جمعرات, ستمبر 15, 2011

Victims of Flood & Rain in Badin, Sindh. Pakistan


With The Name Of ALLAH Almighty

Assalam O Alikum,

With due respect, We are working with the victims & refuges of Rain & flood victims in Badin (Sindh), the condition is going worse day by day (moment by moment in our sense).

This is our first Report regarding our Flood & Rain relief efforts in Badin (Sindh). In this report I want to show you up a true face of the area of working, the efforts form Government, N.G.O’s, Social & Political Organization as well as The efforts made by Team Ashiyana “Syed Adnan Ali Naqvi & Friends”. Thanks ALLAH Pak that we have mobile contact access in these location at yet to inform our friends and family that where we are and what we are doing with.

Brother’s & Sister’s,
I can’t imagine this worse condition of this area, I thought that rescue is already been done we need to work with the victims & refuges, but, still a massive rescue is need to be done. Role of other agencies is null, but Pak Army can see some place to working for the rescue. A huge displacement is waiting for. More then one lac victims need to be shift from these areas to safe place. I’ve heard that many of the political parties, government agencies, M.N.A’s, M.P.A’s, Senator’s, famous social agencies are already working with this massive disaster but unfortunately I’ve never seen any one of them, may be due to my weak eye side as don’t have spectacles to wear or special goggles, microscopes to see them or might as it was just a news not more then it. Whatever I can see the efforts from the local community and a few of social worker’s.

The location where I & my team are present is on the highway known as Badin – Thatta Highway. So far not seems as highway a road where you can see a huge rush of refugees.

