پیر, مارچ 08, 2010

Waziristan ki Rozina Bibi ka Letter.

بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
Assalam O Alikum,
Waziristan k area Sararogha ke rehne wali humari behen Rozina bibi ny mulaqat kari aur kaha k uss k khayalat baqi logon tak puhancha diye jain, wu jesa jesa keh rahi hain mai wese he likh kar aap ko send kar raha hon. Aap ess ko apne blog par load kar dain.
Jazak ALLAH.

Assalam O Alikum,
Mera naam Rozina Bibi wald Zaryab hy, hum loog Waziristan k area Sararogha k rehne wale hain, Humari tehzeeb aur muashiry mai hum ko kisi gair mard k sath baat karna tu dour ke baat dekhne ke ejazat tak nahi hy. Jabh Waziristan mai operation shuru howa tu humare area mai Jirga lagaya gaya, masjid sy élan howa k hum loog 48-hours mai area khali kardain, jo loog area khali nahi karain gy un ko Taliban samjh k unn k khilaf karwai kari jai gee. Humare buzurgon ny yeah faisla kya k jitna jaldi mumkin ho area khali kardain apni aurton aur bachon ko yahan sy lai jain, Govt ke taraf sy élan kya gaya k Sararogha sy nikalne wale logon ko panah dee jai gee, unn k khane peene ka entizam kya jai gaa un ko ezat k sath rakha jai gaa, hum mai sy kuch loog tu apni gariun mai rawana howe aur kuch loog Govt ke bheji gai gariun mai baith kar rawana howe, hum sabh ko yaqeen tha k humare gher bar, janwer, ezat aur hurmat mehfooz rahe gee. Mager jese hum ko Waziristan sy bahar ly jaya gaya humare sath janwaron wala salook howa., pehle tu hum ko tents mai rakha gaya humare khandan k buzzurgon, mardon, bachon aur aurton ko alag alag kar dia gaya, buzurgon aur jawan mardon k sath buhat he be ezati kari gai, unn sy ajeeb ajeeb sawalat kare gai, un ke ezaton ko pamal kia gaya, phir aurton k sath buhat he touheen amez rawaya rakha gaya. Ess operation sy pehle humare area mai Taliban ny apni hakoomat rakhi hoi thi, wou humare maal, maweshi jabh chahy aur jiss tarhan chahe use karte thy, humari ladies sy jis ka chahe nikah parwa diya karte thy. Humare bachon ko school ke taleem hasil karne sy rook diya karte thy, mutlab yea k hum sabh Taliban k mehkoom thy, humare buzurg jo buhat ziada Islamic mind rakhty hain unn k kafi baton sy agreed bhi hote rahe kabhi majbooran kabhi naa chahte howe bhi. Aur jabh Taliban k khilaf operation howa tu hum ny sakoon ka sans liya k abh halat behter aur sahi ho jain ge, mgr hum logon k sath jo salook rakha gaya aur rakha jaa raha hy wo buhat touheen wala hy, humare buzurgon ko lambi line mai khara kar k un ko food supply k naam par kuch saman pakra diya jata hy (wo bhi weekly) ye saman humare 19-22 afrad k liye bilkul pora nahi hota. Humari aurton ko ager koi beemari ho jai tu un ko anparh, jahil aur choote mind wale doctors k o dikhaya jata hy jo humara elaj kam karte hain aur apna elaj ziada (ye batain ziada khol kar nahi batai jaa sakti). Pichle dino humari chooti bhabhi ko zachgi (bache ke pedaish) k liye ek doctor k pas bheja gaya jo bilkul jahil tha. Humare area mai ek mard ke taraf dekhna thak gunah samjha jata hy mgr yahan humarai bachon ke paidaish k liye male doctors bheje gai hain wo bhi shayad doctors nahi hain. Beemari chahye koi ho hum ko sirf Ponstan ke tablets ya Calpol ka syrup dy dia jata hy. Humare bache jin ka adha mustaqbil already he Taliban ke wajha sy barbad ho chukka tha abh esa lagta hy k enn halat mai humare bache bilkul barbad ho chuke hain. Hum loog apni family k sath pehle D.I. Khan mai thy mgr wahan NGO’s ny afrah tafreeh laga rakhi hy jahan humare buzurgon ny ye faisla kya k chahye kuch bhi ho apni ezat k khialf hum na tu koi koi kaam karain gy na he kisi ke bat sunain gy. Hum pehle Abotabad gai aur abh Peshawar agai hain. Yahan hum 22 afrad ke family ek 2 kamron k makkan mai rehti hy jiss ka kiraya aam halat main Rs. 1000-1500 hona chahiye abh
Rs. 3000/= hy. Humare mard mehnat mazdoori karne k liye subh nikalte hain mager yahan hum ko koi kaam bhi nahi deta. Majboran humari aurton ny socha k wo gharon mai kaam karain mgr ye tajurba bhi nakam raha. Kiun k ensaniyat tu shayad kahin dafan ho gai hy har koi hum jese logon ke majbori sy faida uthane ke koshish kar raha hy. Hum ko kisi ny Adnan bhai aur Ashiyana k bare mai bataya hum enn logon ko buhat dinon sy talash kar rahe hain kiun k hum buhat thak chuke hain, hum har NGO k pas gai, koi kehta hy k sabh k B’ form lao, koi kehta hy k application likh kar du, koi kehta hy k kisi ka reference ly kar aoo etc etc, Govt ka tu ALLAH he hafiz hy, kabhi kisi wazir ya mushir (minister or advisor) ny humari khaber na lee, MPA ya MNA ka naam tu hum ko pata bhi nahi hain. Esse mai hum log agr jain bhi tu