جمعرات, اکتوبر 17, 2013

Awaraan, Baluchistan: Relief efforts by Friends Of Adnan (Work report -2)

Awaraan, Baluchistan Se:

Hamesha ki tarha iss dafa bhi kuch essa howa jiss ki hum ko koi ummid nahi thi. Guzishta raat jab aram karne ki gharz se hum sare dost (Volunteers) aik taraf ko lete ya bethe thy. garmi se hashar bura tha. Bijli tu door ki baat hay, hath ka pankha tak hamare ko mayasar nahi tha aur hum sab ek dosre ko yehi keh rahe thy ka hath ke pankhe ko apne imdadi saman main sath rakhne ka khaya hum ko kiun kar nahi aya. halki phulki nook jhonk chal rahi thi. aik dosre ko himat dilla rahe thy. kuch dost jali jaldi imdadi kaam ko mukamla kar kay yahan se nikalne ka mashora de rahe thy aur kuch keh rahe thy kay yahan hum jo kuch dekh rahe hain iss ko camere se record karna chahiye aur Karachi jaa kar dunya walon ko dikhana chahiye kay Pakistan he main aik elaqa aisa hay jahan looh janwaron se bhi bad taren halat ka shikar hain.

Adhi raat kay baad jb etne bure halaat main bhi neend hum ko sata rahi thi ussi waqt kuch log ham se milne hamare pass aye, meri ankh lag chuki thi. aik sathi dost ne mujh ko jagaya aur bataya kay kuch gar bar hay ab sambhalo, main herat zada tha kay essa kia ho gaya, mujh ko buss aik he khoof tha aik he baat ki fikar rahi hay kay mere sath aye howe doston aur sathiun ko meri wajha se kisi bhi qisam ki koi mushkil na ho. Main ne dil he dil main Ayat-ul-Kursi ka wird kia ALLAH se himat aur maddad mangi aur jitna khalos se anne walon se mil sakta tha milla. Aane walon ka maqsad sirf ek tha kay hum yeah imdadi saman inn logon kay hawale kar kay yahan se chale jaen, in ki baton se buhat achi tarha andaza hoo raha tha kay yeah loog hum ko bata nahi rahe balke shayad apne baron (waderon) kay bal bote par hum ko hukam day rahe hain. Main nai himat kar kay in ko apni aane kay maqsad say agah kia, aur dill he dill main socha kay Kash k Adnan bhai iss waqt hamare sath hote, kiunke KPK ho ya Balochistan ya Sindh kay remote areas hon ya Kashmir ki wadiyan Adnan bhai ne bari himat aur jurat kay sath iss tarha kay halat ka muqabla kia hay aur apne maqsad se ek qadam bhi peche nahi hate. kafi der tak behas hoti rahi, in logon kay samne hum khud ko be bas aur lachar samjh rahe thy, Akhir ko ek dafa phir main ne koshish kari kay kisi bhi tarha humari mulaqat yahan ke baron (Waedere ya kisi bhi political person) se kara di jae agar wu hum ko yeah baat keh dain tu hum kal subh he wapsi kay liye rawana ho jaen ge. In logon ne apas main muqami zaban main kuch baten kari aur hum ko subh tak intizar karne ka kaha aur yeah bhi hukam de gaiye kay hum inn ki ijazat kay bagher na tu kahi jaa sakte hain naa he kisi bhi qisam ka koi imdadi kaam kar sakte hain. Ghussa tu buhat tha magar waqt aur halat ki nazakat ko dekhte howe inn logon ki baat maan lene main he hamari bhalai thi. hum ne haan kia aur ab kisi ko neend nahi arahi thi, har banda pareshan tha kay dekho subha ko kia hota hay.

Garmi, Habs, Imdadi saman ki dekh rekh, tanhai, koi muqami maddad nahi, na he koi security ka idara mojood na he koi N.G.O mojood. Ek lamhe ko mere dill main khayal aya kay kahi main koi ghalti tu nahi kar chukka hon jiss ki wajha se yahan aya hon aur apne sath apne doston ko bhi le aya hon aur ab essi ghalti ki wajha se hum sab ek bari mushkil main parh chuke hain. Lekin agle he lamhe main ne khud kalami kari "nahi koi ghalti nahi hoi hay hamara maqsad naik hay, aur mere dost / sathi yahan kisi picnic par nahi aye hain balke imdadi kaam karne aye hain, darna kesa darna sirf ek he zaat se hay aur woh hay ALLAH ki zaat.Aur mujh main himat agai, main ne apne sathiun ko hosla diya. subha jo hoga dekha jaye gaa. Issi doran muqami hospital kay doctor hamare pass aye unko sari sorat -e- Haal se agah kia aur bataya kay yahan jungle ka qanoon hay tu yea sab sun kar unhon ne bhi apni be bassi ka izhaar kia.

