منگل, اگست 10, 2010

Khyber Pakhtoon Khwah, Flood & Effectees.


With the name of ALLAH Almighty

Assalam O Alikum,

Azeez doston, ALLAH pak k fazl o karam aur de hoi himat, sabr, estiqamat k bharose hum yahan apne relief efforts kar rahe hain, Afsoos ess bat ka hai k munasib transporation na hone k sabbab hum rescue efforts karne main nakam hain, hum sabh doston nai mil kar apne aap ko 2 teams main divide kar lia hai, humari ek team relief goods ke collection main masroof hai aur dosri team relief efforts main masroof hai. Humare abh tak k relief efforts kia hain aur hum abhi tak kia kuch kar chuke hain aur kia plan rakhte hain wu kuch ess tarhan sy hai.

Humare sath kaam karne wale volunteers:

Team on effected area:

·        Syeeda Faryal Zehra
·        Minhaj Afridi
·        Aziz Ahmed
·        Muhammad Nadeem
·        Mansoor Ahmed
·        Owais Khan
·        Hamza
·        Memoona Qadri
·        Asif Jamal
·        Midhat Kiyani
·        Dr. Saira Iqbal
·        Dr. Farhaj Alvi
·        Dr. Shujja Alvi

Team in different cities (for the collection):

            From Aab-e-Hayyat Research & Development Organization, Karachi.
·        Dr. Sarfraz Baig (Karachi)
·        M. Kashif Jibran (Karachi)
·        Ms. Azra Nadeem (Karachi)

Working with friends or Individual’s.
·        Faisal Malik & Friends (Lahore)
·        Rubab Zehra & Friends (Islamabad)
·        Effat Yasmeen & Family (Faisalabad)
·        Jonson & Friends (Australia)
·        Ms. Badar-un-Nissa & Family (Karachi)


Our collection details in last 10-days.
·        Clothes 3,800 pair of ladies, children & men clothes.
·        850 pair of shoe, chappal etc.
·        4,870 liter of mineral water.
·        Medicines, Rs, 4lacs of cost.
·        Dates (Khajoor). 50kg.
·        Rusk (Pappai). 15kg.
·        Suger, 20kg.
·        Tea, 5kg.
·        Others bakery stuff, 5-kg.
·        Blanket, 5 nos.

ALHAMD UL ALLAH, our volunteer are working on there areas to make aware the people of Pakistan about this massive disaster. And I’m sure with the help of ALLAH Almighty we will be able to manage the things as much as we can for our brother and sisters in effected areas.
We know that above mentioned amount of the things are good enough to wirte, see and collect but unfortunately this amount of things is nothing for the effectees. Hundred of the thousands are still stuck in the effectees areas, they don’t have food supply, medicines and others thing to live with. Victims who had managed themselves to get out from the effected areas are also facing terrible problems in Khyber Pakhtoonkhwa. I have seen great efforts from Pakistan Armed forces but where is the government?

Hakoomat kahan hai ess ka na tu mujhe elm hai na he sellam k mutasirin ko, Khyber Pakhtoonkhwa ke hakoomat ke jitni tareef kari jai kaam hai, mushkil k enn lamhat main yahan ke hakomat agr kuch kar nahi paa rahi lekin unn k numainde apni pori koshish kar rahe hain k wu access hasil karain aur kam uz kam logon k sath un k dukh dard batain.  Baqi National Disaster Management Authority kahan hai aur baqi NGO’S kahan hainye tu ALLAH he ko ilm hoga. Jabh hum jese loog apna group bana kar remote area main kisi na kisi tarhan access kar sakte hain tu jane ye log kiss bat ka wait kar rahe hain. ALLAH Pak in ko hidayat ata farmain, Amen. Deegar halat k bare main aap sabh ko media k zarye maloom hota rehta he hoga. Yahan tu halat ye hai k yeah seelab (flood) sabh kuch baha le gaya, hazaron logon ka saman, jane kitne he towns safai hasti sym it gai hain, khatam ho gai hain, wajood mit chukka hai, aur loog jane kahan kahan bhatak rahe hain. Kitne he loog apne piyaron sy bichar kar bhatak rahe hain, kitne he logon k pass kapre nahi. Ek buhat bare relief operation ke zaroorat hai.