In Roman Urdu:
Kia likhon? kia kahon? Kia bataon? Kia sunon? Kuch samjh nahi araha. Mai hamesha buhat emotional ho jata hon, khud per se control khatam hota nazer ata hai, mind mai hazaron sawal ate hain k ye sabh tu hum khud bhi manage kar sakte hain fir hum edher udher kiun dekh rahe hain. Kis maseeha ka waits kar rahe hain? Kia Asman se koi farishton ka group aye gaa jo hum ko enn mushkilat se nikale ga. Ya zamin per he koi avtar hoga jo ane k liye bilkul tayar betha hoga. Mere mind mai bhi yea awal aya k amai akhir Waziristan se yahan kiun agaya? Kiun majbour howa k mai Sindh aon aur yahan k logon k liye bhi kaam karon? Khud ko tasali de raha hon, samjha raha hon k abh agae ho tu kuch esa kar k jao k dosron k liye missal ban jae aur yahan k logon mai bhi khud jene ki umid jag jae, Waziristan se mere yateem bache (Orphan kids – 182) ka phone aya k Adnan Bhai ap jab tak nahi ana jabh tak aap ki zaroorat wahan (sindh) mai khatam na ho jae. Yeah wo jazba hai jis k liye mai etne salon (years) se wahan kaam kar raha hon.Aur ALLAH pak k fazl o karam se aaj Mere Waziri bachon ki, Waziri Bhaiun ki, Waziri Behnon ki soch mai tabdili aye hai. I know k ye koi buhat bari kamyabi nahi hai k lakhon mai se chand log apni soch ko badal sake aur esi soch ko apne sath rakhe. Mager main e apna tayari kari aur kam kia, homework k liye khud ko sabh k sath rakha, jahan jahan meri zaroorat pari gaya aur wo sabh karne ki koshish kari jo ek Muslim hone ki waja se mujh per mere ALLAH ne farz kia tha. Aur aaj jabh mai yahan (Sindh) aya hon tu heart mai hon, pareshan hon, afsurda hon, tarhan tarha k khayalat ate hain k akhir ye sab kia hai, ye tu modern province hai jahan taqreeban zindagi ki har sahoolat hai, elm o agahi Waziristan se akhi ziada hai, Masha ALLAH peducated log yahan hakomat kar rahe hai mgr fir bhi jahalat, be emani, afra tafri Waziristan se kahin ziada. Etni k ALLAH ka azab nazil na ho tu aur kia ho. Jab Karachi puhancha tu Tv dekhne ka etifaq howa, ek show chal raha tha j sach mai ek show he tha. Ntion k educated log Tv pe baith kar ye sabit karne ki koshish kar rahe thai k ye natural diseaster hain aur kon enn ki waja hai, koi hakomat koi opposition ko ess ka elzam de raha tha, koi khud kisi bhi tarhan ki responsibility lene ko tayar nahi tha. Main buhat choota, kam elm, aur enn sab chakaron se dor rehne wala ensan hon. Jo ALLAH k asolon per zindagi guzarne ki koshish kar raha hai, Mera elm, meri maloomat tu mujh ko yehi kehti hain k Azab e ELahi, khud se nahi aya karte balke hum ensan ese asbab aur kaam kar jate hain k jin ka silla sari qoum aur umaah ko bhugatna parta hai. Aur humari sab se bari kamzoori ek he hai k hum mai se koi bhi ensan kisi bhi tarhan ki galti ki zimedari khud lene ko tayar nahi hota hai. Aur ye sabh kuch jo aaj Humare mulk Pakistan mai ho raha hai wu humari esi gair zemedari ka result hai. Jiss ko hum sab mil k azab e Elahi keh rahe hain aur abh chahte bhi yehi hain ka ALLAH pak ne he yea azab hum per dala hai aur wohi ess ko khatam kare gaa. Yad rakhe koi nahi aye ga, jo karma hai hum sabh ne mil kar karma hai, hum sab ko apni zimeari ko samjhna aur pora karma hai, na he ALLAH ne zamin par ana hai aur na hi Farishton ke koi team akar raton raat humari qismat badal k jae ge, ek qoum ho kar, ek soch k sath he ohum khud ko behtri ki taraf le ja sakte hain.
Mai buhat shukar guzar hon Mansoor Ahmed Bhai ka jinhon ne mujh ko bar bar contact kia aur mujh ko majbour kia k main yahan (sindh) aon aur yahan k halat dekho aur apni job hi khidmat hain yahan sar anajam don, mujh se mere doston ne kaha k Adnan bhai aap Waziristan camp ko tu sahi se run nahi kar paa rahe hain wahan Sindh ja kar yea dono zimedari kese pori kare ge, Mai ne kuch dair socha aur aaj bhi eohi jawab hai k ALLAH Pak hai jo meri mehnat ko dekh raha hai, mere jazbe ko deh raha hai aur mere liye raste banana wala hai aur ALLAH pak k naam se apna kaam yahan shuru kar dia. Yahan akar kuch hasil ho na ho, mgr buhat kuch sekhne ko mil raha hai, Yahan k logon k sochne ka andaz, jene ka andaz aur ek dusre k liye jazba. Ye sabh mere liye naya nahi hai mgr waqt k sath sath ek buhat bari tabdili agae hai. Sindh aur shayad pore Pakistan mai log abh ek qoum nahi apni apni community k liye ji rahe hain, khud k liye ji rahe hain k shayad ALLAH pak ny hum ko ye mulk aur ye mazhab dia he khud ki falah aur taraqi k liye hai. ALLAH pak hum sabh ko hidayat ata farmae, Ameen.
Humar har dil aziz President sahib, Honorable Asif Ali Zardari, jo aaj kal London, U.K mai apne medical check up k liye gae hain. Aur abhi tak un k wapis ane ki koi umid nazr nahi ati. Pata nahi President sahib esi kon c beemari mai mubtial hain jis ka elaj tu kujja checkup tak Pakistan mai nahi ho sakta, meri haqeer maloomat k mutabiq president of Pakistan k pass hamesha mulk k behtreen doctors ki team moujood hoti hai aur behtren medical ke saholiyat, aur agr nab hi thi tu kia un k liye dunya ka behtreen doctor Pakistan bulwaya ja sakta tha. Mai ye nahi kehta k president ko mulk se bahar nahi jana chahiye tha, mgr kia koi mujh ko ya enn victims ko ye batlae gaa k agr president sahib mulk se bahar nahi jate aur wohi sari expertise aur expensives Sindh sirf Badin district k logon k liye de diye jate tu mai pore yaqeen se kehta hon k kam uz kam yahan k logon (victims & refuges) ko medical ka first aid he mil jata, aur kuch na sahi ek din k liye drinking water tu mil he sakta tha. Mgr ALLAH pak humare president ko seht, tandursti aur lambi umer ata farmae k wo jane esi kon c beemari mai  mubtila hai k jis k sirf check up k liye un