Aur subha hoi, apne sath laye gaye pani mai se kuch pani ko hum ne istimal kia, zindagi main pehli dafa hum Pani ka istimal buhat ahtiyat se kar rahe thy aur aaj he hum sabhi doston ko Pani ki ahmiyat ka buhat achi tarha ahsas howa, Karachi main hum apne gharon main pani ko jiss qadar zaya karte hain aaj pata laga kay Pani kitni badi nemat hay. apne liye tea banai sath laye bisuits kay sath nashta kia, fiker aur pareshani main kisi se kuch khaya nahi jaa raha tha, raat bhar neend bhi pori nahi ho saki thi, sooraj buhat ziada tapish de raha tha. hum ne apne saman ki taraf ek nazar dekha jitna bhi samet sakte thy sameta aur intizar kia.
9am par kuch log hamari taraf aye jinhon ne hum ko bataya kay inn kay sardar sahab tu shayad kuch ziada masoorf hain aur hum jese logon se milne kay liye in kay pas koi waqt nahi hay haan koi manager type ka banda hum se milna chahta hay. Main ne subha uthne kay baad se abhi tak apni pori koshish kari thi kay kisi bhi tarhan muqami security walon se mulaqat ho sake aur hum unn ko apni pareshani kay bare main agah kar saken magar pori koshish kay bawajood essa mumkin nahi ho saka tha. Forces kay jawan jahan bhi dikhe sirf aur sirf Imdadi kamon main masroof dikhe. Majboran main aur mere sath Karachi se aye howe mere dost aur sathi Bilal bhai ne fesla kia kay hum dono he mulaqat karne jaiye ge aur baqi sathi yahan ruk kar hamara intizar karen, jab tak hum wapas nahi ajate sirf intiizar karna hay aur agar kisi bhi tarha ki koi karowai ya khatra ho tu saman se ziada apni janon ki hifazat karna hay. Saman ki fikr nahi karna. kuch zaroori hidayat de kar main aur Bilal in logon kay sath inn ki 4x4 gari main beth gaiye. aur just 10-12 minute main hum in logon ke dere main mojood thy. Yahan hm ko aik taraf bichi hoi chatai per bethne ka kaha gaya, Zalzale se dere ko bhi buhat nuqsan puhcha tha. Jinn sahib se hum ko mulawat karna thi wu sahab hamare samne aye hum ne bhi pori khusdili ke sath in ko salam kia hal pocha muqami zaban hum ko aati nahi thi essi liye urdu he boli. unhon ne mukamal sabr aur khamoshi ke sath hamari baat sunni. kuch der khamosh rahe aur humara shukriya adda kia. phir hum se pocha hum ab kia chahte hain, main ne inn ko bataya kay hum sirf itna chahte hain kay yeah imdadi saman nihayat zaroorat mand logon tak khud puhanchaen, unhon ne balochi culture ka hawala diya, muqami halaat ka bataya aur hum ko kaha kay yahan jo bhi imdadi karowai hogi yaa ho rahi hay ya tu wu inn logon (wadera & team) ya phir forces wale kar rahe hain. Hum ko ijazat milna mushkil hay. phir bhi jab main ne issraar kia tu hum ko ek din kay liye imdadi kaam karne ki ijazat di gai, 11am ho chuke thy waqt buhat kam tha hum foran apne muqam par wapas aye apne degar sathiun ko bataya kay sirf aaj ka he din hay jitna kaam kar sakte hain karen aur iss kay baad shayad hum ko yahan se jana hoga. Muqami Effected logon ko hamari amad ka ek din pehle he pata lag chuka tha aur woh hamare qarib hee mojood thy kay kab hum taqseem shuro karen. aur kab in logo ko maddad mille. Magar ek baat buhat achi hoo rahi thi kay yeah loog kisi bhi tarha be sabri ka muzahira nahi kar rahe thy. shayad in ko bhi pata tha kay muqami waderon ki ijazat kay bagher hum bhi kuch nahi kar saken ge.

Hum ne adha imdadi saman aik taraf karna shuro kia aur ALLAH ka naam le kar pehle Pani ki taqseem shuro kari, hamara work plan yehi tha kay adha imdadi saman aaj taqseem kar diya jaye aur adha agr moqa mille tu yahan se thoda aage jaa kar kisi remote area main taqseem kia jaye.  Din kay 2 baje tak hum pani ki taqseem se farigh ho chuke thy ab loog rashin, kapron aur degar saman ki taqsem k muntazir thy.