Mere doston aap achi tarhan jante hain k 2005 k earthquack main kiss qadar bare pemane par relief operaton howa tha aur uss time bhi buhat logon ny sawal uthai thai. Lekin Armed forces, NGO’S aur private groups nai apni sari taqat logon ko facilitate karne main laga dali thi aur buhat jald uss waqt k halat par qaboo paa lia gaya tha. Tu aaj hum kiss ka wait kar rahe hain, kiun aaj Sindh, Punjab, and around the globe phele howe Pakistani aur muslim enn bebass aur lachar logon ke maddad k liye agai nahi arahe hain? Kiun ese log jo thoda thoda kar k buhat kuch kar sakte hain yahan k logon ke maddad nahi kar rahe hain? Kiun hum sabh kisi masiha ya miracle ka wait kar rahe hain?

Hum tu apne sare contacts estimal kar rahe hain, aur jo kuch kar sakte hain kar rahe hain, humare bhi apne gher hain, humari bhi apni life hai, aur apni apni masroofiyat hain, masail hain lekin hum sabh doston nai kuch waqt k liye apne masail ko aur deegar masroofiyat ko bhool kar apni zindagi ka kuch time yahan k logon k liye guzarne ka faisla kia aur ALLAH Pak ny humari maddad bhi farmai aur hum jo kuch kar sakte hain kar rahe hain. Lekin humare sath sath esse hazaron logon ke zaroorat hai jo yahan kara relief & rescue efforts main Army, Khyber Pakhtoonkhwa ke hakomat ka hath batain. Aur apni koshish karain job hi kar sakte hain. Yahan Doctors ke kami hai, pera medical staff ke kami hai, food supply chain banana ke zaroorat hai. Jaga jaga relief camps ke zaroorat hai. Engineers, teachers, Mazdoor, garz ye k har har field sy relation rakhne wale fard ke buaht zaroorat hai. Lekin yahan aya kon hai sirf chand loog. Bari bari NGO’S, Organizations bhi kisi sooch main mubtila hain aur shayad humari Federal hakoomat abh kuch new plane bana rahi hai k kiss tarha sy ek dafa phir sari dunya k samne jaa kar funds ekhata karma hai aur apni jaibon ko bharna hai aur yahan k relief efforts ko barbad karma hai. Ek jamhori hakoomat main efectees k sath esa zulm, ess ka tasawur karma bhi mahal hai. Lekin enn sabh baton ko samne rakh kar hum loog apne faraiz sy moun nahi chupa sakte. Na he hum kisi bhi majbori ka bahana bana kar yahan k logon ke maddad sy enkar kar sakte hain.
Humari appeal hai mulk ke sari Political & Religious parties sy social groups sy, gharon main rehne wali maon, behnon sai, School, Colleges & University k students, factories & mills mai kaam karne wale mazdooron aur labour, zindagi k har field sy relation rakhne wale eke k fard sy guzarish hai, appeal hai k ap logon ko medan-e-amal main ana hoga, aap aur hum sabh mil kar he apne enn bhai aur behnon ka masail ko kuch kaam kar sakte hain, hum buhat ziada nahi, hum enn logon ko enn k gher nahi lekin kuch waqt k liye yahan k logon k liye kaam kar k apne ALLAH aur uss ke batai hoi guideline ko follow tu kar he sakte hain.

Agai kia karma hai kese karna hai ess ka faisla aap apne ghar par baith kar nahi kar sakte ess k liye aap ko enn areas main ana hoga. Khyber Pakhtoon khwa k awam yahan k loog hum sabh ka wait kar rahe hain aur yahan k logon k liye kaam karna humari awalin tarjeeh hona chahiye.

Aap sabh loog apni zaat sy mil kar ya individual jo kar sakte hain karain, INSHA ALLAH humari ye zindagi aur akhirat ke zindagi pur sakoon aur masail sy azad ho jai gee.

Jazakum ALLAH Khairan Khateeran Abadn

Aap k dost, bhai aur behnain.
Volunteers from Khyber Pakhtoonkhwa

Hum sy rabta karne k liye:
+92 333 342 6031
+92 313 279 8085
+92 343 535 7247

Ho sakta hai k aap ko humara number band mile ess ke wajha yea hogi k hum apni teams k sath effected areas main honge, essi sorat main aap hum ko apna txt peham send kar sakte hain ya fir hum ko email kar sakte hain.