جمعرات, مارچ 04, 2010

War against terror (Pakistan)

Muhtram,
Assalam O Alikum,

With the name of ALLAH Almighty. We are doing our best. And feel like to inform you as much as we can about the situation, about the work of ours what we are doing here. And also to make you remind that what you can do for the victims, infants, sick peoples, widows & orphans of the war infected areas, (Waziristan, Swat, Malakand, Bajour etc).

ALLAH ka shukr, ehsan and enam hy hum par k uss ny hum ko ek essi khidmat karne ka moukha ata kya jo buhat he kaam logon ko hasil hota hy, aur ALLAH ka buhat karam hy k mujh jese haqeer ensan ko essi toufeeq atta farmai k mai yahan k logon k liye agr kuch kar bhi na sakon tu kam uz kam yahan k logon k sath reh sakon enn k dukh dard batne k liye. ALLAH ke ess karam nawazi par mai jitna shuker ada karon kaam hy.

Wese tu media k through aap sabh he ko yahan k halat sy agahi hasil ho rahi hogi. mgr buhat kam sachi he Pakistan tak puhanch rahi hy. Kiun k jo sach hy wo tu yahan he reh jata hy aur jo nahi hy wo yahan sy bahar chala jata hy, ALLAH ny esse logon ka anjam buhat he sakht rakha hy jo sachai ko daba kar jhoot, makar aur faraib ko paish karte hain, Kiun k hum subh muslalman hain aur ye bat achi tarhan jante hain k yea dunya buhat he kaam hy, yahan ensan ke zindagi hum apni fingures par count kar sakte hain mgr after death jo life hy wu humari essi life ka reuslt hoga aur ALLAH hum ko zilat, ruswai aur makr o faraib ke zindagi sy mehfooz farmai, Ameen.

ALLAH ny ese logon ka anjam bhi buhat sakht likha hy jo ensan ko ensan na samjhain, ek muslalman ke zindagi ko haqeer samjhain aur sirf apne maal o doolat ke hawis kare. ALLAH hum ko esse zilat sy bhi mehfooz farmai, Ameen.

Main jabh jabh moukha milta hai aur jabh jabh mujhe yahan sy (war infected area) bahar nikalne ka moukha milta hai mai throught internet, phone calls, sms apne sab he doston ko agah rakhne ke koshish karta hon. kuch dost ese hain jo mera mazakh urate hain, kuch dost yaqeen aur na yaqeeni ke kefiyat mai rehte hain, kuch dost buss sunte hain aur kuch dost meri baton ko serious lete hain aur kam uz kam dua tu karte he hain. ALLAH hum sabh ko apni zaat sy barh kar karne ke toufeeq aur himat hosla ata farmai, Ameen.

Mere bare mai loog kya kehte hain mujhe ess sy koi garaz nahi, kiun k mera cause, meri mehnat, mera work mere liye nahi hy, Mai tu ek buhat mamooli sa ensan hon, ALLAH ny ye azeem moukha ata farmaya k main apni zaat sy agr kisi ko kuch faida puhancha sakon tu puhanchaon, jo jo kar sakta hon karon, aur meri puri koshish yehi hy k mai woohi karon jo ALLAH ny hukam diya hy.

Ashiyana, k bare mai bhi mujhe kuch parhne ko aur sunne ko milla, koi kuch kehta hy koi kuch likhta hy. Ashiyana k bare mai arz hy k, Ashiyana koi NGO nahi hy, koi organization nahi hy, balke mere ek erade ka naam hy, kiun k mai Adnan k naam sy nahi apne cauze aur maqsad k liye zinda hon. aur Ashiyana meri zindagi k usi maqsad ka naam hy. essi liye Ashiyana ko har jaga pana mumkin nahi, jahan jahan mai jata hon aur 2-4 din rehta hon woohi jaga Ashiyana bana leta hon.