Kuch khas baten:
Pani ki taqseem ke doran kisi bhi qisam ki koi afra tafree nahi thi, sirf mard aur kam umar kay larke he line bana kar apni bari ka intizar kar rahe thy jis ki hidayat sirf ek dafa he di gai aur akhir waqt tak wu buhat sab kay sath apni bari ka intizar karte rahe.
 Iss taqseem ke doran koi bhi khatton hamare pass nahi aye balke hum ne yeah baat khas note kari kay jab se hum yahan aye hain khawateen groups ki shakal main idher udher bethi hain jin ki hifazat ya khayal in kay qabile ya khandan kay loog kar rahe hain.
Hamare pas jitna bhi pani tha iss ka almost adha (half) hum ne taqsee kar diya aur jis ne jitna pani manga hum ne koshish kari kay itna pani he de saken. Mineral water ki bottles main pani pack tha tu hum ko pora yaqen tha kay pani waste nahi hoga. aur esa he howa,

Pani ki tasweem main 4 bottels per person ka avg rakha gaya tha jo taqreban yehi raha, har pani lene wale fard ke hath ki ek ungli par hum water proof marke se chota sa nishan laga rahe thy jiss se kisi aik he fard ko ziada aur dosre ko kaam pani milne ki koi shikayat na ho sake.
Pani ki frahmi taqreban 100 ka lag bhag logon main ho chuki thi. aur ab rashin ki bari thi, yahan logon ko pani se ziada Rashin ka intiazar tha. Karachi se rawana hone se pehle hum logon ne apne apne ghar walon ki maddad se Rashin ka saman kuch iss tarha pack kia tha.

Quantity of food stuff per bag:
5kg Flour (Aata)
2kg Rice (Chawal)
1kg Sugar (Cheeni / Shakar)
95gm pckt of Tea (Tapal)
50gm pckt of Salt (Namak)
50gm pckt of Spices mix (masala)
500gm of Ghee / Oil
6 Candel (moom batian)
5 Match box
2kg Onion (Piyaas)
2kg Potato (Aalo)

Iss tarhan kay hamare pass abhi 70bags mojood thy. Hum dil he dil main ALLAH ka shukr adda kar rahe thy ke abhi tak hum kisi bhi qisam ki mara mari ya loot maar se mehfooz thy aur dua kar rahe thy ke jab tak yea saman hamare pas hay hum sab ko amaan he rahe. Ameen.

ALLAH ka naam le kar hum ne kuch logon main rashin ki taqseem shuro kari, apni amad wale di se aaj tak hum ne jo bhi servey kia tha iss kay doran hum ne kuch logon ko apne hath se parchiyan (note) likh kar diye thy kay wu rashin ki taqseem wale waqt ajaen aur wu parchi hum ko dikha kar rashin le jaen. Yeah humari ek buhat chooti se koshish hay jo hum kar sakte thy aur kar rahe hain.

Al Hamd Ul ALLAH jab hum ne rashin ki taqseem shuro kari uss waqt sirf wohi loog hamare pass thy jin ko parchiyan di gai thi baqi aur log bhi mojood thy jo parchi milne ka intizar kar rahe thay. Aaj ke din hum ne 50 bags ki taqseem kari jin main se 35 bags unn ko mile jin ko parchiyan di gai thi aur bahi 15 bags kuch buzrug hazrat jo hamare qarib mojood thy magar hum se mang nahi rahe thy un se baat kar kay un kay hawale kiye gaiye. Hum ne ALLAH ka shukr adda kia aur sab ne mil kar aik sath namaz -e- asar ada kari. hum sab he dill he dill main ALLAH kay shukr guzar thy ke hamari amad ka maqsad kisi had tak tu pora howa.

Raat hone wali thi aur abhi aur kuch karna mumkin nahi tha kiun kay din bhar ki thakan, bure waqt ka khoof aur pichli raat ki be arami ne ab hum ko kisi aur kaam kay qabil nahi chora tha. Hum sab idher udher beth gaiye main hum jahan mojood tha ussi hospital main gaya, doctor say baat kari aur un ko kaha kay agr mumkin ho tu ek free medical camp lagane main hamari maddad karen. Doctor sahib aur in ki pori team iss baat par buhat khush thi magar unhon ne saaf keh diya kay muqami sarkar ki ijazat kay bagher wu esa kuch nahi kar sakte, abhi iss ki ijazat kab aur kiss se lena hay yea meri samjh main nahi araha tha. phir bhi himat tu thi aur fesla bhi tha kay jate jate ek free medical camp bhi lagana hay.
Aaj ke din yahan Awaraan, Balochistan main shadeed garmi rahi. haal se behaal ho gaye, lekin sab se ziada khushi iss baat se hoi kay humara imdadi saman hamari marzi aur hisab se jin logon ko milna tha de diya gaya tha. Baqi saman bhi Insha ALLAH kal mustahiq logon ko dena tha. Armed forces ki amaad buhat tex rahi, Forces kay jawan sara din nazar aaty rahe aur kisi bhi qisam ke khoof se laparwah, sirf aur sirf imdadi saman le kar in ki gariyan idher udher aati jaati nazr aati rahi, din main ek dafa Helicopter bhi nazr aya jo shayad kisi remote area main imdadi saman ki tarseel ke liye gaya hoga.

