جمعہ, نومبر 26, 2010

Urjent Required Itmes In for Flood Vicitms & IDP's

With The Name Of ALLAH Almighty

Assalam O Alikum,

ALLAH jo hum sabh ka malik, raziq, aur humari janon ka nigahban hai. ALLAH pak ka fazl o karam se, ALLAH ke mehrbani, rehm se hum log Waziristan aur Noshehra mai moujood IDP's & Flood victims k liye apni khidmat sar anjam de rahe hain. Humari khidmat mai yaqeenan koi na koi kotahi reh jati hai, hum har waqt apne doston aur families se contact mai nahi reh sakte, aur funds ke buhat kami hone ke waja se na he hum ache mobile phone aur na he laptop ya internet ke saholat se apne aap ko manage kar sakte hain. Jiss ke wajha se humare blogs aur humare contact har kuch time k baad bar bar disconeect ho jate hain aur hum yahan k halat aur waqiat se agahi dene ke position mai nahi reh pate hain, Jiss k liye hum apne doston aur family members se sharminda hain.

Hum ne kuch din pehle apne blogs par Taliban k sath guzare howe kuch din share karna shuru kiye thai likin humare dost aur ehbab hum sebuhat khafa howe k hum shayad apne maqasid se hat rahe hain ya fir hum bhi kisi na kisi tarhan kuch alag qisam ke activities mai mubtila ho rahe hain. Lekni esa har gizz nahi hai hum sirf yaan k halat se apne sathiun ko agah karna chahte hain. K yahan k logon ko ess poru war mai kia kia khona par raha hai aur kia hasil ho raha hai.

Humara aaj bhi focus sirf aur sirf apne bhai behno ke khidmat karna he hai, jiss k liye hum apne harm umkin dastiyab wasail ko estimal kar rahe hain. Hum bar bar appeal karte hain, hum apne volunteer's se jo alag alag cities mai hain un se appeal karte hain k hum ko jo bhi zarooriyat hain un ko pora karain. Aur kabhi bheek mission kabhi, door to door goods collection aur kabhi internet k through appeal karna shamil hai. Humare kuch doost apni tammam koshish k sath humare sath moujood hote hain aur kuch chah kar bhi humari maddad nai kar pate hain, hum ne aap sabh ke duaon, muhabbat se he etna safar complete kia hai aur jo baqi reh gaya hai hum ko ALLAH pak ke zaat se pori umid hai k wu bhi INSHA ALLAH asani ya mushkil se mukamil ho jai gaa.

Hum aaj yahan aap se kuch appeal kar rahe hain ess umid par k aap sab sathi humari aur yahan k logon ke mushkilat ko samjhe gai aur apni chooti chooti maddad k zariiye he humari maddad kar k hum ko ess emithan aur mushkil time se sruquru hone ke estiqamat ata farmain ge. (Insha ALLAH).

Muhtram, Jesa k aap sabh k knowledge mai hai k aaj kal mehngai kiss had tak barh gai hai aur hum ko kisi bhi tarhan ka koi discount nahi milta hai. Aap k samne humare 2 camps (Nosehra & Waziristan) mai run ho rahe hain. Mousam buhat sard ho gaya hai, hum chah kar bhi apne bhaiun aur behnon ke uss tarhan maddad nahi kar paa rahe hain k jesa ke wu mustahiq hain, hum ne Eid Ul Uadha par door to door chanda muhm bhi shuru karna chahi lekin yahan halat ye hain k jo dikhta hai wu bikta hai, humne media ko invite kia lekin koi proper approach na hone ke wajha se humari koi shunwai nahi hoi, hum ne ess medan mai moujood buhat sari NGO's ko bhi approach kia lekin hum ko koi proper response nai milla, GOVT ke organzations ko bhi approach kia lekin koi bhi ahca reply abhi tak nahi aya mushkil mai hum aap k samne he hazir hote hain. Aur ek dafa fir apni need (zarooryat) aap tak puanchte hain k ALLAH pak koi sabbab ya source essi bana de k hum apne bhai aur behnon ke maddad kar sake.

List of Urgently required Items:
  1. Warm clothes for all ages specialy, Jackets, sweaters, shawls, Blanket, wool clothes from the ages of 2 years till 40 years (both male & female) “hum ko new clothes mai koi interest nahi hai apa k gharon mai agr ek bhi esa kapra ho jis ko aap use nai kar rahe hon aur aap samjhte hain k wu garam kapra hai tu aap hum ko call karain aur hum ko batain k wu kapre kahan se uthane hain humara koi na koi volunteer aap k gher se wu kapre utha kar yahan (noushehra / waziristan) hum ko puhancha de gaa, Insha ALLAH.
  1. Wood, coal, Mach box, Candle, plates, dishes, (a few kind of kitchen stuff)
  1. Food stuff, (Rice, flour, beans “Daalain”, Spices, Suger, Tea) Urgently required.
  2. Medicines: For Cough, Fever, Viral Infections, Skin deseas & Antibiotics.


Muhtram, above mentioned things are urgently required for the flood victims who are living under the shade of Syed Adnan Ali Naqvi & Friends in Noshehra and IDP”s of Waziristan.

For the name of ALLAH Almighty, We are assuring you that you goods will be distributed in clean way into all victims & IDP's, Insha ALLAH. Being a muslim hum sabh ka ye manna hai k agr aaj hum koi bad diyanti karte hain, koi galati karte hain tu ALLAH pak k hazoor roz e hashar hum sabh ko uss ka jawab dena hoga aur esi jazbe k tehet hum aap se appeal karte hain k enn sabh zarooriyat ko pura karne k liye humari maddad farmain, aur hum ALLAH k hazoor kamyab hone mai humara sath dain, ALLAH Pak aap ko aur hum sabh pe apna rehm, fazl aur enayat farmai, Ameen


Jazak ALLAH
Aap ke duaon k talabgar,
Syed Adnan Ali Naqvi & Friends
A group of social volunteer's.
Noshehra (Khyber Pakhtoonkhwa) & Waziristan (Khyber Pakhtoonkwa).

For the colletcion of goods please contact with:
Faryal Zehra: faryal.zehra@gmail.com (+92 343 535 7247)
Mansoor Ahmed: mansoorahmed.aaj@gmail.com (+92 334 228 9783)
Muhammad Nadeem:nadem.mohd@hotmail.com (+92 300 363 9662)
Syed Adnan Ali Naqvi: s_adnan_ali_naqvi@yahoo.ca

For any kind of Money (funds) transfer:
Ashiyana”
Ms. Badar un Nissa.
A/c # 0100-34780-0.
United Bank Limited.
Gulistan e Joher Branch. (1921)
Karachi, Pakistan.
Swift Code: UNILPKKA