Muhtram Doston,
Assalam O Alikum,
Awaraan,
Baluchistan main Earthquake victims ke relief work main gai hoye hamare
doston main se kuch dost wapas Karachi agaye hain aur unhon naih apne
safar aur Awaraan, Baluchistan main jari relief work kay bare main joo
kuch bhi dekha aur kia wou hum yahan aap kay sath share kar rahe hain.
Words written by a volunteer of friends team from Awaraan, Baluchistan. Pakistan.
Gizishta
month (September 2013) ke akhir main Baluchistan aur Pakistan ke degar
elaqon main Zalzale (earthquake) ke shaded jhatke mehsoos kiye gaiye,
Karachi main apne office D.H.A main bhi hum ne zamin ko larzte dekha. Al
Hamd Ul ALLAH, Karachi samet degar bare sheher holnaak tabahi se
mehfooz rahe.
Magr
Baluchistan ke District Awaraan main shaded tabahi hoi. Awaraan city
almost tabah ho chuka hay jo buildings tabahi se mehfooz rahi hain in ki
khasta haali ke sabbab koi in main rehne ko tayar nahi.
Main
aur mere kuch doston ne mil kar apne toor par Zalzale (earthquake) se
mutasira apne Balochi bhai behnon ki maddad karne ka irada kia, apne
ghar walon, aziz o aqarib, aur doston se mashora karne ke baad hum ne
intihai zaroori (most rquired items) ki list banai, jin main sb se ziada
importance peene ke saaf pani ke intizam ko di gai degar main kuch
ghizai ajnas jin main buscuits, chips, weafers waghera ko rakha gaya aur
akhir main adwiyat (Medicines) ke intizam ka fesla kia gaya.
Hum
sab doston ne apne apne toor par funds jama kiye phir hum ne apne ghar
walon, doston, padosiun (neighbors) se mulaqaten karen aur apne maqsad
se agah kiya, aur jis jis ne huamari jese bhi maddad karna chahi kari ya
jo koi cheez (relief item) hum ko de sakte thy hum ko diya. Kuch logon
ne hum ko duain bhi din aur esi main apna farz pora kiya aur bhalai
samjhi, Hamare liye yeh duain bhi buhat ahmiyat rakhti hain.
Jo saman hum ne kuch dinon main jama kia is ki tafseel kuch is tarha se hay.
Cash Amount:
Rs. 60,000/= (Sixty thousands "Pak Ruppee")
Drinking Water:
2000 liter (Mineral water bottle's)
Food Stuff:
Biscuits, Chips, Wafers etc (Worth of Rs. 10,000/= Ten Thousands only)
Medicines:
Including medicines for infant, women, general and a few of antibiotics. (Worth of Rs. 50,000/= Fifty thousands only)
Clothes etc:
Hum
log clothes waghera le kar jana nahi chahte thy mgr kuch doston ne hum
ko used kapre aur kuch general items jese Candles, match box, soap
waghera bhi diya jo hum ne bakhushi le lia aur is ko bhi imdadi saman
(Relief goods) main rakh diya.
Hamare
liye sab se mushkil kaam iss imdadi saman ko (relief goods) ko Awaraan,
Baluchistan tak le jane ka tha, pehle hum ne kuch transporter hazrat se
baat kari jin main se kuch ne tu bilkul mana kar diya aur jo hamara
imdadi saman Awaraan, Baluchistan tak le jane ke liye tayar howe unhon
ne buhat bari raqm mangi jis ke liye hamare pass funds available nahi
thy. Pher hum na kuch N.G.O walon se bhi rabita kia magar hum ko koi
tassali wala jawab nahi mila aksar N.G.O walon ko security ka problem
tha aur kuch ko Govt ne Awaraan, Baluchistan main relief work karne ki
ijazat nahi di thi. Jab hum apni tmaam koshishen kar chuke tu hum ne
Peshawar main mojood Adnan bhai se rabita kiya jo kafi arse se akaele he
mukhtalif qisam ki Imdadi aur falahi kamon main masroof hain. Adnan
bhai ne humari pori baat sun kar hum se ek din ka waqt manga aur hum ko
yaqen dilaya kay un se jo kuch bhi ho saka aur jese bhi wo hamari maddad
kar sake zaroor karen ge. Esi raat Adnan bhai se ek dafa phir rabita
howa jis per unhon naih Karachi main mojood ek transporter say baat
karne kay liye kaha. hum ne foran he rabita kia aur phir kuch tafseelat
par baten karne ke baad hum ko apna imdadi saman Awaraan, Baluchistan
tak puhanchane kay liye hami bhar li gaiy, hum ne Adnan bhai ka shukriya
ada kia aur un ko kaha kay agar wo kuch waqt nikal kar Awaraan,
Baluchistan kay zalzala zadgan ki maddad ke liye jani wali hamari imdadi
team ka hissa ban saken tu hum ko buhat khushi hogi, Adnan bhaai ne hum
ko yaqen dialaya ke wou Ashiyana Camp ki masrofiyat se kuch waqt nikal
kar hamari team main shamil hone ki pori koshish karen ge.
