team afsurda ho jati hai aur jabh kisi bache ke masoom hansi ko dekhte hain tu hum dunya ka har dukh bhul k khush hone lagte hain, Hum ensan bhi kiss qadar kamzoor aur natawan hain ess ka ehsas yahan akar he howa, nahi tu Canada ke life style aur yahan ke life main buhat bara faraq hai, Mai zaato tur par ehsand mand aur dua go hun Adnan bha aur Mansoor bhai k liye k unhon ne humari tarbioyat kari, hum ko sahi tareeqe se jeene ka tareqa bataya aur hum ko ye bhataya k hum ensan sir fess dunya main maal – o – mata ya khane kamane ke garaz se nahi aye hain balke ensan ke ess dunya main ane ka maqsad tu enn sabh se kahin buland aur ala – o – arfa hai, Aye kash k ye baatain main apni family, apne doston aur dosre muslim bhai behnon ko samjha paon…

Mah-e-Ramazan yahan kese guzra bilkul pata he nahi chala, aur fir eid-ul-fitr ka bhi andaza nahi hota hum agr apne gharon main hote tu har taraf ek aho baka hoti, har tarf bhagam bhaag hoti aur har taraf shoping, aur jane kin kin behuda rasoomat k liye afra tafree hoti, lekin yahan flood victims jo already apne oper lagai gai war on terror ka samna kar rahe hain, kahi bhi koi bari hal chal nahi thi, sabh ek routeen k hisab se roze rakh rahe thai aur eid par ek dusre se mil kar ek dusre ke khushiun ko mazeed bantne ke koshish kar rahe thai, Ajnabi hone ka jo ehsas hum logon ko shuru main ho raha thaw u abhi har giz nahi tha. Hum sabh ek dusre k liye ese ho gai hain k jese hum tub arson se ek dusre ko jante hain, hum ko tu yahan ke zaban ka bhi pata nahi lekin afreen ho yahan k bhai behnon par k sirf humare liye aur hum ko sharmindagi se bachane k liye humare samne aur apne darmiyan urdu main baat karte aur apne peghamat ek dusre tak puhanchate hain. Yeah zaror hai k har muashire main kuch ache aur kuchbure log hote hain lekin yahan humari tarbioyat jis andaz mai hoi hai uss k hisab se hum apne ekhlaq, apni muhabat aur khaloos se kisi bhi bure shaqs ya ensan ko apna bana sakte hain, hum agr yahan k logon k culture ka aur tehzeeb ka khayal karain tu ye log tu bilkul bhi ajnabi nahi hain, Kia hum sabh jab out of country jate hain tu jahan hum jate hain wahan k qwaneen ka khayal nahi karte, bilkul essi tarhan yahan k loog bi apni tarhan jete hain aur chahte hain k job hi yahan aye wu yahan k logon k tareqon ke tarhan rahe, aur jahan tak main samjh pai hon yahan k logon k tareeqe kisi bhi muhazib muashire se kam nahi, yahan aurat ka bharpur aur buhat acha ehtriam kia jata hai, Chadar aur chaar dewari ka jo tasawur modern world even k Karachi, Lahore n islambad mai dekha hai yahan wu tasur nahi hai balke amalan dekha hai. Ek dusre ka ehtiram, rai ka ehtriam oint of view ko samjhne k liye Jirga system ye sabh kisi bhi tarhan muhazib musharie ke missal ho sakta hai, Lekin hum modern world k loog enn sabh ko qadamat pasandi kehte hain.

