With the name of ALLAH Almighty
Assalam O Alikum,
ALLAH who create us (Human) to spread his (ALLAH) name all over the world and make him (ALLAH) happy with our work for the humanity & faith on him (ALLAH).
Ramadan Kareem, We are sure that you are enjoying with the wonderful blessings of Ramadan. May ALLAH accept our Fast, Prayers & Ebada't in this Ramadan and forgive us on our mistakes of past – Ameen.
We're thankful of his excellency Mr. Prime Minister (Yusuf Raza Gilani) to invite our team at convention center Islamabad, It was a party from the Government of Pakistan to celebrate "Independence Day".
Syed Adnan Ali Naqvi, Volunteer's social worker, speech in Ashiyana Camp Waziristan with the victims of war on terror and flood. this is the part one of his speech I will try my best to share all of the parts of Adnan's speech, Insha ALLAH!
Mere Bhai, Behno, Mere bachon, mere buuzrgon Assalam O Alikum!
Mera RAB hum sabh ke hifazat farmae, hum sabh ko apni islah karne ke toufeeq ata farmae, Humari mehnat ko apni bargah mai qabool farmae, humari koshish ko kamyab farmae, Ameen.
Aap sabh ka shukria k aaj humare camp main Islami Jamhoriya Pakistan Ka sabz hilali parcham lehra raha hai jo ess bat ke zamanat hai Ke hum bhi Pakistani hain, chahe humara taluq Pakistan ke kisi bhi hisse se he kiun na ho. ALLAH Pak Pakistan ko taraqi de, aur hum sabh ko toufeeq de, Aqal de k hum ess watan ko behtar se behtar kar sakain, Ameen!
It was the 65th Independence Day of Pakistan and for Pakistani nation? We've also invited many of the officials of Pakistani govt to come on that day and spend some moment with us but none of the was available due to there meetings, parties etc.
In Roman Urdu:
Muhtram, hum ne apni pori koshish kario k hum kisi bhi politician ko, ya officer ko apne camp mai an eke dawat de takke wo ain aur humare logon k sath Azadi ka din manain, mgr esa kuch nahi howa, aksr logon k pass time he nahi tha kiun k wou sarkari taqreebat mai masroof thai jahan un ko full media coverage milni thi ya fir out of area thai, kaha aur kiun ye wohi jante hain. Koi baat nahi, ALLAH pak k fazl o karam se, Ashiyana Camp Waziristan mai bhi Pakistan ka sabz hilali parcham lehraya gaya. Pori shan o shokat se lehraya gaya, hum per threads thai hum ko dhamkiyan mil rahi thi k esa na karo wesa karo ye karo won a karo. Mger mujh ko faqar hai apne Muslim aur Pakistani hone par k ALLAH ne mujh ko hosla dia, himat de, sabr aur estiqamat ata farmai k main apne team members k sath aaj bhi Waziristan jese area mai moujod hon, jaha ka naam sun kar ek normal Pakistani ghabrata hai. ALLAH pak ka karam hai k subh 7 baje shuro hone wali azadi ke taqreeb din k 12 baje tak chali.
Ye wohi log hain jo kabhi Pakistan ka naam sunna he nahi chahte thai, ye wohi log hain jin k Pakistani hone par sare Pakistan ko doubt thai, ye wohi log hain jin ka mustakbil hum jese Pakistanis ke wjha se barbad ho gaya, aur aaj ye log dar badar ke thokare khate phir rahe hain.
Ashiyana camp mai moujood team k 1, 1 member ne apni zindagi k buhat qeemti lamhat yahan lagae hain, Hum sabh ne yahan k logon ko apna banana k lye buhat mehnat kari hai, enn sabh ko Pakistan aur Pakistani hone ka ehsas dilane k liye buhat qurbanian di hain, Hum ne Pakistan mai moujood politicians ke tarhan sirf zaban nahi chalai k hum kia kar sakte hain ya announcement nahi kari k etni imdad karni hai etna fund dena hai etc, balke hum ny apne moujodd aur available resources ko use karte howe yahan k logon k liye kaam kia hai, Hum ne ek taraf security forces ko jheela tu dosri taraf qadamat pasand logon ko bhi nimta wo bh bagair kisi hatyar k, bagair kisi behes k, bagair kisi jang k. aaj hum yahan apna ek mukam banana mai kamyab howe. Waziristan mai rehne wala har waziri ya mehsood dehshat gard nahi hai. Yahan k logoon ko Pakistan mukhalif soch humari he de hoi hai aur aaj hum un ko ess soch rakhne par kabhi dron attack ka tuhfa dete hain kabhi operation ka tuhfa.