ko London jana para aur ye tu sirf chechup hai ALLAH na kare k agr ess beemari (jis ka mujh ko elm nahi) ki tasdeeq ho jati hai tu elaj wagera par kia kharcha hona hai aur hakoomat e waqt aur kitne victims ka rizq medicines cheen k un k elaj k liye kharach kare ge. Tanqeed nahi hai ye haqeeqat hai, akhrajat ke maloomat k liye agr finance ministry se contact kare tu shayad wo bhi na bata sake. Ye sirf ek missal thi, hum mai se koi bhi kisi bhi tarhan mukhlis nahi hai, koi bhi kisi bhi tarhan se ye nahi chahta k hum kuch acha kare, buss jitna apni dozakh ko bhar sakte hain bharne k liye hele bahane dhoondh rahe hain. Mujh ko achi tarhan yad hain k last president ne ek general meeting mai farmaya tha k being a parto of government hum hamesha ek nai diseaster ka wait karte hian k kuch ulta phulta ho aur international aid aye kiun k abh tu humare logon ka pait aur dozakh Pakistani rupee mai nahi bharti balke abh tu hum ko dollar & punds ke adapt ho gae hai. Aur jabh hum Waziristan, Bajour, Sindh, Khber Pakhtonkhwa, aur degar elaqon k rehne walon k liye funds ke appeal karte hain tu humara khazana bhi khali hota hai aur hath bhi khali. Esi qoum barbadi ke tarfa nahi jae gee tu aur kider jae ge. Mai fir arz e khidmat kardon k kisi ki hatak ya dil azari mera maqsad nahi hai balke sirf wo kehna hai jo mai dekh raha hon aur samjh raha hon. Mujh ko log pagal kehte hain, deewana kehte hain, flirt kehte hain, fraud kehte hain, mger ALLAH pak ka buaht karam hai k mera ese logon k  liye kaam karma agar pagal pan hai, deewana pan hai, fraud karma hai, flirt karma hai tu mai ye karta hon aur karta rahon gaa. Mai khud ko buhat sare logon se behter janta hon k agr mai kisi ko ek luqma khana nahi de sakta tu cheenta bhi nahi hon. Agr mere bhai, behen aur bache bhooke hote hain tu kam uz kam mai bhi un k sath he bhooka bethta hon, ye hai Adnan aur yehi chahta hai Adnan. Mere sath enn 5 barson mai buhat log aye, buhat logon ne kaam kia koi kuch dair sath chala aur koi abhi tak sath hai aur koi aya dekha aur chalta bana, un sabh se main ne buhat kuch sekha, zindagi ka maqsad jo banaya hai ussi par chal raha hon, Aap mai se kisi ne mujh ko aaj tak kisi bhi Television talk show main nahi dekha hoga, kisi ne mera koi interview nahi parha hoga, kisi ne meri tasveren akhbarat mai nahi dekhi hongi, waja sirf yehi hai k mai khud ko enn sabh se buaht dour rakhta hon, ye jante howe bhi k ye sabh jo hai buhat zaroori hai aur shayad enn sabh se meri shuhrat ho jae, aur mere ko funds bhi buhat mil jaen, mgr mujh ko ese funds nahi chahiye jin ko lene k liye mujh ko apna              waqt waist kar k aircondition rooms mai bethnna pare, jiss ka koi faida nahi hai, mai apne bhai aur behnon ke bhooki nangi tasvere dikha k logon ki hamdardian nahi sametna chahta, kiun k har ensan ki tarhan enn victims, refuges, IDP’s ki bhi ezat hai aur ye bhi har Pakistani ki tarhan jene ka haq rakhte hain. Mai fir se emotional ho raha hon. Mager kia karon, nahi hota saber, nahi hota control, koi mujh par elzam lage bardasht k ALLAH pak par mamla chora, mgr mer bhai aur behnon k liye galat alfaz estimal kare, enn ki videos aur photos ko galat use kare ye bilkul bardasht nahi. Islam tu hum ko dars deta hai k jo karo esa karo k kisi k elm main bhi na ho. Mgr hum ko essi bemari lag gae hai k hum jo karte hain sari dunya mai dhandhora peetna chahte hain k aur log dekhe aur rashk kare, tarefon k pul bana dain. Yahan mai apne sath paish aye ek bat ko arz karma chahon gaa.
Last year jabh Khyber pakhtoonkhwa mai flood aya aur hum ne noushehra mai khud ko base kia that u hum se ek Jewish nai Tilaviv (Israel) se contact kia aur kaha k wo hum ko medicines, food stuff, aur echi khasi raqam dena chahta hai, main ny un sahib se arz kia k bhai, hum tu buhat chote log hain, na hi koi proper organizational setup rakhte hain tu hum etni bari aid ko sambhal nahi sakte aap United Nation, Government organization ya fir kisi bhi wellknown N.G.O se contact kare shayad wo aap ki emdad ko hathon hath lai sake aur uss ko manage bhi kar sake. Tu wu ahib farmane lage k nahi jo karma hai wo aap k through he karma hai, main nai Ashiyana Camp mai moujood apne volunteers se bat kari, apne camp mai moujood logon se baat kari, victims aur refugees se bat kari. IDP’s se bat kari, fir kuch mukhami logon se bat kari. Sabh ka ek hi jawab tha k hum ko Jewsih ki emadad qabool nahi. Mai ne apne kuch khayal un se share kare mager koi uss emdad ka 1 % bhi lene ko tayar nahi tha. Majboran mujh ko un Jewish sahib ko enkar karma para. Unhon neb hi buhat afsoos kia k wo tu Humenity k naam per humre through Pakistanies kei help karma chah rahe thai mgr nahi kar sake. Aur kuch he din k baad jabh flood ka zoor end howa, shor sharaba khatam howa, jo log apna circus le kar aye thai apna tam jham samet kar wapis chale gae aur victims & refugees akele hone lage tu sirf Ashiayan camp wale he nahi balke bahar wale bhi ane lage k bhai emdad nahi arahi hai. Kuch karo, apne contact use karo wagera wagera, uss time main ne kaha tha k dekho. Ek Yahoodi (Jewish) ek buhat bari umdad hum ko de raha tha k jiss se buhat logon ka bhala ho sakta tha aur shayad essi k zarye humare buhat sare behen bhai kafi liambe arse taka chi zindagi guzar sakte thai, hum ne enkar kar dia abh mai kahan se contact karon aur kia kahon un ko? Yad rakhiye ye na dekho k kon keh raha hai balke ye dekho k kia keh raha hai, Ye na dekho k kon kar raha hai, ye dekho k kia kar raha hai. Hum sabh ensan hain aur dosre ensanon ki ezat aur khayal rakhna hum par farz hai jis ka hiab hum ko har qeemat par dena hai.

