پیر, جولائی 19, 2010

Drone;s & jet fighters "Zindagi aur attacks"


With the name of ALLAH Almighty

Assalam O Alikum to all friends & readers.

ALLAH jo hum sabh ka Malik, Raziq, Karam karne wala aur hum per Reham karne wala hai, ALLAH ne hum ko ek Islamic republic mulk ata farmaya jis ko banate waqt humare buzurgon nai buhat qurbanian den, Pakistan jis maqsad k liye hasil kia gaya wu tu shayad abh sirf kitabon main ya kuch bache howe buzurgon k dilon main he reh gaya hai aur humari qoum abh jis sarab mai mubtila hai aur naam nihad Azadi “Freedom” aur Roshan khiyali ka soch rahi uss k liye buss ek aah dl se nikalti hai. Main aaj aap sy k samne koi taqreer nahi karon gaa, na hoi essi baat jis sy mai kisi k liye hatak amaiz alfaz estimal karon. Lekin Pakistan ka ek citizen hone ke wajha sy mujh par farz hai aur mujh par lazim hai k mai kuch kahon wu jo main dekh raha hon, mehsooos kar raha hon. Aaj Pakistan mai har taraf ek khoon rezi hai, koi ess ko dehshat gardi ka naam deta hai koi ess ko war on terror koi ess ko dushman mulk ke karistani aur koi Taliban ka galba, garz tarhan tarhan ke batain aur kahanian hum aaj mulk k television channels par dekh rahe hain aur akhbarat mai parh rahai hai jo rahi sahi kasar hai wu seena ba seena muntakhil hone wali baton nai pori kar dali hai.

ALLAH k fazl aur karam sy mai aur mere kuch dost es qabil howe hain k hum loog main apni apni bisat k mutabiq FATA aur Khyber pakhtoon khwah k ese areas k jahan aam admi jane ka sooch bhi nahi sakta kaam kar rahe hain, main net u apni zaindagi ka maqsad sirf aur sirf ese logon k kaam ana bana lia hai jin k kaam koi nahi ata ya ana nahi chahta, hum enn logon sy darte rahe hain k ye loog tu qadamat pasand hain, kuch ziada he islami hain, khoon khwar hain, apne agai kisi ke nahi chalne dete wagera wagera, Mgr ALLAH ka shuker hai aur ehsan e azeem hai k hum jese kamzoor, natawan logon ko last year se enn he logon k darmiyan rakha howa hai aur hum zinda bhi hain aur enn logon sy humare dostana marasim bhi hain, chahe waziristan ho, Sawat ho, Malakand ho, Mansehra ho, Aurakzai ho, Dara Adam Khail ho ya koi bhi area hum nu entihai bure halat main har jaga ka visit kia hum koi organization tu thai nahi k hum ko international ya hakoomati maddad milti jo hum apni zaat sy kar sakte thai aur kar sakte hain kia aur karte rahe gai, humare kuch dost humari kisi na kisi tareqe sy maddad karte rahe hain aur Insha ALLAH karte rahe gai. Hum ny enn areas main zindagi aur mout ka khail pori aab o tab sy dekha hai. Drone k attacks hon ya jet fighter ke bombing, one 0 one larai ho ya khana jangi wali halat sabh he ko face kia hai.