Kuch days before hum ko ek local Taliban group ne apne pass an eke dawat dee, group k head Mansoor bhai ne pehle tu shukria k sath dawat ko wapis kia lekin hum volunteer’s k esrar karne par hum ko jane ke ejazat de, hum dare howe nahi haan albata thoda sa khoof zida zaroor thai, hum ko ye bhi pata nahi tha k hum ko akhri jana kidher hai. Noshehra main hum ko 2 4x4 garian lene aye aur hum ne apne hisab se un gariun main kuch tuahaif, medicines aur job hi hum rakh sakte thai rakha aur unn k sath ek anjani manzil ke janib chal pare, jo hazrat hum ko lene aye thai unhon ne mujhsamait sare khawateen ko pehle he agah kar dia tha k “Mastoorat, parde ka khaas ehtimam karain” lehiaza hum sabh ne na sirf ye k scarf aurh rakhe thai balke hijab k liye apne hathon aur pairon ko bhi dhak rakha tha aur apne chehron ko bhi chupa rakha tha. Jabke mard hazrat bilkul be khoofi k andaz mai jis ko jo mila pehen thai aam tur par humare mard hazrat shalwar qameez pehente hain lakin yahan Noshehra main trouser and t-shirt bhi pehen lete hain, mujhe achi tarhan yad he k main ne khas tur par sabh ko shalwar qameez pehene ke liye kaha tha lekin hidayat k bawajood mujhe dikha k kafi bhai trouser aur shirts main thai. Main ne jabh un se pocha k bhai aap log wu kapre kiun nahi pehente tu mere voulunteers ne jawab dia k abh tak job hi seekha hai uss main hamesha ek baat sabh se pehle sikhai gai hai k Munfiqat se bacho, kiun k munafiqat ALLAH pak ko nagawar guzarti hai aur jo hum hain hum ko ussi andaz main paish hona chahiye. Essi liye hum apne kirdar aur ekhalaq se apne Taliban bhaiun ko mutasir karne ke koshsh kare gai apne libas se nahi jin ko pehen kar hum ko dikh raha hai k hum wu nahi jo hain.

