ہفتہ, دسمبر 12, 2009

Adnan Speech @ Tank

Assalam O Alikum to all,

ALLAH k hazoor dua gou hon k aap sabh loog jahan kahi bhi hon kheriyat sy hon aur aap par ALLAH ke salamati ho. ALLAH ka hazrha Ehsan e azeem hy k jiss ny hum ko yeah toufeeq atta farmai k hum ussi k diye howe maal mai sy aur ussi ke dee hoi zindagi mai sy dosre ensanon par kharach karain aur unn ke fiker karain. ALLAH k fazl o karam sy Malakand, Bajour, Sawat k logon ke khidmat k sath sath hum Southern Waziristan k apne bhaiun ke khidmat bhi ussi khaloos aur josh sy kar rahe hani k jiss k sath hum pehle karte chale aye hain. Humari essi mehnat ka asar hy k humare buhat sare bhai jo Pakistan k dosre areas mai rehne wale logon ko apna dushman aur gair mukhliq samjhte thy abh apas mai muhabbat, piyar aur ekhlas sy rehty hain. Hum yahan job hi hum sy ban parta hy karte hain aur kar rahe hain.

Muhtram, jesa k aap sabh jante hain k Adnan & Group ek bilkul alag group hy, na hum NGO’s hain na he Govt ka koi idara, shayad yehi wajha hy k hum job hi karte hain ek team ke tarha karte hain, humari team mai loog ate hain apne hisse ka kaam kar k chale jate hain aur ese gum hu jate hain k jese koi tha he nahi, yehi humari kamyabi ka raz hy. Hum apne aap ko logon k samne tashheer k liye paish nahi karte na he hum koi esa rasta apnate hain k jiss sy humare liye koi bara masla khara ho. Hum bilkul bhi gair siyasi aur samaji tareqe sy kaam karte hain. Jahan bhi hum ko lagta hy k hum open hone wale hain, yani k media huamre ko focous kar sakta hy hum foran sy pehle apni jaga badal dete hain. ALLAH ka shker hy k ess shuhrat wali burai sy abhi tak mehfooz hain aur dua karte hain k humara RAB hum ko hamesha mehfooz rakhe. Kiun k jabh shuhrat milti hy tu kamoon mai khalal aur zehnoon mai lalach anne lagta hy.

Pichle dinno Karachi jana howa, University Of Karachi, Sir Syed University Of Engeneering & Technology k kuch doston ny dawat dee k mai mai unn k pass jaon aur jo kuch mai kar raha hon aur yahan (Northern Areas) mai ho raha hy ehwal sunaon. Mai koi acha muqariir tu nahi on mgr jo kuch sada alfaz mai bayan kar sakta tha kia. ALLAH mere alfaz ko aur sachai atta farmai. Ameen.

Adnan Group ke mehnat ka he nateja hy k Tank jese medan e jang mai abh loog kafi sakon sy hain, yahan sabh ek dosre ka buhat khayal rakhty hain. Jo bhi khane ko ye orhne ko milta hy sabh mill bat kar ese share karte hain k kisi ke haq talafi nahi hoti. Mere buhat sare dost ya deegar loog mujh sy hamesha sy ek ajeeb sa sawal karte hain jo mere nazdeek (maaf kijye gaa) buhat he galat aur bhonda sawal hy jiss ke koi tuk nahi banti k mai Muslim tu hon mgr mera maslak kia hy. Mera jawab mukhtasir hota hy k mai tu buss Muslim hon aur ALLAH ka ek banda. Mgr phir bhi dost ehbab mujh sy ajeeb ajeeb qisam k sawalat karte hain. Mai ny buhat socha aur apne sathoun sy mashora kia k ess mushkil sy kese jan churai jai. Kiun k mere nazdeek muslim tu sirf muslim hota hy. Har muslim jo kalma e haq parta hy. ALLAH ke kitab, rasoolon, roz e hasher aur ALLAH k wahif hone par yaqeen rakhta hy wou tu hota he muslim hy tu fir ye maslak wali bat k kia mutlab hain, shayad loog mere naam ko ly kar mujhe Syed zada aur Ale Ali ya Ehl e tashi samjhty hon. Yahan tu masalik bhi etne ban gai hain k abh tu yehi sochty howe dar lagta hy k agr kisi maslak sy wabista na hono tu kia muslim reh sakte hain k nahi, (ye masla tu Ullma e karam) he bata sakte hain. Meri naqis aqal ma ALLAH par yaqeen aur ALLAH k batai howe raste par amal py yaqeen rakhne wala he muslaman hy abh ye maslak mamla tu bus masalik sy wabista afrad he janain. Mai ek muslim hon aur mujhe faqr hy k muslim hon, aur meri puri koshish yehi hoti hy k ALLAH k batai howe raste par amal karon aur apnea mal k zarye logon ko bhi dawat dun k ALLAH ka banaya howa rasta he HAQ, Sachai aur sahi rasta hy, baqi sabh tu yehi dunya hy jo jiss miqsar koshish karta hy uss ko usi miqdar silla ya agr milta hy.

