جمعرات, نومبر 11, 2010

Waziristan / Noshehra Situation!

With The Name Of ALLAH Almighty

Assalam O Alikum

ALLAH jo sabh e bara reham karne wala aur karam karne wala hai, ALLAH he hai jis ne hum ko aur ess Universe ko peda kia. ALLAH he ke zaat hai jo hum ko khane k liye deti hai aur humare liye asanian faraham karti hai.

ALLAH k fazl aur karam se hum apne maqsad k hasool k liye lage howe hain, Apne past se hum ne buhat kuch seekha hai, aur apne mustakhbil k liye buhat kuch kar rahe hain, Yahan Waziristan main aur Noshehra mai hum apne sathiun k sath apni har mumkin koshish kar rahe hain k apne bhai aur behnoo k liye job hi kar sakte hain karain.

Aaj hum aap k samne sirf yahan k halat se agahi dene k liye hazir hain. Yahan k halat na kabhi sahi thai aur na he kabhi sahi ho sakte hain, kiun k yahan kaam sirf ek (1) ya du (2) din ka nahi hai balke yahan tu shayad hum ko aur humari ane wali nasloo ko kaam karma pare tabhi halat mai kuch behtri hogi. Lekin hum ko afsoos hai k hum chah kar bhi aur apne pore dastiyab wasail ko samne rakh kar bhi apne maqasid k hasool mai buri tarhan nakami hasil hoi hai. Hum yahan aye tu apni marzi se hain lekin yahan se nikalna humare ekhtiyar mai nahi hai. Waziristan ho ya Noshehra / Charsada, flood se aye hoi tabahe ho ya fir war on terror ho. Nukhsan sirf aur sirf Pakistan ka he howa hai, Humare hukmaran tu hamesha se esse hadisat aur waqiat ka entizar he karte rahe hain k kub koi hadisa ho aur kab enn sabh ko kamane kamoukha mile. Kabh ye yahan k bhooke nange aur lachar logon ke tasaveer aur vids chala kar bheek mangain aur apni ayashiyan pori karain.

Humara yahan rehne ka maqsad hakomat ya logon par criticism karma nahi hai balke hum bhi ensan hain aur humara bhi dil kurta hai, hum jin logon k zimedar hain unn ko agr tym par khana na milee shadeed sardi mai agr kapre na mile aur tabyat kharab hone par agr medicine na mille tu humara yahan rehna he bekar hai. Hum ne apne mukamil koshish kari hai k hum jiss tarhan bhi mumkin ho kaam he logon ke sahi lekin dil o jaan se khidmat kar sake, Halat chahe kese he kiun na rahe hon hum kabhi bhi apni maqsad aur kaam se peeche na hate, Aur ALLAH pak ne humari kisi na kisi tareqe se maddad farmai hai. Hum ko apne enn bachon,bhai aur behno k liye kisi bhi tarhan se maddad mangne se bhi ya bheek mangne se bhi koi takleef nahi hoti kiun k yahan k logon ka haq tu ye tha k logon ko maddad un k gher k darwaze par he di jati, lekin kuch logon ken a farmani ke wajha se ek buhat bari taddad buhat bure halat ka samna kar rahi hai.

Abh yahan k thode halat se agahi hasil karne ka moukha ha, Mujhe ilm mai hai k Taliban k sath jo kuch time hum ne guzare hain wu bhi um mukamil nahi likh sake lekin uss k peeche bhi kuch wajoohat hain aur Insha ALLAH wu bhi jald he kuch tarameem k sath threeer kar dee jai gee.