kahan jain? Abh tu Masjid jane sy bhi daar lagta hy k kabhi koi Taliban attack kar dy aur naam humare buzurgon par ajai. Hum loog Karachi jana chahty hain mgr ess bhai ny bataya k Karachi jaa kar bhi wohi sabh kuch milna hy jo yahan mil raha hy. Hum ko koi jawab dy k akhir humara qasoor kya hy? Hum loog tu apni zindagi jese tese kar k guzar he rahe thy Taliban thy halat jese bhi thy, mager hum ko apne gharoon par tu thy, wu ek gher sy ek jawan ly jate thy mger uss ek jawan k badle hum ko apni zindagi guzarne ke ejazat tu thi hum bhi apne dilon par pathar rakh kar ek jawan ke qurbani dy dia karte thy k ezat tu mehfooz hy, apne ghar par tu hain rozi rooti tu chal rahi hy. Mgr ye operation k baad kiss ke zimedari (responsibility) hy k hum jesse hazaroon (thousands) logon ka khayal rakhain, hum ko ziada nahi chahiye, hum tu sirf ezat sy rooti aur apne bachon k mehfooz mustaqbil ke bat karte hain. Koi kehta hy k hum ko apne areas mai jane ke ejazat milne main abhi aur ek dou mahina lag sakta hy. Etna time hum kahan guzarain gy aur kese guzarain gy? Aur ess bat ke kya zamanat (surety) hy k jabh hum apne areas mai wapis jain gy tu wahan sabh kuch pehle jesa hoga, humara ghar, humara karobar, humara rhena, hum ko tu ye bhi pata chala hy k humare gharon par etne bombing kari gai hy k abh tu sahi sy pata chalana mushkil hy k kon sag her kis ka hy ya koi gher tha bhi k nahi. Govt jabh dekho apna rona rooti rehti hy akhbar (news papers) tv mai dekho tu enn k pass khud k liye kuch nahi hy tu ye loog humare liye kia karain gy. Hum loog ese halat mai akhir karain bhi tu kya karain? Mai ny thoda buhat parha likha hy, aur apne area sy nikalne k baad ess dunya k buhat rang dekhe hain. Jaga jaga jaa jaa kar thak gai hain. Abh tu ese lagta hy k ess Govt k operation sy acha tu Taliban he thy. Ya fir Govt ko chahiye tha k hum ko wahan sy nahi nikalti, bagair batai he hum par bombing kar deti naa hum zinda rehte na he ye rona hota. Na hum dar dark e thokarain khate. Na humari aurton ko ese be ezat hona parta na humare mardon ko un khwar hona parta.
Army walon ny tu apna kaam sahi kya hum ko pori ezat k sath humare areas sy nikala aur sunna hy k operation bhi kamyab ho gaya, wu Taliban jo Islam k naam par hum ko ruswa kar rahe thy jin sy hum sabh pareshan thy un ko abh chupne ke jaga bhi nahi mil rahi hy. Mgr abh ye kiss ke zimedari hy k hum ko humari ezat wapis dilai jai. Apne area sy nikalne sy pehle hum tu buhat khush thy k hum tu Pakistani hain aur Pakistan k liye apne gharon ko, apni roozi rooti ko qurban kar rahe hain mager yahan anai k baad esa lag raha hy k jese hum he sabh sy bare mujrim hain, Taliban jese hum he thy balke ulta Govt aur NGO’s hum par ehsan kar rahi hain.
Meri apne sare Pakistani Bhaiun sy appeal hy, Khuddara hum ko aur khilona na banain, hum ko aur zaleel aur ruswa na karain, humari ezaton ke hifazat karain, humare buzurgon ke esi touheen na karain k hum bhi sharminda ho jain. Hum tu paharon mai rehne wale loog hain, mehnat, ezat, halal rooti khana humari riwayat hy. Hum esse halat mai bhi apne liye rozgar mangty hain k jis sy hum apne bachon ka pait paal sakain, hum kisi par bojh banna nahi chahte hain, hum bheek mangna nahi chahty, hum dobara sy Taliban k hathon nahi lagna chahty hain. Hum logon bhi Pakistani aur Muslim samjha jai. Humari bhi ezat wese he kari jai k jese es mulk k badshahon ke hoti hy. Humare liye bhi wou sabh mawakhe (opertunities) rakhi jain jo k Peshawar, Islamabad, Lahor, Karachi walon ko haisl hain. Ager emandari (honesty) sy dekha jai tu hum sy ziada Muslim aur Pakistani kon hoga jo ess mulk ke khatir apne gharon ko qurban kar chukka ho. Apni janon ko qurban kar chukka ho. Aur shayad apni ezaton ko bhi qurban kar chukka ho.
Mai Rozina Bibi, aaj himat kar k yahan ess bhai k pass aye hon, aur mujhe yahan akar kuch ziada tu nahi mila mgr himat, sabar aur hosla zaroor mila hy. ALLAH ess bhai ko bhi khush rakhe. Ess sy pehle Media wale milty rahe hain, akhbar wale milte rahe hain, ghanton humare pass baith kar humari kahaniun sunte rahe hain aur apne channels aur akhbaron mai likh likh kar khoob kamai kama rahe hain. Kya yehi ensaf hy? Kya yehi Pakistan hy? kya yehi humari qurbaniun ka silla hy? Jo bhi mila ek bar mila wade kare aur gayab ho gaya? Unn k peche jao tu sahib kabhi meeting mai hote hani kabhi out of the city. Abh hum ese mai jain bhi tu kahan jain? Karain bhi tu kya karain?
Mager mujhe meri baton ka mere jese khandano ka jawab kon de ga? ? ? KHUDDA ke qasam ji tu yehi chahta hy k apne sare gher walon ko zeher pila don aur khud bhi apne aap ko mar lon.