Muhtram. Chahon tu yahan k halat par ek buaht bari taqreer kar sakta hon, buhat kuch esa hy jo abhi tak logon k samne nahi hy bayan kar sakta hon, tv media par akar apne number, member, maal o zar ekhata kar sakta hon. Mgr mera ALLAH hukam fermata hy k dosron ke bhalai esse andaz mai karo k ek hath agr dy tu dosre ko khabar na ho, ye jo thoda buhat likhta hon tu sir fess maqsad k tehat k mujhe jese noujawanon ko kuch aql aye aur wo bhi gumrahi aur khud parasti ka rasta chour k uss raste par chal parain jiss mai sari Ummat e muslima ke bhalai hy. Buhat arsa pele jabh Sawat gaya tu Moulana Soofi ko sunne ka etifaq howa, ek dafa sharf e mulaqat bhi milla, unn k khayalat aur rujhanat ko jabh sona tu esa laga k Adnan aur Soofi sahib k khayalat tu ek jese he hain, ye loog jin ko aaj pori dunya Taliban ya Al quaida k naam sy janti hy, ye sabh bhi tu wohi nizam e hakomat chahte hain jiss ka zikr Pakistan k constitiution mai hy, 1973 ka constition bhi shayad ek islami falahi mumlikat ke baat karta hy jiss mai sif aur sirf Islam ke baladasti ho, ALLAH k qawaneen ko amal mai laya jai wagera wagera tu phir wok on c baa thy jo hum ko enn Taliban type k logon sy alag karti hain, mai khud abhi tak ziada tar jeanz shirt he use karta hon, mujhe loog ajeeb nazron sy zaroor dekhte hain mgr aaj tak etiraz kisi ny nahi kia aur na he esse areas mai jahan mai kaam kar raha hon kabhi koi essa waqia howa k jis mai meri jeanz ko ya mere city style k balloon ko ly kar koi masla khara howa ho. Mera khayal hy k hum ko apne kapron, aur es sooch sy bahar nikal kar k kon kitna muslaman hy aur wo kia pehenta hy wagera wagera choor kar srf apnea mal ko he esa banana chahiye k jiss k baad kisi sy kuch kehne ya mangne ke zaroorat naa rahe. Balke humare amal ko esa hona chahiye k jiss ko dekh kar loog hum par bharosa karain aur yaqeen k sath yeah keh sakain k ye muslim bhai ya behen hy. Essi hazaron misalain Nabi kareem SAW ke shariyat mai bhari pari hain, mgr afsoos k hum logon ny tu shariyat aur quran ko sirf aur sirf apni dukandari k liye rakha howa hy, beside sabh kuch wesa hota hy jesa aam toor par hona chahiye.

Muhtram. Namaz k tym namaz ada karma, apne parosiun aur walidain k sath ezat aur ehtiram sy paish ana. Non muslim sath khaloos aur ehtiram sy paish ana. Haq dark o uss ka haq ada karna. Beemaron ke teemar dari karna, zakat fitra aur sadqat ada karna yehi sabh tu Islam ka juz hain, abh agr eghrai mai jain tu amal mai ekhtilaf ho sakta hy mgr bunyadi concept mai ikhtilaf na mumkin hy.

Mere doston, Adnan & Group k kamon ka maqsad har jiz koi naya political group ya wing banana ka nahi hy aur na he hum kisi bi mazhabi ya siyasi jamat sy koi relation rakhty hain, hum sirf wou karna chahty hain jiss sy humare bhaiun ko kuch lamhat khusiun k mayasar asakain. Hum apne gharon ko chor kar, esse medan e jang mai aa bethe hain jahan khud hamare liye buat mushkilat hain, mgr jabh bhi hum apne dosre bhaiun ke taraf dekhte hain tu hum apni takleef bhol jate hain.

Aaj k liye etna he kafi hy doston. ALLAH pak ny agr fir kabhi mouqa ata kia tu zaroor aur batain honge.

ALLAH pak hum sabh par reham farmain aur hum ko haq ko haq aur batil ko batil samjhne ke toufeeq ata farmai aur hum ko shuhrat aur dolat jese nasoor sy mehfooz farmai, Ameen.