Ashiyana Camp (Noshehra)
Ess camp ka naam flood ane k baad kuch dooston k mashore se Aab-e-Hayaat camp rakha gaya tha lekin funds kea dam dastiyabi aur kuch dosre masail ke wajha se ess camp kaa naam Ashiyana Camp rakh dia gaya hai, ess camp mai taqreeban 380+ afrad moujood hain. Jinn mai ek bari taddad bachon ke, aur khwateen ke e, hum khud etni bari taddaad mai enn sabh logon ko manage nahi kar sakte, essi liye hum ne pehle hakoomat se maddad mangi aur jabh hum se sirf wade he kiye gai aur just tassali he dee jane lagi tu hum ne ek local NGO “Khidmat-e-Ensaniyat” se contact kia aur abh hum dono (Syed Adnan Ali Naqvi & Friends and Khidmat-e-Ensaniyat) mill kar ess camp ko run kar rahe hain ess mai humari responsibility yahan moujod bachon aur khawateen ko medicines and cloth supply ke hai jabke Khidmat-e-ensaniyat 2-time food supply ke responsible hai.
Ess camp ke halat ye hai k hum dono group mil kar bhi etne thodi taddad k logon ko manage nahi kar paa rahe hain, agr hum Hakomat k pass jate hain tu funds nahi hote ya fir jhot wade ya tasaliyan dee jati hain, Agr hum dusri NGO’s k pass jate hain tu hum ko apni be kassi aur be bassi ka bahana sunaya jata hai (zahir hai wu loog bhi apne apne tareeqe se kamoon mai masroof hain). Hum apni family aur friends circle se jo kuch jama kar sakte hain karte hain, lekin kia hum enn logon ko choor kar dusre logon ke tarhan bhaag jain? Kia hum enn logon ko khane peene k liye na de sake tu humare Insan aurm uslaman hone ka kia faida? Kuch loog farmate hain kia flood se pehle enn logon ko khana peena nahi mil raha tha? Ya ye loog kapre nahi pehen nahi rahe thai, Tu flood k baad bhi ALLAH hebandobast kare gaa, Humara jawab yehi hai k flood k baad ALLAH paak ne enn logon ko nahi hum logon ko ek moukha dia hai k hum apne amaal durast karain. Apne tareeqe durast karain, ek essa nizam banai k jiss k bad kahi koi kasar na reh jai, koi muslaman ya Pakistani bhooka na soye.

Ashiyana Camp (Waziristan)
Ye camp buhat lambe arse se qaim hai, yahan lag bhaag 250 IDP’s mukheem hain, jiss mai Waziristan sy aye howe afrad shamil hain yahan sabh se bari tadaad bachon aur khawateen ke hai. Jinn k food, medicines aur clothes supply ke total responsibility humari he hai. Hum ne apni bharpor koshish kari hai k hum jss had tak yahan k logon ko accommodate kar sake karain, lekin ek taraf barhti hoi mehngai aur dusri taraf humare kaam hote howe funds, humare doost tu buhat hain wade bhi karte hain lekin jabh kuch karne ka tym ata hai uss waqt na he koi mobile receive karta hai na he email ka reply karta hai, Lekin hum apne kaam se nahi rukte, hum yahan ALLAH ke dee hoi azmaish par pora utarne k liye bethe hain aur abh tu hum ko na he Drone se dar lagta hai na he kisi bomb despot se dar lagta hai.

Humari aap sabh logon se appeal hai k ye kaam koi ek din ya 2 din ka nahi hai, balke ye kaam shayad humari ane wali naslo tak ko karma pre gaa tabh he jaa kar yahan k halat kuch behter ho sake gai. Agr hum sabh mil kar ek qoum ho kar yahan k logon ke maddad karne k liye khare hojain tu hum ko pora yaqeen hai k na he yahan ko tabahi hogi na he koi essi baat jiss sy humari qoum ko sharmindagi ho.

ALAH paak hum ko mazeed behtr kaam karne ke toufeeq ata farmai. Aur hum ko ese wasail farahim farmain k jin ko estimal kar k hum ek sahi muslim aur sahi ensan hone ka sabot de sakain, Ameen.

Jazak ALLAH
Aap ka bhai,
Syed Adnan Ali Naqvi & Friends
Ashiyana Camp, Khyber Pakhtoonwkha, Pakistan
Jazak ALLAH
Aap ka bhai,
Syed Adnan Ali Naqvi & Friends
Ashiyana Camp, Khyber Pakhtoonwkha, Pakistan

For the donation of food items, medicines, warm clothes etc please contact with:
s_adnan_ali_naqvi@yahoo.ca (+92 313 279 8085)
faryal.zehra@gmail.com (+92 343 535 7247)
mansoorahmed.aaj@gmail.com (+92 333 3426 031)

For money transfer please use the following a/c details:

"ASHIYANA”
Ms. Badar-un-Nissa.
Account # 0100-3478-0.
United Bank Limited.
Gulistan-e-Jouher Branch.(1921).
Karachi. Pakistan.
Swift Code:- UNILPKKA.