ہفتہ, اکتوبر 09, 2010

Appeal: "Syed Adnan Ali Naqvi & Group"


With the name of ALLAH Almighty

Appeal for the Warm Clothes, Water, Kids wearing, Food Stuff & Funds.

Assalam O Alikum,

With due regards, the team of Aab-e-Hayaat social group is working with the flood victims of Noshehra – Charsada, Khyerb Pakhtoonkhwa since last two months. We have done many of the things for them and our friends can find our work details in our last posts and blogs sites.

Currently we are facing a huge shortage in our funds to continue our daily two time food program here at Noshehra, Khyber Pakhtoonkhwa for 380 effectees of the flood. Our food stock is about to finished within days. We don’t have medicines to medicate child victims & women.

Muhtram, Hum log yahan buhat mushkil halat se nabard azma ho rahe hain, Esa nahi k humare hosle past ya khatam ho rahe hain, balke humare hosle har guzarte din k sath mazeed buland aur pukhta ho rahe hain, har ane wale din ke mushkilat hum ko ek naya sabaq deti hain aur ALLAH pak par humara bharosa barhati hain. ALLAH pak humre ko sabit qadam aur hosla ata farmain, Ameen. Lekin kuch kaam aur baton main hum log amlan khud ko buhat maflooj pate hain, jahan hum ko apne doston, apne bhaiun aur behnon ke maddad ke zaroorat paish ati hai. Jesa k aap sabh k elm mai hai k hum yahan Noshehra main 380 victims of the flood k sath kaam kar rahe hain, humara camp Register tu hai aur yahan k logon ke registration bhi complete ho chuki hai lekin abhi tak yahan k logon k liye koi bi entizam nahi kia gaya hai, hum ne jabh ess camp ka charge sambhala that u hum ko mukhtalif organizations, aur hazrat nai apne tawun (cooperation) ke mukamil yaqeen dihani karai thi, lekin afsoos k abh jabh hum enn organizations ya hazrat se contact karne ke koshish karte hain tu ya tu humari call receive he nahi hoti ya fir hum ko next day call karne ka keh kar mazeed baat karne k liye mana kar dia jata hai. Hum apne camp main three (3) times ke jaga pehle he two (2) time ka khana supply kar rahe hain lakin funds k na milne, aur on hand funds ke kaam hoti hoi sorat e haal ke wajha se hum ess two (2) time ke food supplyko bhi continue karne main buhat mushkilat se nabard azma ho rahe hain. Medicines bhi na hone k brabar hain. Jabke fresh / mineral water ke supply last two weeks se ruki hoi hai, hum saaf pani k liye desi method (Phitkari , Sulfer) ka estimal kar rahe hain, lekin hum buhat sure nahi hain k yea pani jo hum pee rahe hain aur camp mai moujood logon ko pila rahe hain kiss had tak saff aur qabil e estimal hai.

Humari team ne apni pori koshish kar rahe hain k humari zaat se hum jis qadar mumkin ho apne doston k kaam asakae, hum ne kisi bhi maddad k liye dusron ko call karne k bajai hamesha pehle apne resources aur doston and families ko call dete hain, humari pori koshish yehi hoti hai k hum kisi bhi tarhan se apne he logon k zarye funds collect karain, lekin hum khud apne gharon se etna kuch nikal chuke hain k abh mazeed nikalne k liye kuch aur nahi bacha. Yahan hum apne kare howe kaam aur koshishon ka ziker kar k ALLAH pak k agai sharminda nahi hona chahte kiun k Ehkam e ALLAH k mutabiq, “ Maddad ese karo k Lene wale hathon ko Dene wale hathon ke khabar tak na ho.”
Hum sabh essi kohsih main hain k hum se jiss had tak koshish ho sake hum karain, apne sath moujood logon ko kisi bhi tarhan koi takleef ya pareshani na hone dain. Lekin tammam tar koshison k bawajood hum abh kamzoor ho rahe hain, humare efforts, humara kaam hum ko mukamil hota nazer nahi araha, ess par badalte mousam ne humare liye aur mushkilat khari kar dee hain, hum ne abh tak job hi clothes collect kiye un main buhat he kam ese thai jo sardi (Winter) k mousam k liye qabil e estimal ho lekin abh ahista ahista mousam thanda hota jaa raha hai. Aur ess mousam k liye humare pass koi entizam nahi ha, Khudda na kare k agr achanak thand (cold) barh jati hai tu hum khud bhi garam kapron se mehroom hain jiss ke wajha se hum ko dar hai k camp mai moujood victims tu beemariun ka shikar ho he jain ge yahan kaam karne wale workers ko bhi buhat pareshaniun aur mushkilat ka samna karma pare gaa.

 Hum aap sabh doston aur sathiun se appeal (darkhwast) karte hain k, aap sabh log bhi apni apni zemedariun ko samjhte howe ess kar e khair main humari maddad farmain, Hum kisi bhi tarhan aap se kisi bhi tarhan ke raqam ka mutaliba nahi karte hum har dafa aap sabh se yehi request karte hain k aap ke jo hesiyat hai aur jitna bhi aap kar sakte hain ess kaam k liye humari maddad farmain, ess kam mai maddad k liye aap humar volunteer se contact kar sakte hain.

Hum ko ess time, kia chahiye? (Urgently Required)
·        Food stuff (for regular food supply) for 380 victims of the flood.
·        Medicines (for cough, fever, cold, flue, etc)
·        Mineral water or water purification tablets.

Aap ke de hoi maddad humare liye ek nai roshni aur hosle ka bais hogi. Hum ko pora yaqeen hai k hum ne jo karwan banaya hai aur jo azam rakha hai aap uss main apna hisa dal kar hum ko sukhuru karne main zaroor maddad farmain gai.



For Donation:
Account Title: Badar Un Nissa
Account Number: 0100 – 3478 – 0.
Bank Name: United Bank Limited, Gulistan e Joher Branch, Karachi
UBL Branch Code: 1921
SWIFT / Routing number: UNILPKKA

For the collection of Food stuff, Clothes  & Other’s
Please contact with:
Mr. Mansoor Ahmed
mansoorahmed.aaj@gmail.com (+92 334 228 9783)

Syeda Faryal Zehra
faryal.zehra@gmail.com (+92 343 535 7247)

Muhammad Nadeem
nadem.mohd@hotmail.com (+92 313 279 8085)

Syed Adnan Ali Naqvi
s_adnan_ali_naqvi@yahoo.ca (+92 345 279 1618)