Ashiyana, name bhi khud mera banaya howa nahi hy, balke pehle hum ny ess ka name Kashan camp rakhne ka socha kabhi kuch kabhi kuch, kuch doston ny mere maqsad ko meri walida e muhtarima k naam sy rakhne k liye bhi kaha. mgr Ashiyana is came from Ayesha. Ayesha ussi bachi ka naam hy jo mujhe Earthqucak-2005 mai milli aur ussi k name sy apna maqsad shuru kya. ALLAH k fazl o karam sy 2005 sy aaj tak jis qadar mumkin howa mai ny ess nam k through victims ke maddad karne ke koshish kari.


Remote areas, (Malakand, waziristam, swat, Bajour) ye sabh esse areas hain jahan normal halat mai bhi loog jane sy darte hain, kiun k yahan ka culture, yahan k logon ka rawaya aur bartaow shayad cities mai rehne walon k liye samjh sy bahar hota hy, mgr ye haqeeqat buhat kaam log jante hain k yahan k loog jiss qadar mehman nawaz, muhabat, khaloos karne wale hote hain esse tu shayad he dunya mai kahi aur hote hon. Pak army ny jabh enn areas mai operation shuru kya tu mai karachi mai tha. mere dil mai khayal aya k jabh operation hoga tu pata nahi kitne loog evucate honge, aur jane kahan jain gy. Govt nay ek proper announcement bhi kardi uss k baad jo howa wo sabh k samne hy. pata nahi kitni AID aur help kahan kahan sy aye pata nahi aur kahan kahan gai ye bhi ALLAH he k ilm mai hy. yahan k logon ko sirf utna diya gaya k jiss sy wo zinda reh sakain. etna nahi k wo khud sy apne aap ko apne pairon par khara kar sakain, wo tu bhala ho kuch ache logon kaa jo kisi na kisi tarha yahan k logon k kaam ate rahe hain.

Kuch doston k kehne par mai ny internet per blogging shuru kari. jis ko time milte he update karne ke koshish karta hon, mgr kya update karon aur kahan tak update karon yehi samjh sy bahar hy, agr wahan k logon ka zikr karon, wahan k halat ka zikr karon tu loog kahain gy k pata nahi kiss dunya ke baat kar raha hon. kya essa bhi mumkin hy, aur agr apne bare mai kuch likhon tu dost samjhain gy k ye banda tu khud k liye he kaam kar raha hy. 2005 sy aaj tak meri zindagi mai buhat buhat mushkil marahil aye mgr ALLAH ny kisi na kisi tarha meri maddad farmai aur har waqt guzarta gaya.

Mgr yea jo halat aaj kal hain esse halat ko dekh kar sirf aur sirf ankhain band kar k roya he jaa sakta hy, kiun k ek taraf loog Islamabad mai baith kar dunya sy bheek mang rahe hain aur ek taraf ye loog hain jo bheek nahi mangte sirf apna haq mangty hain, jin ke zindagi ko war on terror k naam par barbad kardia gaya hy, jin k bachon ka future khatam kar dia gaya hy, jin ke aurton k saron sy chadar khinch le gai hy, jin k gharon ko masmaar kar dia gaya hy, pata nahi kitne bache yateem (orphan) ho gai hain pata nahi kitne aurtain bewa (widow) ho gai hain, pata nahi kitne buzurgon ka sahara un sy buhat dour chala gaya hy, Kon sahi hy aur kon galat, ess ka faisla tu sirf aur sirf ane wala waqt kare gaa. Mgr kya hum sabh ALLAH ko bilkul he bhol gai hain, ALLAH ke taleemat ko bilkul he bhool chuke hain? ALLAH ny tu apni taleem mai kahi nahi farmaya k ek dehshat gard ko pakarne k liye pori pori bastiun aur areas ko barbad kardo. enn sabh halat k zimedar tu hum khud hain aur abh pori dunya k agai yehi rona rou rahe hain k ye sabh tu koi beroni taqat kara rahi hy, Kya hum apne liye kisi esse gher ka khayal kar sakte hain k jiss mai koi bahar sy akar humare gharoon ko barbad kar jai aur hum jaan tak na sakain k kon aya, tu ye PAKISTAN tu hum sabh ka gher hy, essa kese mumkin hy k koi bahar sy aye aur hum ko barbad kar jai, humari nasloon ko khatam kar jai, aur hum ko khabar tak na ho. Can't belive on this theory.

