منگل, اکتوبر 08, 2013

In the memory of October 2005 Earthquake (Syed Adnan Ali Naqvi)

Muhtram Doston aur Sathiun,

Assalam O Alikum,

ALLAH Pak ki zaat -e- Aqdas se umid krta hon ke aap sab kheriyat se honge. ALLAH Pak aap sab ko Umr ki tmmam khusiyan aata farmae - Ameen.

Aaj October 8th hay, aaj se pore 7 baras pehle esi waqt main aik normal Pakistani ki tarha apne office kay kamon main mashghool tha. essi waqt mujh ko meri ammi ki call aye aur ammi ne kaha Beta Islamabad main buhat zabrdast earthquake aya hay, yeh khabar hum sub office wale buhat pehle he sun chuke thy aur tv par dekh bhi rahe thy magar earthquake say hone wali tabahi ka andaza lagana mumkin nahi tha. 

Phir din guzarta gaya aur earthquake say hone wali tabahi ka manzar saaf hota gaya, jese jese waqt guzar raha tha holnaak tabahi ka manzaar saaf hota jaa raha tha, kabhi KPK say tabahi ki news arahi thi aur kabhi Azad Kashmir say aur phir aik lamha aisa bhi aya jis main mujh ko yeah pata laga kay Islamabad kay Margala Towers ka jo portion girr gaya hay iss portion main hum apni sister aur uss k bache ko kho chuke hain. Ammi ki halat dekhi nai jati thi, kisi pal yaqen nahi ho raha tha kay aisa bhi mumkin hay, aur jab main Islamabad puhancha tu sirf margala tower he nahi girra tha balke pora Muzaffarabad, Balakot gir chuka tha, sirf aik meri sister he nahi khatam hoi thi balke hazaron behnain, bhai, aur bache khatam ho chuke thy. Iss Earthquake ne sirf meri he life ko nahi balke mere jese hazaron Pakistaniun ki life ko aik dam say badal kar rakh diya tha. October 8, 2005 ka din hum sab ko buhat kuch day gaya tha, har taraf tabahi he tabahi thi. kuch din baad jab hum apni behen ko Islamabad kay margala tower  kay malbe ke neche talash kar rahe thay ussi waqt kuch log hamari taraf aaye aur hum say ek buzurf ne pocha,
 "beta kia kar rahe ho?"
 main bola "apni behen aur uss kay bache ko search kar raha hon." buzurg ne kaha "beta, yahan tou talash karne wale buhat hain wahan jao jaha koi nahi jaa raha."
main bola, "kahan?" 
buzurg nay kaha "kahi bhi magar jao kiun kay hazaron loog hain jo bilak bilak kar mar rahe hain hazaron loog hain jin ki maddad kay liye abhi tak koi nahi puhanch saka hay, jao aur himat, sabar aur isitqamat say kaam lena, himat na harna, koi bhi mushkil aye magar peche nahi hatna, yehi aik insan ka faraz hay aur aik muslim ki responsibility hay."
Main ne apni ammi ko kaha kay ammi mujh ko ijazat dain kay main Muzafferabad jaon ya Balakot jaon, 
Meri ammi ne aik aur afsoos wali baat batai kay mere chote bhai jokeh Pakistan army main under training tha ka kuch pata nai lag raha wu in days main Balakot wali site par tha. 
Meri himat kamzoor ho gai, main pora aik din sirf yehi sochta raha kay yeah sab kia hay? kis ka hath hay in sab kay peche? kon hay jo iss earthquake ka sabbab bana? aur phir aik fesla kia. aur apne fesle say ammi ko agah kia. doston ko bataya kay main kia karne ja raha hon, tmam logon say kaha kay agr koi mere sath ana chahe tu theek nahi tou main akela he chal paron gaa. 
Aur phir ammi ki duaon, doston ki aik chotti se team bana kar main chal para aur earthquake say mutasir apne pakistani bhai, behnon ki maddad karne ka faisla kia. October 8, 2005 kay baaad pora month main jahan jahan gaya sirf aur sirf mout ko dekha aur iss say barh kar insani be-hisi, insan ki khud gharzi ka bharpur muzahira dekha.

Aise main BBC Urdu Service walon ne mujh say contact kia aur muj ko kaha kay agar mumkin ho tu main apne social work ko likh kar BBC Urdu Service walon ko bhejon. doston say mashora karne kay baad main ne kuch days tak yea bhi kia, aur Sach pochain tu aaj agar main apne social work main itna agay hon tu  iss main buhat bara kirdar BBC Urdu service aur in ki team ka bhi hay, meri himat jab jab khatam hoti, BBC Urdu service main mojood Aliya baji, Musaddiq bhai mera buhat hosla barhate, mj say halat pochte, meri himat ko barhate, mujh ko hosla dete. aur shayad in logon kay issi hosle nai aaj muj ko aik mazboot aur sabr wala insan bana diya hay. Mout say muslim kabi nahi darta, aur insani khidmat say barh kar koi bhi kaam nahi ho sakta.   

October 08, 2005 ka earthquake ka baad meri maddad buhat logon nai kari, aksar log ne buhat bari bari umid dilai aur beech raste main sath choor gaye, main aaj kay din October 08, 2005 kay tamam marhomen kay liye dua karta hon kay ALLAH Pak in sab ko jawar e Rehmat main jaga de aur tamam zinda bach jane walon kay liye hidayat ki dua karta hon, ALLAH Pak mujh ko bhi hidayat de, toufeeq day, himat de, sabar day hosla day aur istiqamat day - Ameen.

Main October 2005 ka earthquake kay baad mujh say contact karne wale aur meri maddad karne wale tmmam bhai behnon ka buhat hukar guzar hon jinhon nay mujh ko dekhe baghar, mujh ko jane baghar meri maddad kari, mujh ko hosla diya, meri rehnumai kari, ALLAH Pak aap sab ko ajr e azeem day.

Main khaas kar BBC Urdu team "Aliya Baji, aur Musaddiq bhai" ka dill ki gehraiun say shukar guzar hon, kay meri zindagi ko badalne main mujh ko insani falah aur falahi kamon main itna magan hone main aap ka buhat bara kirdar hay. ALLAH pak aap ko bhi jazae khar de." aap sab log buhat achay hain aur jis tarhan aap logon nay meri himat barhai ussi himat kay sahare aaj tak mera falahi khidmat ka mission jari hay, main akela hon ya koi sath ho main ruka nahi 2005 say jari hone wala safar jari hay aur har guzerte din kay sath meri himat main iazafa hota jaa raha hay.

Jazak ALLAH
Aap ka bhai
Syed Adnan Ali Naqvi

 
http://www.bbc.co.uk/urdu/interactivity/specials/1640_adnan_diary_ms/index.shtml