Ek sache Pakistani aur Muslim,
Aap ke behen Rozina Bibi aur Khandan wale.
R/o Sararogha. (Waziristan).
Current R/O, Old City Peshawar
.

Ps: Dear all, yeah sirf ek khatoon ke bipta nahi hy, essi pata nahi kitni khawateen hain jo apne Dillon mai zakh liye howe hain, mgr zabans sy uff tak nahi kar rahi hain kiun k yahan k logon ka culture enn ko ess bat ke ejazat nahi de raha. Agr mujh sy pocha jai tu mai kabhi bhi ye bipta na likhon na sunaon, kiun k ess Rozina ki tarha mujhe bhi pora yaqeen hy k loog ess ke kahani ko sirf ek kahani ke tarha sunain gy, dekhain gy aur parhe gai aur ufff, touba, Ya ALLAH keh kar ek dafa fir sy apne apne kamon mai masrof ho jain gy, ese logon ke daad rasi karne ya enn ke maddad ko koi nahi aye gaa aur shayad Rozina bibi apne khandan walon k liye ezat dhoondhti, apne bachon k liye ache mustaqbil ke umid karti ess dunya sy kooch kar jai gee. “Ashiyana, kuch ziada tu nahi kar askta, mgr apni pori koshish kare gaa. Kuch ziada nahi tu Ashiyana ka ek member ess khandan k sath mustaqil contact mai rahe gaa. Insha ALLAH.
Yeah record mai rahe k yeah sabh Rozina Bibi k kehne par hi upload kia jaa raha hy, Humare pass camera wagera nahi hy nahi tu Rozina Bibi ny apni aur apne khandan ke video & pictures banana ke ejazat dy de thi. ALLAH Pak ess khatoon aur enn k khandan walon ko himat, hosla aur saber ata farmai, Amen.
Jazak ALLAH.
Syed Adnan Ali Naqvi