ALLAH ka naam le kar safar ka aghaz howa, rawangi se pehle hum sabh ko safar ke dua parhai gai, aur ye bhi bata dia gaya k um log shayad 10-12 hours main apni manzil tak puhanche gai, aur wapsi 2-3 din mai hogi, ye bhi hum sabh k liye ek emtihan tha k hum kisi bhi security k bagair logon ko jane bagair un k sath rawana ho rahe thai, Lekin humare qaln (dil) aur dimagh dono he etminan main thai, Kiun k hum ko ALLAH pak k zaat e aqdas par pura qaeen hai, aur jo log hum ko le jaa rahe hain wu bhi koi anjane nahi hain balke humare apne he hain, hum ny khud he enn logon ko paraya aur begawana kar dia hai.
Hum apni manzil ke janib rawana howe tu Murtiza nami ek Talib ne hum ko muqatib kia aur kaha k aap logon ko dar nahi laga? Humare ek Volunteer Faisal bhai ne jawab dia k bilkul nahi kiun k being a muslim hum ek he tu hain, buss rang ka faraq hai ya zaban ka faraq jo Humare nabi Hazrat Muhammad (SAW) ne apne samne he mita dia aur saaf saaf bataya dia k  “ hum mai se koi bara ya chota nahi, koi kum tar ya bar tar nahi – siwae un k, k jin k ekhlaq sabh se ala hon, jin k amal sabh se ala hon” tu agr hum sabh muslm hain tu ek he hain. “ ye bayan sun kar sabh ne ba awaz e buland narae takbeer ALLAH Akber buland kia aur faza buhat pursakon ho gai thodi buhat jo begana pan thaw u bhi jata raha. Hum sara din safer karte rahe, kabhi paharon par, kabhi chatano par kabhi kabhi kisi darya ya jhel k kinare kabhi selab se bahe howe pulon k niche ya oper se, kabhi pedal kabhi gari par. Ess safar mai agr humara rukna howa tu kisi hajat k liye ya fir Namaz ke adaigi k liye, hum ko raste main 2 times pocha bhi gaya k agr hum log thak gai hain tu aram k liye kahin ruk jate hain lekin hum sabh ne ek zaban ho kar kaha k hum manzil par ja kar he aram karma chahe ge, “Dar asal hum log raat mai safar karne se gurez karma chahte thai – k kahin American Drone ya NATO k heli ya fir humare apne he army ka koi bhola bhatka gunship hum par kisi galat fehmi main firing ya misile na dag dale.” Humari bat ko ehmiyat dete howe humare mezban humara safar jari rakhne par tayar rahe aur safari jari raha. Mai sara rasta yehi soochti rahi k enn logon k Akhlaq etne buland hain, kirdar etne buland hain tu humare muhazib muashere main enn logon ko janwer se bhi buar kiun samjha jata hai kiun enn k bat bat par hatak ke jati hai? Kiun yahan k masoom logon par bagair kisi wajha k Misile barsai jate hain, shayad mere andar k enhi sawalon ne mujhe etni himat de thi k enn logon k darmiyan kuch waqt guzaron aur apne sawalon k jawabat hasil karon. Hum raat k 10 baje bagair light jail gariun main safer karte howe apni pehle manzil puhanche light na jalane ke wajha yehi batai gait hi k galat fehmi ke wajha se hum par firing ya sheling ho sakti thi. Hum bhi khamosh thai kuch safar ke thakan aur kuch halat ka taqaza k khamosh rehne ko he sabh tarjeh de rahe thai, jahan hum puhanche ye ek esa area tha jahan shayad bar bar firing ya sheling hoti rahi hogi, chote chote gher koi 40-50 ke tadad main honge ek sanata sat ha esa laga k jese yahan koi rehta he nahi balke hum galati se kisi qabrusta (Grave yard) mai agai hain. Lekin jabh hum gariun se utre tu hum ko khush amdeed kehne k liye ek buhat bari taddad moujoud thi jin main khawateen aur bache bari tadaad main thai, main ne ek dam socha k kia enn logon ko dar nahi lagta? Kiun k jahan hum khare thai ye area Data Khail k naam se jana jata hai aur yahan Drone kuch ziada he meherban hain, na moukha dekhta hai na halat aur apni khur mastiyan nikalne ajate hain aur jane kitne he gharon k chirag gul kar jate hain. Fir hum ko khawateen k hawale kar dia gaya aur kuch parda posh khawateen hum ko ek makan se mulhiq seere (stairs) se niche le jane lagi tu main ne pocha k ye hum zameen k andar kiun jaa rahe hain tu bataya gaya k “Bibi, yahan kisi bhi time agr koi bari halchal hoti hai tu American jahaz ajata hai aur bagair kisi wajha k toop k gole daagh k chala jata hai, aur bibi, humare pas tu aap k shehron ke tarhan siren bhi nahi bajaya jata k hum log hoshiyar hojain. Aap log humare mehman ho ess liye aap ke hifazat k liye hum logon ne ek hafte main ye zameen douz mehman khana banaya hai kiun k hum ap logon ko koi takleef nahi dena chahte.” Main ne aur mere dusre sathi doston ne jaldi jaldi gusal kia aur namaz e Esha ada kar k shukrane k 2 nawafil ada kiye. Ye dekh kar humare mezban hum se aur bhi qareeb howe aur hum se tarhan tarhan k sawalat kiye, thoda he dair main kuch khana agaya hum logon ne apni apni bhok mitai aur sone k liye jaga dekhne lage, humare mezbanon ko samjh agai k hum kia chahte hain, es liye hum ko kuch purane bister aur chadarain de de gai aur hum lait kar foran he neend ke
agosh main chalai gai…

