جمعرات, اکتوبر 03, 2013

Appeal for the help of Earthquake Victims of Awaraan, Baluchista. (Pakistan)

Respected Brothers and Sisters,


Assalam O Alikum,

ALLAH Pak ki zaat -e- Aqdas se umid karta hon k aap log kheriyat se honge. ALLAH Pak aap ko behter aur khusgawar zindagi guzarne k liye himat aur toufeeq atta farmae, Ameen.

Muhtram Doston aur Sathiun,
Ashiyana Camp And School North Waziristan main apne flahai (Social) khidmat jari rakhe howe hay aur tmam tar dastiyab funds aur wasail say hum muqami logon main taleem ka shaoor aur beedari jari rakhne ki koshish main lage howe hain. Mushkilat buhat hain magar ALLAH Pak ki di hoi himat, aur Istiqamat se hum abhi tak apne kaam main nakam nahi howe. ALLAH Pak hum ko hosla, himat aur istiqamat atta farmaye, Ameen.

Muhtram Doston Aur Sathiun,

Guzishta dinon, Pakistan ke janobi (south) kay elaqon main shadeed zalzala aya is ke asrat Karachi tak mehsoos kiye gaiye, ALLAH Pak k fazl o Karam se Karachi jesa bara city kisi bhi qisam ki tabahi aur nuqsan se mehfooz raha, magar Balochistan ke remote areas main buhat ziada tabahi aye jis ko hum sb ne kisi na kisi tarhan media par dekha.

Muhtram Doston, Ek hafta pehle he Karachi main mojood Team Ashiyana K Karkunan aur mere sathiun ne apni pori koshish kari k kuch na kuch Imdad le kar Balochista ke zalzale se mutasir elaqe Awaraan ki janib rawana hon.

Karachi main mojood humare doston aur sahiun nai ek chooti se volunteer team tashkeel di aur jitna bhi imdadi saman le kar rawana ho sakte thy us ki tafseelat aaj hi mujh ko mili hain jin ki tafseelat darj hain. Team Ashiyana k karkunan is waqt Awaraan (Balochistan) main mojood hain Zalzale ki wajha se wahan ka mawasilati nizam (Communication system) bhi buri tarhan barbad ho gaya hay jis ki wajha se wahan mojood hamare imdadi karkunan se rabite main shaded dushwari ka samna karna parh raha hay. abhi tak jo bhi tafseelat hum ko mili hain wo kuch is tarhan hain.

Team Ashiyana for Earthquake Victims of Awaraan (Balochitan):
Ms. Badar -un- Nissa (Volunteer - Karachi)
Zain -ul- Abideen (Volunteer - Karachi)
Nadeem Bhai (Volunteer - Karachi)
Fatima Baji (Volunteer / Aid Nurse - Karachi)
Mansoor Bhai (Volunteer - Karachi)
Ahmad Jillani (Volunteer / Male Nurse - Queeta)
Hammad Jatai (Volunteer - Jakobabad)
Arsalan Shahab (Volunteer - Pasni "Baluchistan")
Aftab Khan Mirani (Volunteer - Hyderabad "Sindh")

List Of Item's (Helping Aid for the Earthquake Victims Of Awaraan, "Baluchistan"

Drinking Water (Mineral Water): 2000 Liter's (2000 Bottle's).

Raw Food Stuff:  "Biscuits, Wafers, etc": 100kg.
Clothes (For Women, Children and Men): 1500 suites (Used)
Sugar: 100kg
Tea: 5kg
Rice: 100kg
Flour (A'ata): 300kg
Other General Items: Match Box - 1000 pkts. Canldes 50 Dozen. Used Carpet - 12 meter. A few of Plates, Cups, Glasses, and other crockery.

Medicines: Anti-biotics, Syrups for cough, fever and cold, Medicines for infant and children and women. (Worth of Rs 15000/= "Fifteen Thousands).

Muhtram Doston,
mere doston aur sathiun ne ye jo bhi imdadi saman jama kiya ye sb apas ki mehnat se kiya, yeah ek haqeqat hay kay Awaraan - Baluchistan main vicitms ki tadaad humari tawaqa se kahi ziadda hay, ye bhi sach hai ke agar sirf Pakistan main rehne wale log apne in bhai behnon ki maddad ka fesla kar lain tu hum buhat kam waqt main aur asani ke sath apne earthquake victims bhai behnon ko mushkil halat se bahar nikal sakte hain. Afsoos kai hum sab ko apne he masaib aur fikr o pareshani se fursat nahi, aur sirf ek dua karte hain k "ALLAH Pak maddad kare" Be shak ALLAH Pak he maddad krne wala he magar ALLAH Pak ne jo hum ko toufeeq de hay jo himat de hay agar hum us ka istimal karen tu hum sab is imtihan main kamyab ho sakte hain.

Main khud bhi buhat jald Awaraan, Baluchistan k liye rawana ho raha hon jahan mojood apne earthquake victims bhai behnon ki maddad ke liye jo bhi kar saka karon ga - Insha ALLAH.

Muhtram doston,
Meri aap sb se appeal he, guzarish hy, kay ye jo earthquake victims hain huamare apne hain, kal esi koi afat o pareshani hum pr bhi aa sakti hay phir hum kis moun se aur kis fiker se dosre logon ki taraf maddad ke liye dekhen gain? Aap sab ne hamesha mera hatrh mazboot kia hay, mera sath diya hay, mushkil aur pareshani main ghire logon ki maddad karne kay liye humari maddad kari hay, main aap se ziada ki nahi bus itna ke hum apne in pareshan haal bhai behnon ki maddad ke liye kuch kar sakain, khule asman ke neche bethe bhai behnon ko aik chadar de saken, bachon aur aurton aur buzurgon ko pani pila saken, bhoko ko kuch waqt ka khana khila saken aur bemaron ko dawa (medicine) de saken ke liye maddad ki appeal karta hon.

Awaraan Baluchistan main hay aur Karachi se kuch ziada door nahi hai, Karachi main mojood humare bhai behen apni apani volunteer teams bana kar kuch waqt kay liye Awaraan ja sakte hain aur apne pareshan haal bhai behnon ki khud maddad kar sakte hain.

Main aik dafa phir aap sab se maddad ke liye appeal karta hon, Awaraan aur aas paas ke remote areas main Pene ke pani ki shaded khilat hay, ghizai ajnas dastiyab nahi hain, adwiyat na hone ke brabar hain. Khuddara mushkil tareen halat main thodi thodi madad karain aur hum ko aur apne aap ko ALLAH Pak ka samne surquroo hone main maddad karen.

Mujhe pora yaqeen hai ke hamesha ki tarhan aap iss dafa bhi hum ko aur apne in pareshan haal Pakistani Bhai behnoon ki maddad zaroor karen ge, Insha ALLAH.

Jazak ALLAH
Aap ka bhai,
Syed Adnan Ali Navi

For contact please
s_adnan_ali_naqvi@yahoo.ca
mansoorahmed.aaj@gmail.com
+92 333 342 6031
+92 345 297 1618