With The Name of ALLAH Almighty
Assalam O Alikum,
Everybody in Pakistan and around the globe knows that all of the Khyber Pakhtoon Khwah, many of the areas of Punjab has been destructed with current flood condition. Thousands of the refuges are being displaced from there homes. Many of the news, movies and footages are moving around us. But let me show you another side of this disaster.
Please allow me to continue in Roman Urdu for all of the readers who don’t know English very well, as my English is also poor in this way and I am unable to write whole of the story in English here.
Mere Muhtram doston, bahun, azeezon aur parhne waloon.
Mujhe nahi pata k meri baton ko aur mere karne wale kamon ko yahan kitne log jante hain aur mujhe kitne log jante hain. Mujhe ess baat sy koi garaz bhi nahi k koi mujhe jane k ya na jane. 2005 eartquack sy shuru hone wala ye safar mujhe kahan kahan ly jai gaa ye kabhi socha bhi na tha, Azad Kashmir sy shuru hone wala ye safer aaj bhi jari hai aur ALLAH ny mujhe etni himat, sabar, hosla aur estiqamat ata farmai hai k abh na tu jan ke parwa he na he kisi aur cheez ke. Lekin mera dil buhat dukhta hai, buhat takleef hoti hai jabh mai dekhta hon k mare samne masail ka ek anbar laga howa hai aur main apni zaat sy kuch bhi nahi kar sakta….
ALLAH ka karam hai, enayat hai k October 2005 eartquack k baad sy aaj tak main kahi ruka nahi haan etna zaroor howa k kabhi kabhar logon k rawaiun aur tanqeed ke wajha sy khud ko bilkul tanha paya lekin abhi tak meri life main koi esa lamha nahi aya k jahan mujhe ALLAH ke zaat k elawa kisi aur ka dar laga ho. Na he koi thakan ya sharmindagi mehsoos hoi he, Aaj taqreeban 5 years k baad mujhe esa mehsoos howa k main tu wahan he khara hon jahan sy mai chala tha. Meri hesiyat, mera mukham, sabh kuch tu wohi hai kuch bhi nahi badla.. ALLAH sy dua karta hon k Mujhe yehi estiqamat, hosla aur himat ata farmai k main marte dam tak sirf ALLAH k bandoon ke khidmat karta rahon..
Flood 2010, bilkul wesa he nazara hai bilkul woohi manzar hai jo k hum sabh ny Earthquack 2005 mai dekha tha faraq sirf etna hai k October, 2005 mai zameen nay lakhon ensanon ko apni giza ka nishana banaya tha aur ess dafa Paani (water) ny ensanon ko apna naishana banaya. Ye manzer dekh kar ek dafa fir mujhe Quran kareem ke wu soorah yad agai aur main wird karne laga ko k main ny Eartwuack k tym parhi thi (Surah Al-Qairah) jis k alfaz hain k “Jabh ye pahar roi k galoon ke tarhan hawa mai uerte honge aur zameen ulat dee jai gee..” ALLAH Akber. Etni bari afat, pareshani k kia arz karon, sabh kuch Media nahi dikha paa raha kiun k enn bechare Media walon ke apni majborian hoti hain, pareshanian hoti hain aur sabh sy barh kar k har kisi ka access essi jaghon par nahi hota jahan zindagi k asar na hone k brabar hon. Mai ek din qabl he Islamabad aya, kiun k apne Camp k liye kuch medicines aur food stuff lena tha. Lekin raste main jo manzer dekha uss sy meri hosh urh gai, choote choote masoom bache k jin k pairoon main chapel hai na jism par dhang k kapre na he ye bache bheek mangna jante hain na he enn ko ye pata hai k kahan sy aye hain aur kahan jana hai Charsada ho ya, sawabi, Sawat ho ya Kalam, Pehsawer ho ya Wazirsitan har jaga hazroon ke taddad main ese bache, buzrg aur khawateen hum ko baa asani dekhne ko mil jain gee. Lekin afreen hai enn ke himat par k jabh main ny enn logon sy baat kari tu enn sabh ka ek he kehna tha, k ALLAH ke raza jiss hain hy hum essi mai khush hain, Lekin jeene k liye kuch na kuch tu chahe naa, Pani tu buhat miqdar main hy lekin kisi