Shayad humare politicians yea bhol jate hain k yahan rehne wale bhi ensan hain, hum bhi ye bhol jate hain k yahan rehen wale muslims hain aur Pakistani hain.
Kia kisi bhi Pakistani ko pata hai k Waziristan (North & South) mai kitne log abhi tak gharon se bahar hain aur mukhtalif camps mai rehte hain?
Kia kisi Pakistani ko ye pata hai k yahan kitne loog eftar mai sirf dates (Khajor) aur ganda pani use karte hain?
Kia kisi Pakistani ko pata hai k yahan kitne loog Sehri mai jag kar bhi bagair kuch khae piye roza rakhte hain?
Kia kisi Pakistani ko pata hai ke yahan kitni bache, khwateen, buzurg ke liye medicines tu door ke baat pera medics tak available nahi hain.
Mera dil buhat dukhta hai jubh mai apni team ke sath funds raising ke liye Peshawer, Lahore, Islamabad ya Karachi jata hon. Wahan ke rehne wale kitne be niaz hain ke un k musalman bhai bagair isi bunyadi saholat ke kin halat mai zindagi guzar rahe hain.
Rona ata hai behisi dekh kar, lacharai aur muflisi dekh kar. K buhat kuch jante howe bhi hum ankhe band kar ke baith jate hain aur yea soch lete hain k "ye humara kaam nahi hai.
Afsoos ka mukham hai k hum Ramadan kareem k pore roze rakhte hain aur Ebadat karte hain mager kia yea jante hain k "Agr humara parosi ya humara bhai ager bhooka su gaya tu ess ka bhi hisab dena hoga"
Mere bhai, hum ne buhat kuch nahi bataya, na he dikhaya na he kaha, kiun k mera eman hai mera bharosa hai ke Wo RAB jo aap ka aur mera Malik hai, jis k qabze mai humari janain hain, Jo aap ko aur mujh ko palne wala hai sabh khabar rakhta hai. Sabh janta hai. Hum gali gali bheek mangte hain, sadak par khare ho kar chanda ekhata karte hain, loog kabhi hum ko flirty kehte hain, kabhi fraud, kabhi hiqarat ke nazer se dekhte hain, mager ALLAH k fazl o karam se aaj tak mera hosla, himat kabhi nahi toota. Haan mai thak jata hon, ye dekh kar k jitni mehnat mai kar raha hon utna koi dosra Pakistani kiun nahi kar raha, Mai pareshan ho jata hon k ek din jabh mai nahi honga tu enn logon ka kon wali waris hoga. Mujh ko fiker hoti hai k yahan k loog akhir kabh take se halat ka shikar rahe gai.
Afsoos hai ese siayat karne walon par jo élan tu buhat jaldi aur buhat tezi se karte hain mager un k elanat per amal hona tu dour ke bat yad dilate howe ya tu un ke umar pori ho jati hai ya un ke mudat e siyasat / hakoomat pori ho jati hai. Koi ek bhi politician esa nahi hai jo yahan akar yahan k logon k sath ek time ke sehri kare ya eftar kare, koi ek bhi officer esa nahi hai jo yahan k logon se akar mile, yahan k yateem bachon k saron par hath rakhe. Yahan ke bewa aurton k saron per ropata rakhe. Hum sabh be his ho chuke hain, Hum sabh munafiq ho chuke hain, hum kisi had tak bad kirdar ho chuke hain. Kiun k hum sirf un logon ke taraf dekhte hain jo humare kisi na kisi tarhan kaam asakte hain. Humara dhayan society mai mojood ese logon ke taraf bilkul nahi jata jo humari maddad ke muhtaj hain.
Yad rakhiye, humari maddad se murad sirf maal ke maddad nahi. ALLAH pak hum ko emtihan mai dalta hai k humare pass kuch khane ko nahi hota, medicine nahi hoti, even drinking water tak nahi hota, mager hum ALLAH he ka naam le kar subh karte hain aur shaam karte hain. Kiun k jo hum kar sakte hain hum karte hain baqi dena RAB ka kaam hai.