Subh humari ankh Azan ke awaz par khul ga, Noshehra me rehte rehte humari ek routine ban gait hi k hum chahe raat ke kisi bhi peher main sone jain lekin anh subh azan par foran khul jati hai, ess liye hum abhi uth gai hum ne dekha k humare aas paas pani rakh dia gaya tha aur hum sabh jaldi jaldi ba wazu ho kar namaz parhne lage. Mard hazrat na kahin aur bajamat namaz ada kari aur khawateen apne apne tur par namaz parh rahi thi.
Namaz k foran bad dars-e-quran dia gaya aur doran e dars ek dafa mujhe aur ek dafa Faisal bhai ko dars jari rakhne k liye kaha gaya, pehle pehle hum dono buhat confiuse thai kiun k ess daras mai ek taraf chadar laga kar khawateen aur bachon ko bithaya gaya tha aur dusri janib mard hazrat thai, jahan tak meri maloomat thi k Taliban ya ess qisam k log khawateen ko mahafil ya mard hazrat se dour he rakhte hain yahan tak k awazon ka tibadla bhi nahi kia jata. Fir ye sabh kia tha? ALLAH Akber, etna bara tazad, jo suna thaw u dikh nahi raha tha. Muhazib muashire ke aqal par mata karte howe jitna mujhe pata thaw u keh dala, aur Faisal bhai neb hi jitna un ko pata tha kaha, Aaj k dars main hum ne Surah-e Al Hamd aur Surat ul Asr ko bayan karne ke apni koshish kari aur jabh humara dars khatam howa tu hum se kuch sawalat bhi poche gai jin ka hum ne apni apni malomat aur taleem k mutabiq jawab dia aur jin sawalat k jawabat humare pas nahi tha ya hum maloomat nahi rakhte thai hum ne un sawalat par dil ke gehraiun se mazrat kari jis ko wahan moujood logon ne buhat saraha. Dars se farig ho kar hum ko nashta dia gaya. Essi doran hum ne apni gariun se jo tahafi thai wu mangwa liye, main e aur meri sathi khawateen ne meri maddad kari aur Faisal bhai nai mard sathiun ke maddad se bachon, khawateen aur mard hazrat mai kuch kapre, pani, buscuites, chips, chapalain (Shoes) kuch khane ka saman aur apne sath lai howe Quran pak aur Aab-e-Hayaat magazine k kuch shumare taqseem kiye. Sath he Adnan bhai k likhe howe kuch topics aur mansoor bhai ke record ke howi kuch batain bhi hasb e miqdar taqseem kari. Jin ko wahan k logon ne bheegi ankhon aur buhat shukrie k sath qabool kia. Enn logon k ye rawaiye humare liye buhat chonka dene wale thai. Kiun k raat se abh tak job hi ho raha thaw u sabh wesa nahi tha k jesa suna tha. Balke dikh bilkul alag raha tha. Yahan k logon k waza khata (hulya) tu woih tha jo hum ne dekha ya sun rakha tha, mard hazrat bari bari pagriun (tarban) lambi lambi dariun (beard) onche panchon wali shalwar aur lambi qameezoon main thai sar par pagri nahi tu topian zaroor thi. Jabke khawateen mukamil dhake howe libas main thi aur mard hazrat k samne jane main har mumkin ehtiyat barat rahi thi.

Thoda din nikla tu hum ko yahan k nazara dekhne ko mila. ALLAH Akber, mai alfaz mai kese bayan karon, jidher dekho sirf tabahi he tabahi thi, esa mehsoos ho raha tha k jese main hitler k dour mai puhanch gai hon. Koi ek gher bhi esa nahi tha jiss par tabhai na ho hum pahar k kisi hise main thai aur yahan kabhi sar sabz rahi hogi, lekin gola bari ke wajha se darakht he kia pahar bhi dhuwan chour rahe thai. Data khail Waziristan ka he koi hisa hai. Yahan ka geography k bare main hum nahi jante lekin jo dikh raha tha buhat holnak tha, hum ko bataya gaya k pichla ek hafta ye area buhat ziada he under attack raha hai aur enn attacks main baqul unn k ziada tar familes he mutasir hoi hain, ALLAH he behter janta hai k ye majra kia hai, Lekin jo ho raha hai wu buhat galat hai. Ek fard ya kuch afrad ke galati ki saza ese nihate aur masoom logon ko dena koi ensaf nahi balke zulm hai aur ye na sirf Islami taleemat balke kisi bhi muhazib muashre k liye sharam ke baat hai. 

To be Continue... (Jari Hai)

ہفتہ, اکتوبر 09, 2010

Appeal: "Syed Adnan Ali Naqvi & Group"


With the name of ALLAH Almighty

Appeal for the Warm Clothes, Water, Kids wearing, Food Stuff & Funds.

Assalam O Alikum,

With due regards, the team of Aab-e-Hayaat social group is working with the flood victims of Noshehra – Charsada, Khyerb Pakhtoonkhwa since last two months. We have done many of the things for them and our friends can find our work details in our last posts and blogs sites.

Currently we are facing a huge shortage in our funds to continue our daily two time food program here at Noshehra, Khyber Pakhtoonkhwa for 380 effectees of the flood. Our food stock is about to finished within days. We don’t have medicines to medicate child victims & women.