Aaj bhi hum ko yahan Awaraan, Balochistan main kisi bhi N.G.O ki koi shakal nazar nahi aye buss muqami loog he groups bana kar ek dosre ki maddad karte dikh rahe hain, Koi media wala bhi nahi dikha. Socha tha kay shayad koi media wala mil jaye tu hum ussi kay zariye apne ghar walon ko yahan kay halat aur apni kheriyat se agah kar saken. Lekin abhi tak esa kuch bhi nahi ho saka.

Ek buhat khas baat, hum se hamare mobile phones, aur 2 camera guzishta subha he le liye gaiye thy jab hum dere par gaiye thy aur hum ko yaqen dialaya gaya tha kay hamari wapsi par hamara zaati saman hum ko shukriya kay sath wapas kar diya jaiye gaa. mobile phone sath rakhne ki sirf ek he wajha thi kay shayad koi network kaam kar jaiye aur hum apne gher walon se rabita kar saken aur camera iss liye kay jo kaam hum adhora choor kar ajaen wu kaam kuch aur loog aur N.G.O pora kar saken aur hum kuch tasaweer aur vids bana saken. Ye bhi abhi tak nahi ho saka. Phir bhi hamari yahan amaad ka jo maqsad tha wu kisi had tak pora ho chuka tha, ab hamare imdadi saman main 25 bag rashin kay aur adha pani aur mediciens baqi hain jo Insha ALLAH 1-2 din main mustahqin tak puhanca di jaen ge. Raat hum ne apne liye potatos (aalo) aur chawal bane aur hum sab ne ALLAH ka shukr ada kar ke pait bhar kar khaye, abhi muqami loog bhi hum se thoda baat kar rahe hain. Shayad abhi hum in kay liye anjan nahi rahe hain. Thodi der pehle hospital main he koi baat kar raha tha kay forces kay jo jawan relief work main hissa le rahe hain unn par kuch dhehshat gardon ne hamla kia hay jiss main kuch jawan zakhmi bhi howe hain. yeah aik buri aur afsoos wali khabar hay. shayad essi liye yahan koi N.G.O nazar nahi arahi hay.
ALLAH se dua hay kay hum sab ko apne maqsad main kamyab kare aur yahan ke logon ke liye asani kay raste nikale. Ameen.


main aur mere kuch sathiun ne raat main nikal kar qarib ke elaqon main jane ka fesla kia aur yeahi socha kay dekhte hain kay yahan se kitna aagy tak hum jaa sakte hain. Imdadi saman ka bojh kuch kaam ho chuka tha tu jitne dost imdadi saman kay pass thy hifazat kay liye kafi thy aur pata nahi kiun abhi kisi bhi qisam ka koi khoof dill main nahi raha tha.

Main aur ek dost hospital kay area se agay nikle tu kuch jawan hamare qarib aye aur hum ko apne masail bataye aur apni majboori se hum ko agah kia kay woh loog chah kar bhi inn areas se bahar nahi jaa paa rahe hain, in logon ne hum se yehi request bar bar kari kay agr mumkin ho tu hum in jawanon ko aur in kay ghar walon ko yahan se kahi aur muntaqil karden, Yeah kaam kisi bhi tarha hamare ikhtiyar main nahi tha nihayat hamdardi kay sath main ne in ko bataya kay hum koi N.G.O nahi hain balke ek choota sa social group hain jo sirf kuch dinon kay liye yeah imdadi saman le kar yahan aye hain phir bhi hum Karachi jaa kar pori koshish karen ge kay yahan kay halat se dunya ko agah karen shayad koi kuch kar sake. In jawanon ke chehron par mayusi saaf thi phir bhi hum ne pori koshish kari kay jitni hosla afzai aur himat hum in ko de sakte hain apni baton se inn ko den.
inhi main se kuch jawanon ne hum ko mashora dia kay Awaraan city se thoda agae taqreban 5-8km door ek jaga hay jahan sb kuch khatam ho gaya hay zinda bach jane wale abhi bhi waha mojood hain aur maddad ka intizar kar rahe hain. kiunke raat ziada ho chuki thi tu iss waqt whaan jana mumkin nahi tha hum ne subh waha jane ka fesla kia aur kuch jawanon se bhi maddad mangi kay agr mumkin ho tu hamarai bacha howa imdadi saman wahan tak puhchane main hamari maddad karen. kuch he jawan hamri maddad karne par razamand hwe. Hum log wapas apne base camp, Local hospital of Awaraan, Baluchistan wapas agay, kuch idher udher ki baten kari aur jis ko jahan moqa mila wahi lamba ho kar let gaya.