Kher baat kahan se kaha chali gae. Mai aaj bhi apni pori koshish karta hon k jese mere camp mai rehne wale bhai reh rahe hain wesi he life mai bhi guzaron. Aur aaj jab yahan (Badin – Sindh) aya hon, tu ye dekh kar dil khoon k anso ro raha hai k humare log yahan ane k liye 4x4 vhicle ki talash main hain, ya koi heli ya chopper mil jae, Lahola wala, yani esse time bhi hum ko luxuries ki pari hoi hai. Aria Adnan bhi tu yahan aya hai, hazaron loog edr se udr ho rahe hain un sabh k pas kia 4x4 hai ya koi heli hai ya koi uran khatola jis pe beth kar hum move kar rahe hain. Sirf aur sirf jazba he kafi hai. Aur wo jazba hoga Ensaniyat ki bhalai ka, apne bhai aur behnon ki bhalai kaa. Aye kash, k esa ho jae k jesa humare politicians tv chows mai farma rahe hain. K kisi party ne 100 truck bheje hain, kisi party na 200 truck bheje hain, kisi nai hazaron rupee taqseem kia hain, kisi ne lakhon tons anaj taqseem kia hai. Abh yetu wohi jante hian k kis ko dia hai aur kabh dia hai, mai tu highway per betha hon aur shayad yahan se koi shortcut ho jis se ho kar humare ye log jate honge mujh ko tu en last 3 days mai koi esa ensan, truck ya saman nazer nahi aya. Jis ke taqseem mere samne hoi ho. Saman tu buhat door ki bat hai. Mai ny khud apne kuch doston se appeal kari k bhai kuch doctors ko bhej do jo ziada nahi sirf 2-3 din humare sath rahe, aur victims ki vecination kar dain, kiun k malaria, dengue, flue, daeria wagera ki beemari buhat tezi se phel sakti hai tu sabh ne he koi na koi bahan kar dia. ALLAH jane k jese kal en ko enn hadisat ka samna nahi karma parh sakta.  Ek bottle pani khareed k dete howe tu log ese sochte hain k jese hum ne un se un ki zindagi ke koi buaht qeemti cheez mang lie hai. Kuch karne k liye aur kuch dene k liye duhat bara aur kushada dil chahiye hota hai. Jo buhat kam logon k pass hai. Mere pass esi kuch misalain hain k jo log day one se huamre sath hain thoda he sahi mgr humari help zaroor karte hain. Aur jabh un se un ka nam pocha jata hai tu wo nahi batate balke kehte hian k bhai ALLAH ne hum ko jo dia hai uss mai se buhat kam he kar rahe hain aur nam k liye nahi apnea mal k liye karte hain. Kash k yehi jazba hum sabh mai ajae tu hum buhat agai ho jain.