Karachi to Awaraan, Baluchistan via Gawadar.
Hum
ne apne toor par apne imdadi saman ko tarteb de diya tha aur Gulshan
Iqbal main mojood ek dost kay ghar main sara saman jama kiya gaya tha.
jahan truck par yeah saman lada gaya, humara irada pehle esi truck kay
sath jane ka tha magar doston aur degar logon ne mashora diya kay
Baluchistan ke security ke halat buhat kharab hain tu alag rawana hon,
pehle hum ko gawadar jana tha aur wahan say kisi bhi tarha koshish kar
kay hum ko Awaraan jana tha. Hum sab dost du (2) teams main taqseem howe
ek team ko raat ko nikalna tha dosri team ko subh rawana hona tha.
(yeah qadam bhi hifazti toor par uthaya gaya tha)
Jis
raat mere ko team A k sath rawana hona tha esi raat humari ek buhat
aziz dost, hamari Behen Faryal Zehra ka phone Canada say aaya aur unhon
nay bataya kay woh bhi hamari idmadi team ka hissa banne bht jald
Pakistan arahi hain aur yeah unhon nain Adnan Bhaai say rabita hone kay
baad kia hai. Wu kuch imdadi saman aur kuch funds bhi jama karne ki
koshish kar rahi hain. Faryal baji ke iss fone se hamari himat bhat barh
gai aur hum ne un ko bataya kay hum log tu rawana hoo rahe hain wu
Pakistan ajaen aur agle trip par hamare sath rahen.
Hum
log kisi bhi tarha say Gawadar tak tu puhanch gaiye magar yahan puhanch
kar andaza howa aur hum ko bataya gaya kay yahan say Agaye Awaraan jana
buhat mushkil kaam hay, jaga jaga security kay khatrat hain, millitiant
logon ko kidnapped kar rahe hain, mar rahe hain, imdadi saman ko
Awaraan tak nahi puhanchne de rahe hain. Hum ko hum se ziada huumare
imdadi saman ki fiker hoi magar transporter se rabita karne par pata
chala kay wu hum se pehle Gawadar puhanch chuka hay aur hamara imdadi
saman Gawadar se truck par nahi balke chooti gadiun (small cabs) se
Awaraan muntaqkhil kia jaa raha hay jis kay liye muqami logon ko munasib
raqm (Amount) de gai hai aur un ki khidmat hasil ki jaa rahi hain. Yahi
hum ne ek dafa phir Adnan bhaai se rabita kia jinhon ne hum ko muqami
Security idaron ke office jane ka mashora diya aur un ke samne sari
soorat e haal rakhne ka kaha. hum ne muqami logon se rabita kia un ko
apne yahan (gawadar) anae ka maqsad bayan kia aur yahan mojood har insan
ne hum ko yehi kaha kay aap apna Imdadi saman armed forces ke hawale
kar ke wapas karachi chale jaen kiun kay agai (Gawadar se Awaraan,
Baluchistan) tak kay halat buhat kharab hain. Magar hum apne mazboot
irade se gharon se nikle thy hum ne bhi saaf keh diya kay hum khud
Awaraan ja kar Imdadi kamon (relief work) karna chahte hain be shaak 2-3
din kay liye he sahi. iss par hamari himat aur hosle ko samne rakhte
howe kuch security walon ne hum ko kaha ke humar Team B jo karachi se
arahi thi kay humarah hum ko kisi bhi tarha Awaraan puhancha diya jae
gaa. Hum ne sajda -e- shukar ada kia aur Karachi se aane wali team B ka
intizaar karne lage. agli shaam jab Karachi se aane wale degar sathi bhi
yahan aagai tu hum ne Gawadar se Awaraan kay liye nikalne ka fesla kiya
aur muqami security kay idaron ko agah kia jis par hum ko Awaraan jane
wale aik qafle main jaga de di gai.