Muhtram, Hum log yahan buhat mushkil halat se nabard azma ho rahe hain, Esa nahi k humare hosle past ya khatam ho rahe hain, balke humare hosle har guzarte din k sath mazeed buland aur pukhta ho rahe hain, har ane wale din ke mushkilat hum ko ek naya sabaq deti hain aur ALLAH pak par humara bharosa barhati hain. ALLAH pak humre ko sabit qadam aur hosla ata farmain, Ameen. Lekin kuch kaam aur baton main hum log amlan khud ko buhat maflooj pate hain, jahan hum ko apne doston, apne bhaiun aur behnon ke maddad ke zaroorat paish ati hai. Jesa k aap sabh k elm mai hai k hum yahan Noshehra main 380 victims of the flood k sath kaam kar rahe hain, humara camp Register tu hai aur yahan k logon ke registration bhi complete ho chuki hai lekin abhi tak yahan k logon k liye koi bi entizam nahi kia gaya hai, hum ne jabh ess camp ka charge sambhala that u hum ko mukhtalif organizations, aur hazrat nai apne tawun (cooperation) ke mukamil yaqeen dihani karai thi, lekin afsoos k abh jabh hum enn organizations ya hazrat se contact karne ke koshish karte hain tu ya tu humari call receive he nahi hoti ya fir hum ko next day call karne ka keh kar mazeed baat karne k liye mana kar dia jata hai. Hum apne camp main three (3) times ke jaga pehle he two (2) time ka khana supply kar rahe hain lakin funds k na milne, aur on hand funds ke kaam hoti hoi sorat e haal ke wajha se hum ess two (2) time ke food supplyko bhi continue karne main buhat mushkilat se nabard azma ho rahe hain. Medicines bhi na hone k brabar hain. Jabke fresh / mineral water ke supply last two weeks se ruki hoi hai, hum saaf pani k liye desi method (Phitkari , Sulfer) ka estimal kar rahe hain, lekin hum buhat sure nahi hain k yea pani jo hum pee rahe hain aur camp mai moujood logon ko pila rahe hain kiss had tak saff aur qabil e estimal hai.

Humari team ne apni pori koshish kar rahe hain k humari zaat se hum jis qadar mumkin ho apne doston k kaam asakae, hum ne kisi bhi maddad k liye dusron ko call karne k bajai hamesha pehle apne resources aur doston and families ko call dete hain, humari pori koshish yehi hoti hai k hum kisi bhi tarhan se apne he logon k zarye funds collect karain, lekin hum khud apne gharon se etna kuch nikal chuke hain k abh mazeed nikalne k liye kuch aur nahi bacha. Yahan hum apne kare howe kaam aur koshishon ka ziker kar k ALLAH pak k agai sharminda nahi hona chahte kiun k Ehkam e ALLAH k mutabiq, “ Maddad ese karo k Lene wale hathon ko Dene wale hathon ke khabar tak na ho.”
Hum sabh essi kohsih main hain k hum se jiss had tak koshish ho sake hum karain, apne sath moujood logon ko kisi bhi tarhan koi takleef ya pareshani na hone dain. Lekin tammam tar koshison k bawajood hum abh kamzoor ho rahe hain, humare efforts, humara kaam hum ko mukamil hota nazer nahi araha, ess par badalte mousam ne humare liye aur mushkilat khari kar dee hain, hum ne abh tak job hi clothes collect kiye un main buhat he kam ese thai jo sardi (Winter) k mousam k liye qabil e estimal ho lekin abh ahista ahista mousam thanda hota jaa raha hai. Aur ess mousam k liye humare pass koi entizam nahi ha, Khudda na kare k agr achanak thand (cold) barh jati hai tu hum khud bhi garam kapron se mehroom hain jiss ke wajha se hum ko dar hai k camp mai moujood victims tu beemariun ka shikar ho he jain ge yahan kaam karne wale workers ko bhi buhat pareshaniun aur mushkilat ka samna karma pare gaa.

 Hum aap sabh doston aur sathiun se appeal (darkhwast) karte hain k, aap sabh log bhi apni apni zemedariun ko samjhte howe ess kar e khair main humari maddad farmain, Hum kisi bhi tarhan aap se kisi bhi tarhan ke raqam ka mutaliba nahi karte hum har dafa aap sabh se yehi request karte hain k aap ke jo hesiyat hai aur jitna bhi aap kar sakte hain ess kaam k liye humari maddad farmain, ess kam mai maddad k liye aap humar volunteer se contact kar sakte hain.