Aaj ke meri speech ess liye nahi k yahan Ashiyana camp mai kaam karne wale volunteer's aur rehne wale mere bhai behen, buzrg aur bachon k liye fir se chanda muhim shuru karon ya bheek mangon, Main mangta hon mangoon gaa aur mangta rahon gaa, jabh tak Waziristan mai meri zaroorat hai maiyahan rahon gaa yahan k baad aur bhi Pakistan mai jahan kahin meri zaroorat hoi mai jaon gaa, lachar, yateem logon ka sath don gaa kuch nahi kar sakta tu un k sath un k jesa ban k baith tu sakta hon takke un ko ye ehsas tu rahe k humara ek bhai, ek beta humare sath betha hai. Meri team ka eke k member, eke k sathi jo yahan hain, aur jo humare sath kisi bhi time rahe hain, yaw o jo humara sath choor gae, un ko yaqeen dilate hon k aap ka kaam, aap ke khudmat, aap ke mehnat bilkul zaya nahi hoi. Jiss ka sabot 14th august ko hone wali taqreeb hai, hum last 2 years se ess k liye mehnat kar rahe thai k humare camp par aur dosre camps par Pakistan ka sabz hilali parcham lehraya jae, aur aaj hum kamyab ho gai. ALLAH pak ny hum ko surkhuru kia, Hum ko kamyab kia. Hum ne logon ke sochon ko badalna shuru kar dia hai, aajyahan 800log moujood hain kal yahan 8000 loog honge aur insha ALLAH ek din sara Waziristan aur FATA Pakistan k sabz hilali parcham se bhara howa hoga. Yahan k rehne wali bhi Pakistani honge aur ess mulk ke taraqi k liye kaam kare ga, apna hisa le ge. Aur yeah mera eman hai k yahan k loog bhi ek din sabh Pakistaniun mai sabh se agai honge, aaj yahan rehne wale mere bhai, behno aur bachon par jo Drone urte phirte hain kal yehi Pakistani Insha ALLAH apne areas mai Dron bana kar Pakistan ka dafa kare ge. Ye koi khwab nahi hai. Ye koi imagination bhi nahi hai balke ye wo haqeeqat hai jo buhat jald mujh ko nazer arahi hai. Hum ko sirf etna karma hai k yahan k logon ko Pakistan ke taraqi k liye tayar kare, yahan k logon mai Ielm ke roshni phelain, yahan k logon ko jaded dunya ka tasawur dain. Islam ka, Jihad ka jo falsafa yahan k logon mai phelaya gaya uss ke tasheeh karain, Islam mai Jihad kia hai uss ko batain.
Mai buhat dinon se mukhtalif Alim logon se contact karne ke koshish kar raha hon k kam uz kam wo yahan aye, aur yahan k logon main Islam ka sahi falsafa phelain, yahan k logon ko Islam ke sahi soorat dikhain, Mager kia khaas aur kia aam yahan koi ane ko tayar he nahi hota. Chand noujawan jo bari mushkil se yahan ate hain wo bhi yahan k halat se ghabra ka jaldi chale jate hain, akhir mai agr reh jata hai tu akeela Adnan aur yahan k bhai behen aur mere masoom bache.
Muhtram bhai aur behnon, mai buhat din se soch raha tha k ek setalite phone lon, laptop lon, mobile phone jo jaded hon lon take yahan se baqi dunya se contact asan rahe, mager jabh bhi budget banata hon tu etna ziada hota hai k yahan mere buhat sare bachon k kapre (clotes) ajain, meri behno bhai k liye medicines aur khane peen eke ashia khareed sakon. Buss yehi soch kar mai enn lawazimat ko bhol jata hon, kiun k na he Adnan aur na he Ashiyana camp kisi bhi qisam keg air zaroori expensives ka mutahamil ho sakta hai. Mere liye yahan rehne wale afrad, yahan k loog, yahan k bache important hain na k deegar ashia jo k sirf contacts k liye kaam asakae.
Mere bhai, behno, aur mere bachon, Mujh se buhat sare sawal kiye jate hain jo yahan rehne wale log karte hain aur jo hum ko jante hain wok arte hain. Aaj mai aap se ek personal baat share kar raha hon. ALLAH Pak ny mujh ko bhi aap jesi 2 buhat muhabat karne wali behnain ata farmai hain. Un mai se ek behen ka bacha jo mera bhanja howa uss ka naam Zain hai (Zain ul Abideen) Karachi mai rehta hai. Last year class 9th ka exams dia hai aur abh class 10th mai par raha hai. Mera buhat qareeb raha hai. ALLAH k fazl o karam se yahan bhi 1 dafa a chukka hai. Mujh se buhat sawal pochta hai. Wo jo pochta hai ho sakta hai k us ka andaz kuch aur ho mgr ye wohi sawalat hote hain jo k akser log humare volunteer's se pochte hain ya khud mujh se pochte hain.