Gawadar to Awaraan, Baluchistan.
Gawadar
se hamara safar sham 6pm par start howa Gawadar tak tu sab kuch theek
lag raha tha magar jese he hum agai barh rahe thy hum ko halat ki
sangenin ka ahsas ho raha tha, har taraf ghup andhera aur sanata tha,
hum jis qafle main shamil thy iss main chalne wali gadiyan kabhi apni
roshinya open karti kabhi ban karti hum sab bilkul khamoosh thy aur buss
dill he dill main ALLAH se madad mang rahe thy. pata nahi kiun aik
anjana khoof dil main ata jaa raha tha kay agar kuch ghalat howa tu kia
hoga. Magar Al Hamd Ul ALLAH hum log buhat hifazat aur kheriyat kay sath
Awaraan puhanch gaiye jahan huamara istaqbal muqami hospital kay
zimedaran ne kia. yeah log District hospital Awaraan kay loog thy jin ko
hamare aane ke bare main hamare transporter sahiab ne bata diya tha.
huamra kuch saman Awaraan, Baluchistan puhanch chuka tha jabke kuch
saman raste main tha. hum ne ALLAH ka shukr ada kia aur district
hospital ki imarat jo baqi reh gai thi dakhil howe wahan ka manzar buhat
he holnak tha choota sa hospital tha jahan muqami doctors aur kuch
armed forces ke loog zalzale se mutasira logo ke maddad karte nazr arahe
thy. Hospital ke muntazimin nay hum ko jo kuch bataya uss ko sun kar
hamari ankho main sirf ansoo thy. aur hum sab dost yehi soch rahe thy ke
Karachi jese bare city se sirf kuch hours (ghanton) ke faslon per hone
kay bawajood Awaraan aik esei jagaha ka manzar pesh kar raha tha kay
jese hum log patharon kay zamane main agai hon.
Safar
ki thakan aur saman ki mukamal muntaqil ke hone tak hum sab doston ne
yahi rukne ka fesla kia aur muqami logon ke hal poche aur hospital main
muqami logon kay sath ghul mill gaiye.
Awaraan,
Baluchistan main hum ko abhi tak sab se bara masla communication ka
hay, yahan koi mobile ntwork kaam nahi kar raha naa he internet ki
saholat mojood hay jis ki wajha se humara Karachi main mojood hamare
ghar walon se rabita mumkin nahi hay buss yehi alfaz jo hum aik report
ke toor par aik register main likh rahe hain yehi hamara total
communication hay.
Raat
hum ne kisi bhi tarha guzari shadeed garmi aur habs tha. hospital main
har taraf bachon ke rone aur bemaron ke karahne ki awazen arahi thi. Aur
hum filhal khud ko kamzoor aur be bas mehsoos kar rahe thy, raat ki
wajha se Awaran ki tabahi ka andaza karna thoda mushkil tha. hum ne
fesla kia ke raat kuch aram kar kay subh taza dam ho kar apne Imdadi kam
ko start karte hain aur hum sab doston ne apne aap ko mukhtalif kamo
(relief work) ke liye teams bana kar taqsem kar lia.
To Contact with our relief team in Awaraan or to help or any kind of the assistance for earthquake victims of Awaraan, Baluchistan, Pakistan please use the following link.
http://teamashiyana.blogspot.com