Hum ko ess time, kia chahiye? (Urgently Required)
·        Food stuff (for regular food supply) for 380 victims of the flood.
·        Medicines (for cough, fever, cold, flue, etc)
·        Mineral water or water purification tablets.

Aap ke de hoi maddad humare liye ek nai roshni aur hosle ka bais hogi. Hum ko pora yaqeen hai k hum ne jo karwan banaya hai aur jo azam rakha hai aap uss main apna hisa dal kar hum ko sukhuru karne main zaroor maddad farmain gai.



For Donation:
Account Title: Badar Un Nissa
Account Number: 0100 – 3478 – 0.
Bank Name: United Bank Limited, Gulistan e Joher Branch, Karachi
UBL Branch Code: 1921
SWIFT / Routing number: UNILPKKA

For the collection of Food stuff, Clothes  & Other’s
Please contact with:
Mr. Mansoor Ahmed
mansoorahmed.aaj@gmail.com (+92 334 228 9783)

Syeda Faryal Zehra
faryal.zehra@gmail.com (+92 343 535 7247)

Muhammad Nadeem
nadem.mohd@hotmail.com (+92 313 279 8085)

Syed Adnan Ali Naqvi
s_adnan_ali_naqvi@yahoo.ca (+92 345 279 1618)

بدھ, اکتوبر 06, 2010

Noshehra Camp (Report)

With the name of ALLAH Almighty



Assalam O Alikum,

With due respect, this is again a late post but due to some of the technical issues we are unable to update our friends on regular or time by time event and report. (Please accept our deep apology in this matter)

No matter we are late for the updating our friends but we are not late to work here with the victims of the flood of Noshehra (Khyber Pakhtoonkhwa)

Here’s a short listed details of our relief efforts which we have done in last few days (from September 15, 2010 till October 5, 2010).

Location’s of Relief Camp: (already exist & in form)

    1. Hakimabad, (Nowshehra – Khyber Pakhtoonkhwa)
This is our first camp, by this we have started our relief work & we have done lots of more by it. Now-a-days, we are using this camp as our base camp. To collect the things, for the distribution of clothes, food items, general items from 8th Of August 2010. This is related with Khidmat-e-Insaniyat (A local N.G.O Camp) but we are the responsible for the regular food supply (for the 2-times, Morning & evening) as well as medical treatment for the 380 victims. (This will be continuing till the end of the October, 2010. Insha ALLAH).


Project Are Running: (active)
Al Hamd Ul ALLAH, We are managing with the regular food supply for 380 victims of the flood here at Hakimabad, Nowshehra – Khyber Pakhtoonkhwa. (Morning & Evening).
  • Food Supply: Supply contained with Item of Rice (like Biryani, Pilaow & Regular Curry of Meat, and Vegetable & Beans with bread ‘Rooti’).
  • Medical Facility: We are trying to manage medication into the victims with our limited resources.

Supplied: (have done)
·        Al Ham Ul ALLAH, We had supplied almost 5340 new & old clothes & shoes into the victim kids at Nowshehra & Charsada – Khyber Pakhtoonkhwa. (from September 9th till October 4, 2010)
·        Al Hamd Ul ALLAH, We are managing with continue food supply for 380 victims of flood at Nowshehra – Khyber Pakhtoonkhwa.
·        Al Hamd Ul ALLAH, more than 5037 Kids, women & men had been medicated in different locations b/w Nowshehra – Chaarsada, Khyber Pakhtoonkhwa.
·        Al Hamd Ul ALLAH, 1200 Quran e Paak with mat n carpet for Namaz “prayers” had been distributed into the victim’s women.
·        Al Hamd Ul ALLAH, 1200 copies of issues of Aab-e-Hayaat magazine had been distributed into victim’s women & men.
·        Al Hamd Ul ALLAH, more then 1800 pairs of old / used clothes had been distributed into victim kids, women & men. (Nowshehra – Charsada)
·        Al Hamd Ul ALLAH, 12 tents supplied into the victims of Charsada – Khyber Pakhtoonkhwa.
·        Al Hamd Ul ALLAH, more then 7000 liter of mineral water had been distributed into the flood victims.