Mujeh buhat heart hoti hai k jabh Pakistan k television aur news papers ek ajeeb qisam ke news wu bhi break kar k mulk k logon k samne paish karte hain k falan jaga Drone hamla howa aur 5-6-7-8 loog mare gai aur marne wale dehshat gard thai, ya jet fighters ny bombing kari aur 5-6-7-8…15-20..25-30 dehshat gard mare gai hain aur ye khabr attack k kuch he minutes main paish kar di jati hai. Kia enn logon ko koi elham ata hai k kitne log mare gai hain aur jo mare gai hain wu dehshat gard “terrorist” hain, ya ginti pori ke pori maloom ho jati hai. Un areas main na tu koi mobile network kam karta hai na he internet ka koi access hai tu fir kiss bunyad par ye loog esi khabrain chala dete hain. Mujhe yaqeen hai k hum mai sy har koi Drone ke sakht aur uss ke attacking powers k bare mai sabh kuch he jante hain. Tu fir aap log he batain k kia drone position le le k sirf ek pistol ya machine gun sy firing karta hai jiss sy chand gine chune loog halak ya zakhmi ho jate hain. Agr ess ka koi nazara karma hai tu aye mere sath aur chaplain north waziristan, south waziristan ya Aurakzai jahan aj kal drone bin bulai mehmanon ke tarhan ate hain aur hamla kar k ese gayab ho jate hain k jese jinat, main ny khud apni ankhon sy Drone’s ko achanak asman sy ate howe dekha hai mere he samne uss k hamle howe hain, jin sy kabhi kabhi main khud aur mere kuch dost bhi mutasir howe hain, ye bagair pilot wale jahaz kisi pistol sy attack nahi karte aur na he koi ache nishane baaz hain, balke ye tu sirf aur sirf farzi bunyadon par hamle karte hain. Agr nishane par lag gaya tu theek hai nahi laga tub hi theek k kam uz kaam kuch ensaan ess safai e hasti sy khatam tu howe ess k elawa ess ka koi aur maqsad  nahi ho sakta. Ess mai use hone wala misile ya tu skaud missile hai ya fir ussi ke koi jaded shakal, jahan girta hai sirf aur sirf tabahi macha deta hai…  essi tabahi k jis ka tasawur karma bhi mahal hy, humare wu dost jo Karachi, Lahore ya kisi bhi city main  rehte hain un k liye tu bandookh sy nikli ek bullet ke awaz he jan lewa ho sakti hain zara sochain k essi mulk main jahan aap mukheem hain ya rehte hain ussi k ek hisse main bagair kisi warning k bagair kisi information k kabhi Drone ya kabhi jet fighters ate hain apni marzi k selected areas par bombing bombing ka khail khelte hain aur chale jate hain. Mai ye nahi kehta k ye galat hai lekin main enn sabh ko sahi kese kahon k jo hota dekh raha hon apni ankhon k samne sahi nahi hai, sirf ek terrorist ko marne ya khatam karne k liye chooti chooti bastion ko tehas nehas kar dena kahan ka ensaf hai. Hum kese log hain k ye bhi nahi sochte k jo information humari intelegence ko dee ja rahi hai aur jis ke bunyad par ye sabh kuch ho raha hai wu kon de raha hai aur uss main kitni sadaqat hai. Buss sunno aur hamla kar dalo ye koi tareeqa nahi aur na he koi jeet hai. . . kabhi hum ny ya humri ye policy banana walon ny socha bhi hy k ye jo hum kar rahe hain k har dosre pakhtoon ko ya yahan rehne wale kisi bhi shaqs ko terrorist bana kar uss ko wajib ul qatal qaraar kar dete hain, main ny buhat pehle jabh hakim ullah mehsood k marne ke qabar aye thi tu kaha tha k ese log etni jaldi mara nahi karte enn ka yahan apna ek nizam hai bilkul Sadam hussain ke tarhan k kon kiss ka mukhbir hy pata nahi tu ese kese log mar jain gy, Taliban hon ya Zaliman, qadamat pasand hon ya shidat pasand, ya fir hum jese aam loog sirf sochte hain k ye kiun ho raha hai ya fir ye k han jo ho raha hai sahi ho raha hai Taliban ko barbad kar dena he humari bhalai hai. Lekin esa hargiz nahi, kiun k ess sare khoon kharabe sy jo asar nai nasal par parh raha hai aur jo wu abh kar rahe hain wu bhi sabh k samne hai, enn sare areas ke nai nasal k larke, noujawan hakoomat sy nalan hain abh un ko Taliban asani sy catch kar sakte hain, kiun k Pak Army, Amerizan drone and Hakoomat k khialf etni aag bhari hoi hai k agr uss ka kuch percent bhi humare samne ana shuru howa tu buhat bari tabahi hogi buhat bari tabahi. Mai pehle bhi aap logon k samne arz kar chukka hon aur aaj fir arz karta hon k agr Pakistan ko bachana hai, Nazariya e Pakistan ko samne rakhna hai aur uss par amal karma hai tu hum ko kisi bhi qatl e aam sy pehle ye dekhna hoga k hum kia sahi logon ko target kar rahe hain kahin esa tu nahi k srif aur srif information k chakar main aam loog aur yahan k gaiur awam mare jaa rahe hain. Ek sada aur am sy missal deta hon k agr Drone ka srif ek missile attack karta hai tu jahan wu girta hai uss k ass pass kam uz kam 1500 – 3500 metre tak ka area buri tarhan barbad ho jata hai.. abh aap log mujh sy ziada smart hain aqal mand hain khud he faisla kar sakte hain k ek attack main kitna nukhsan hota hoga aur kitne loog mare jate hain, ginti agr shuru karon tu ek naya hangama ho sakta hai lekin sirf aur sirf azeem Pakistan k liye khud ko yahan tak hemehdood kar raha hon k ye jabh 6 k marne ka kahain tu khud sy kam uz kam ek “0” ka ezafa kar lia karain sari ginti aap logon ke samjh mai ajai gee..

Khudara enn logon ko aur zulm sy bachain, yahan schools ke zaroorat hai, yahan medicines ke zaroorat hai, yahan kapron ke zaroorat hai, kitni hai bachian hain jin k sar par abh baap, bhai ya koi nahi hai un ko share ke zaroorat hai, great gawara nahi karti k kisi ke maddad lain tu ye loog khud k he dushman ho jate hain, tu kuch esa karain k yahan k loog bhi dosre Pakistaniun ke tarhan aman aur sakoon ke life guzar sakain.

Mai apni pori koshish karon gaa k yahan k halat aur yahan k logon par beeti karabnak batain aap k gosh guzar kar sakon ess tarhan k kisi ke dil azari na ho aur baat aap tak puhanch bhi jai…

Mere liye Syed Adnan Ali Naqvi & Group k liye aur Ashiyana Campo ke team k liye dua kariye gaa k ALLAH paak hum ko ess maqsad mai kamyabi ata farmai jo hum le kar chaplain hain aur hum ko yahan k logon k liye khidmat karne ke toufeeq ata farmai. Ameen.

Ekthitam Quran ke ess ayah par karon gaa.

“Aur Ehsan karo essa k ehsan pora ho jai, k ALLAH ehsan kar
ne walon ko apna dost rakhta hai. 3/93.”

Jazak ALLAH
Syed Adnan Ali Naqvi