Zain k sawalat arz karta hon aur un k jawabat jo main e uss ko diye hain wo bhi arz karta hon.
· Mama ye jo aap par khidmat e khalaq ka bhoot sawar hai ye kabh khatam hoga? Kabh take se pagalon ke tarhan wahan raho ge?
Mera jawab: Beta, Khidmat e khalaq kisi jin ya bhoot ka naam nahi, ye ek jazba hai jo har kisi mai nahi hota. Agr tumhari khala k sath Margala tower wala hidsa nahi hota tu aaj mai bhi ess duya ke howa rehta. Uss hadise ne meri dunya badal de hai. Aur mujh ko aaj yahan ess moukam par la kar khara kar dia hai jahan se meri wapsi sirf ek he sorat mai mumkin hai k yahan k loog bhi Karachi, Lahore ya kisi bhi Pakistani city mai rehne wale logon ke tarhan jeene k qabil ho jae.
· Mama, aap salon se ese areas mai rehto ho jahan phone bhi nahi, light nahi, bister nahi koi saholat nahi, ulta aap ki life ko khatra rehta hai? Kia ye khud pe zulm nahi k jan bojh kar khud ko mushkil mai dalna?
Mera Jawab: Ye zaroor hai k yahan asaihen tu door ke baat hai ulta sohiliyat e zindagi tak mayasar nahi. Ess liye yahan rehne ka maza he kuch aur ha, har roz kuch na kuch sikhne ko milta hai aur jabh yahan k masoom bachon k chehron ko dekhta hon tu dil he nahi karta yahan se jane kaa. Rahi khud ko mushkil mai dalna tu kia yahan k log enn mushkil halat mai nahi rehte? Yeh bhi tu rehte hain. Mai bhi rehta hon. Mai konsa mustaqil yahan rehta hon balke kuch din aur uss k bad ALLAH ne chaha tu halat sahi ho jain ge aur mai bhi apne gher ajaon gaa. Fir aap logon k sath zindagi guzaron gaa. Insha ALLAH!
· Mama, aap ko ye sabh kar k akhir milta kia hai, na he koi media coverage, na he koi official honor. Ulta kisi na mushkil mai pare rehte ho, kabhi funds ka masla kabhi jaan ka masla. (in short har waqt tu rot rehte ho).
Mera jawab: Mere beta, agr mujh ko kuch hasil karma hota tu 2005 se aaj tak buhat kuch hasil kar leta, shayad ek buhat bari or well reputable N.G.O tu bana he leta. Islamabad mai mere pass bhi ek banglow hota, ek achi gari hoti, bare logon mai uthna bethna hota. Mager ye sabh hasil kar k mujh ko kia lena? Mera mustaqbil tum ho, yahan k bache hain, jo aaj nahi tu ka less mulk ko chalane wale hain, yahan k logon k liye jeena aur enn k sath kaam karna he meri zindagi ka maqsad hai. Jiss tarhan tum wahan ek school mai parh rahe ho yahan k bache bhi esi tarhan school jae, mai un k hathon mai books n bags dekhna chahta hon, school uniform dekhna chahta hon. Yehi milna hai mujh ko. Rahi media ke baat, tu mere bache, Media kia hai, mere liye sasti shohrat hasil karne ka ek asan tareen zarya, jahan se mai famous tu ho jaon gaa mgr ess chakar mai parh kar mai apne maqsad se hat jaon gaa. Haan fund raising k liye media kaam asakta hai. Mgr mai kia karon k yahan k logon k sath commintment kar betha hon k mai dosri N.G.O's ya organizations ke tarhan enn logon ke Videos, ya photages nahi bnao gaa aur un ke qeemat dunya se wasool karon gaa. Yeah kaam haq ka kaam hai, ALLAH ka kaam hai, Azmaish ati hai jesa tum ne kaha k funds ka rona, tu ALLAH pak hal bhi karwa dete hain. Nahi tu ALLAH ne sabr ata kara hai aur yehi sabr humare kaam ata hai.
To be continue : جاری ہے
To contact with the Syed Adnan Ali Naqvi & Team
+92 333 342 6031
+92 323 846 6089
+92 313 279 8085
E-mail: s_adnan_ali_naqvi@yahoo.ca
جزاک الله