kaam ka nahi k ess pani main tu lashain beh rahi hain gand bala hai na he pee sakte hain na he estimal kar sakte hain, ese ese areas hain jahan abh peene ka pani 40 ruppe ka mil raha hai wo bhi sirf ek glass, na he khane ko kuch hai na he pehene ko, oper sy kisi bhi qisam ke koi medicine available nahi hai. Ye sabh sorat e haal dekh kar main ny apni team k sabh sy eham member “Mansoor Ahmed” ko contact kia jo k funding k silsle main Karachi main thai aur unn ko foran Islamabad ane ko kaha k wo jo kuch bhi ban pare aur jitna bhi ban pare apne sath le kar yahan Islamabad chale aye takke hum apne tareeqe sy foran he kuch kar sake, Lekin mushkil buhat bari hai ek dafa fir sy ALLAH ny sari Pakistani qoum ko emtihan main daal dia hai. Ek dafa fir sy muslamanon ke himat, sabr aur estiqimat ko parkha jana hai, ek dafa fior sy wo jazba bedaar karma hai k jo 2005 earthquack main dekha gaya tha, hakoomat ho ya armed forces, ya koi NGO ya fir hum jese choote tabqe k groups jo apne apne toor par logon ke maddad kar rahe hain foran he kuch karma hoga, dinon main nahi balke minton main. Planning nahi karni hai sirf aur sirf action lena hai. Mujhe khushi hai k mere contact karne par mere kuch dost, azeez aur deegar sahiban ny apni apni taraf sy funds faraham karai hain, lekin mere pass ess time etna time nahi k main logon sy pese ekhata karta phiron, main nay ek dafa fir sy woohi 200 wala action plane rakha hai k jahan sy jo mile aur hasil ho foiran le kar mutasirin tak kisi bhi tarhan puhanchane kaa ehtimaam kia jai chahe ess k liye khud mujhe ya meri team k ksi member ko khud he move kiun na karne pare, kiun k mera Iman hai k agr mujeh ya mere kisi member ko ess kaam main mout bhi ajai tu ALLAH k agai surkhuru rahon gaa k ALLAH k liye aur Rasool (SAW) ke ummat k liye kaam karte howe he mout aye.
Mai ziada kia kahon, jabh tak k yahan hon koshish karon gaa k logon ko agah karon k main aur meri team kahan kahan hai aur kia kia kar rahi hai. Lekin ess time sabh sy bara masla networking ka hai, kiun k pehle he bari mushkil sy hum ek dosre sy contact kar pate thai kiun k KPK k buhat sare areas main naa he mobile network sahi kam kar raha hai na he internet access hai.
Akhir main main apne sar Pakistani bhaiun sy hath jore kar, bheek mangta hon k zaroori nahi k aap mujhe ya meri team ke help karain lekin aap loog apne apne tareeqe sy buhat kuch kar sakte hain. Etna k agr har Pakistani faisla kare k abh kuch karma hai tu yaqeen janain k hum sabh mil kar kuch he dinon main yahan k logon ko ek dafa fir sy khara karne main kamyab ho sakte hain.
Yahan main kuch cheezon ka bata sakta hon jin ke fori zaroorat enn areas main hai shayad k kuch loog ya aap ke zariye koi aur yahan k logon ke maddad kar sake.
Urgent required
Medicines (for diarrhea, food position, Stomach diseases)
Mineral woter ( in huge quantity)
Food stuff (Raw or packed)
Agr aap mai sy koi bhi meri team ka hisa banna chahta hai tu foran contact karain, aap ka taluq zindagi k kisi bhi shobai sy ho aap yahan k logon k buhat kaam asakta hain, Doctors, nurses, pera medic ke yahan ashad zaroorat hai ess k elawa volunteers ke bhi buhat buhat zaroorat hai jo kam uz kam yahan k logon k sath moujood rahe jiss sy unn ke thoda tasali tu ho k koi na koi tu un k sath ho.
Baqi tafseelat k liye ap contact kar sakte hain
Syed Adnan Ali naqvi
s_adnan_ali_naqvi@yahoo.ca
Mansoor Ahmed
mansoorahmed27@yahoo.com
92 333 3426 031
92 313 2798 085
Syeda Faryal Zehra
faryal.zehra@gmail.com
24- hours help line
+92 343 5357 247
Jazak ALLAH
Aap ka bhai,
Syed Adnan Ali Naqvi