Muhtram, bataion tu buhat hain, mgr log kahe ge k ye Adnan wahan kam karne gaya hai ya sirf batain banane k liye, mai jo sochta ho aur jo samjh mai ata hai keh deta hon, munafiqat karni nahi ati. Jo mai kar sakta hon kar deta hon aur jo nahi karsakta mamla ALLAH pak pe chor k sabh ko bata deta hon.

Mere kuch dost yahan (Badin) mere sath moujood hain, aur yahan k halat dekh rahe hain, mai har hour k bad required items ki list banata hon aevery 24 hours uss ko re check kar k apne volunteer sathiun k hawale kar deta hon aur enn sabh mai jo highly reqired items hote hain wo hasil karne ki koshish karta hon. Filhal k kuch calculations jo hain wo aap ki khidmat mai arz hain, ess umid per k aap hamesha ke tarhan humari maddad kare ge, k kuch aur ache kam hum se anjam ho jae, sath sath hum aap sabh se ye appeal kare ge k Badin, Karachi ya Hyderabad se ziada dur nahi hai, humare universities mai parhne wale bhai behnen jo hamesha advanure ki talash mai rehte hain yahan asakte hain humara hath bata sakte hian, hum ko filhal yahan Doctors and pera medics ke buhat zaroorat hai, drinking water & medicines humara main object hai. Baqi tafseelat aap niche parh sakte hain, Appeal ek he hai k aap khud kuch karne ki koshish kare, aap apne doston k sath ek team bana kar asakte hain, aur jo kuch karma chahe kar sakte hain, ap kisi bhi N.G.O’ social working group, political social wing koi join kar sakte hain ya fir humare sath kam kar sakte hain. Yaqeen kariye k hum sabh mil kar essi mushkilat se nimat sakte hain, United Nation, ya international aid tu jabh aye ge tab aye ge aur jabh bate gee tu jotiun maid al ke tarhan k jese pehle howa hai. Ess liye kisi ka wait mat kariye aur khud agae barh kar kaam kariye, jis mai aap ko tasali bhi mile ge aur sakon bhi.