Al Hamd Ul ALLAH, 2 of middle level of water filter plants are in pipeline, (Waiting for the permission for installation from the local authorities of Charasada & Nowshehra

Team of Supervision:
  • Dr. Mirza Sarfraz Baig (President, AHR&DS)
  • Mr. Kashif Jibran (General Secretary, AHR&DS)
  • Mr. Syed Adnan Ali Naqvi (Volunteer, Adnan & Group)
  • Mr. Mansoor Ahmed (Joint Secretary, AHR&DS)
  • Ms. Syeeda Faryal Zehra (Volunteer, AHR&DS)

Team of Coordinator’s: (already working)
  • Ms. Syeeda Faryal Zehra (August – October, 2010)
  • Mr. Taimour Farhad (August – September, 2010)
  • Mr. Mansoor Ahmed (August - October, 2010)

Team (A) of Volunteer’s: (already exist & working)
  • Ms. Syeeda Faryal Zehra “Chief Volunteer” (August – September, 2010)
  • Mr. Mansoor Ahmed “Assistant Chief Volunteer” (August – October, 2010)
  • Mr. Faisal Khan “Volunteer” (August – September, 2010)
  • Mr. Mohammad Nadeem “Volunteer”(August – September, 2010)
  • Mr. Taimour Farhad “Volunteer”  (August – September, 2010)
  • Mr. Asfi Ali “Volunteer”  (September, 2010)
  • Mr. Aliyan “Volunteer”  (September, 2010)
  • Ms. Effat Nazir “Volunteer” (September, 2010)
  • Ms. Nadia Suleman “Volunteer” (September, 2010)
  • Ms. Sumera “Volunteer”  (September, 2010)
  • Dr. Ali “Doctor” (September, 2010)
  • Mr. Subhan Zuberi “Purchasing”(September, 2010)
  • Mr. Nabil “Purchasing” (September, 2010)
  • Haji Jamal “Transportaion” (September, 2010)

Team (B) of Volunteer’s: (on stand by to take charge from September 30,  2010)
  • Mr. Mansoor Ahmed “Chief Volunteer” (August – October, 2010)
  • Mr. Faisal Khan “Assistant Chief Volunteer” (August – October, 2010)
  • Mr. Tirmizi Khwaja “Purchasing” (September, October, 2010)
  • Mr. Adnan Malik “Volunteer” (September – October, 2010)
  • Mr. Rehan Azfar “Volunteer” (October, 2010)
  • Ms. Jeniffer “Volunteer” (September – October, 2010)
  • Ms. Rukhsana Bibi “Lady Health Worker / Teacher” (Spetember – October, 2010)
  • Mr. Daniyal Khan “Volunteer” (October, 2010)
  • Mr. Ejaz Malik “Volunteer” (October, 2010)
  • Ms. Effat Nazir “Teacher” (October, 2010)
  • Dr. Ali Agha “Medicine” (October, 2010)
  • Dr. Rehana Waraich “Medicine” (October, 2010)
  • Dr. Zeeshan “Medicine” (September – October, 2010)

Backup Team of Volunteer’s: (Back-up)
  • Mr. Kashif Jibran “Chief Volunteer” (September – October, 2010)
  • Mr. Asif Khan “Assistant Chief Volunteer” (September – October, 2010)
  • Mr. Khurram (September – October, 2010)
  • Ms. Azra Nadeem (September – October, 2010)
  • Mr. Nadeem (September – October, 2010)
  • Mr. Muhammad Nadeem (September – October, 2010)
  • Dr Sarmad (September – October, 2010)
  • Mr. Usama (September – October, 2010)
  • Mr. Arshad (September – October, 2010)
  • Mr. Rustam “Driver” (September – October, 2010)
  • Mr. Ghulam Rasool “Driver / Dispenser” (September – October, 2010)

Looking for your kind assistance in all manners’s as being discuses now or earlier.

Jazak ALLAH Khairan.
With Regards
Team of Aab-e-Hayaat
Hakimabad, Nowshehra – Khyber Pakhtoonkhwa
Click here to see our team efforts