Aur jabh ye sabh hum ny kar he diya hy tu ye konsa tareeqa hy k hum apne he hathoon sy, apni he armey k through apne he areas ko esse banjer aur nest o nabood kardain k jin ko abh phir sy rebuild hone mai pata nahi kitne saal lagain gy aur humari naslain barbad ho jain???

en sabh baton ka jawab agr kisi ny hasil karna hy tu sirf ek dafa only one time enn areas k andar jain, yahan k logon sy milain, yahan k logon sy baat karain, k jo abh tu bolna bhi bhol gai hain buss kisi machine ke tarha subh tuhte hain sara din asman ko takte hain aur raat ko so jate hain, ye zindagi kisi janwer ke zindagi sy bhi bad tar hy. cities mai baith kar batain karna buhat he asan hy, tv chennels par baith kar dailog marna aur bhi asan, kamron mai baith kar likhna bhi asan. mgr thoda sa raqam khaach kar k yahan enn logon k beech mai ana, aur himat karna k jabh asmanon par DRONE urh rahe hon aur zameen bar baklter band tanks chal rahe hon tu jeena khud kitna mushkil hota hy ess ka andaza tu sirf yahan akar he ho sakta hy. Last time Daa Dola jana howa, aorakzai bhi jana howa, Masha ALLAH DRONE jis dhitai sy ate hain aur hamla karte hain unn ke himat ko daad deni parti hy, ye pata nahi kesi technology hy k jiss mai kisi ek target ko hit karne k liye pori ke pori basti ko nishana banaya jata hy. ye jane konsa ensaf hy k kuch dehshat gardon ke talash mai pore k pure base basai gher ko mismar kar dia jata hy aur wahan k logon sy ye kaha jata hy k tum loog ye areas khali kardo, kiun k hum ko yahan operatiojn karna hy jiss jiss ny ye area khali nahi kya uss ko Taliban ya dehshat gard samjha jai gaa.
Ese halat mai agr ye loog jain bhi tu kahan jain? kiss k agai apna rona roye, kiss sy emdad ke umid karain.

Mere muhtram bhai. ye sabh likhne ka maqsad kisi ke dil azari nahi naa he kuch aur, mgr jo dard mai ny saha hy aur seh raha hon woohi dard mai sirf aap tak puhchana chahta hon. mai apni zaat mai kuch nahi agr mera ye mulk Pakistan hy tu mai bhi hon, mere Pakistan mai basne wale ye Pakhtoon bhai hain tu mai bhi hon. enn logon ka future hy tu mera bhi future hai. Meri aap sy appeal hy k enn logo k liye jahan jahan tak awaz puhancha sakte hain aap puhanchain, jo jo kar sakte hain karain. Ess bat sy na darain aur na he sochain k agr aap ny enn logon k liye kuch kya tu aap k rizq mai kami ho jani hy, Kiun k ye tu ALLAH ka wada hy k " ALLAH esse logon ko Pasand farmatai hain jo dusron par reham karte hain, un ke maddad karte hain." - al Quran 5-93.



For yours contributions please use following account or contact me in personal by e-mail or cell;
 
“ASHIYANA”
Ms. Badar-un-Nissa.
Account #  0100-3478-0.
United Bank Limited.
Gulistan-e-Jouher Branch.(1921).
Karachi. Pakistan.
Swift Code:- UNILPKKA.
Or
Use the name of our volunteer Mr. Mansoor Ahmed for the Western Union or Money Gram.
Or 
For Food, Clothes, Medicines supply please email us or contact on anyone of the following by call or txt message.

s_adnan_ali_naqvi@yahoo.ca (+92-333-3426031)
nadem.mohd@hotmail.com (+92-313-2798085)
faryal.zehra@gmail.com (0345-2971618)
mansoorahmed27@yahoo.com (+92-333-3426031)

Jazak ALLAH

Syed Adnan Ali Naqvi