Enn last 3 days mai jo hum ne kia wo kuch ese hai.
Medicines supply: about 300 women
Medicines supply: about 100 children

Food supply: including drinking water and one day food stuff. 200 victims.

Kuch aur saman pipe line mai hai, kuch purchasing ho rahi hai, agr humare doston mai se koi transporter bhai hain jo munasib qeemat le kar humara saman Karachi se yahan puhancha sake, ya koi ese bhai jo humare saman ko transport karwa sake tu please hum se contact kare, humre ese dost jo pharmaceutical and medical stores se munsalik hon un se appeal hai k sample wali medicines hum ko donate karain. Ese dost jo k drinking water hum ko de sakte hon wo hum se contact karain. Hum tu abh Mineral water ko nahi dhoondh rahe balke kuch doston k gharon mai filter lage howe hain khali bottle ko wash kar k uss mai wohi pani bhar bhar k jama kar sakte hain aur hum ko de sakte hain. Humare wo dost jo apne daily expense se apne smoking k kharcho ko rok k just ek packet biscuit ka khareed k hum ko de sake, humare ese dost jo apne 5-10 clothes mai se sirf ek jori kapron ki ya jotiun ki hum ko de sake, tu hum sabh ek buhat bari miqdar mai saman ekhata kar sakte hain aur buhat bari supply line bana sakte hain, ye sabh ese kam hain jo hum buhat asani se kar sakte hain, kisi k samne ja kar help mangne ki zaroorat nahi hogi. Ye sabh tu hum khud bhi kar sakte hain. Buss jazba hone kid air hai. Bharosa aur yaqeen rakhne kid air hai. Rahi Ashiyana Team, (Syed Adnan Ali Naqvi & Friends) per bharosa ya yaqeen hone kit u hum ko na dekhe aap khud ko dekhe, hum ko na dain aap khud kare, abh tu aap ko Waziristan nahi jana hai ye tu aap k buhat khareeb hai. Aye aur khud kariye, Hum tu yehi jante hain k Jo ALLAH par bharosa aur yaqeen rakhta hai woe se kamo par aur kaam karne walon per bharosa aur yaqeen rakhta hai. Hamesha ki tarhan meri aur mere team members ki pori koshish yehi hai k hum khud ko media se jitna door rakh sakte hain rakhe. Kiun k hum apne kaam ke tashheer ya advertisement bilkul nahi chahte k jis ko hasil karne k bad hum apne maqsad aur means se door ho jain.

Humari kisi bhi tarhan help karne ya yahan k halat ko janne k liye hum se rabita kariye.
Insha ALLAH apni pori koshish karon gaa k yahan k halat se jitna ho sake aap ko agahi deta rahon, Mere kisi bhi lafz ya bat bat se agr kisi ki dil azari hoi ho tu maafi chahta hon, mgr ye mere khayalat thy jo aap sabh k sath share karma zaroori thai. ALLAH Pak humari eslah farmae aur hum ko sabit qadam rakhe, Ameen.

Humare contact:
Syeda Faryal Zehra faryal.zehra@gmail.com

+92 345 297 1618 / +92 333 34 26031
+92 313 279 8085 / +92 323 846 6089
+92 342 265 0964 / +92 334 228 9783

Humari location:
Badin Thatta higway (Team Ashiyana Medical Camp).

Jazak ALLAH
Syed Adnan Ali Naqvi & Friends
Team Ashiayan, “Relief efforts for the Flood & Rain Victims – Sindh”