This blog is about the Volunteers activities, personal experience of Syed Adnan Ali Naqvi and other volunteers. We are a group of volunteers working since October 2005 (After Earthquake in Pakistan).
پیر, دسمبر 14, 2009
Adnan's Request
Assalam O Alikum Doston,
Aaj meri aap sy mulaqat koi speech nahi hy balke yahan k halat sy jo agahi mujhe hasil hy uss ko aap logon tak puhchana he maqsad hy.
Waziristan ek buhat bari afat sy guzar raha hy, paa nahi Pakistan mai rehne wale logon mai etni bai hissi kahan sy agai hy k ye loog jo yahan sardi aur bhook aflas sy pareshan hain enn ke maddad tu dor kebat hy enn k hal ehwal bhi lene wala koi nahi hy. Pichle dino jabh mai Karachi aur Lahore gaya that u jitnebhi tv channel dekh, jitney bhi news papers parhe unn sabh mai sirf aur sirf mulk ke siyasat ke he batain theen, mgr esse logon ka kia jo abh sardi aur bhook aflas sy guzar rahe hain, jinn logon k room mai Ac ya room heaters lage howe hain un k liye batain karna nisbatan asan aur sehal hota hy, briefing lena bhi koi buhat mushaqat wala kaam nahi, parliament k ejlason mai shirkat karna bhi koi buhat bara kaam nah, kiunk har koi janta hy k parliament k ejlason mai humar umra kia kia gul khilate hain, mgr kia abhi tak kisi bhi political party ya social organization k logon ny yahan k logon k halat janne ke koshish kari hy? Har giz nahi.. haan agr koshish karte hain tu sirf etni k yahan k logon ke footage bana dain, yahan k logon ke videos bana dain ek adh camp mai visit kar lainaur yehi sabh dunya ko dikha kar apna single tone ka raag “k Pakistan shaded dehshat gardi ka shikar hy” alapte rahain. Tuff hy esse logon par jo apne aap ko logon ka qadim tu kehte hain mgr khidmat hoti kia hy ess o wo jante tak nahi. Yahan halat etne ghambeer hain k agr sahi sahi batana shuru kia jai tu pore mulk mai ek soug ka alam ho jana chahiye, mgr esa nahi hy. Kiun k hum sabh ess qadar dheet ho chuke hain k na tu hum kabhi khud sy kuch janna chahty hain aur na he agr koi batana chahe tu uss ke sunna chahte hain, hum sirf apni he kehna, sunna aur samjhna chahte hain. Kia yehi hy Islamic Republic Of Pakistan ka wou khayal jo Allama Iqbal dy gai aur Jinnah sahib ny uss ko pora kia? Kia yehi wou Pakistan hy jahan sirf aur sirf Islam aur musilms logon ko unn ke aqdar, riwayat aur jazbat k hisab sy jeene ka haq atta kia jana tha? Nahi hum ese Pakistan ka sirf tasawur he kar sakte hain kiun k haqeeqat es sy kahi ziada talq aur gukhi hy.
Mere doston, buhat takleef hoti hy jabh humar akoi apna humari ankhon k samne hum sy juda ho ai, jis ke dawa k liye humare pass pese nah on, jiss ko sardi sy mehfooz rakhne k liye humare pass garm kapre nah on, jis ko bhook sy bachane k liye humare pass kuch khane ko na ho. Ye buaht he dukh aur gira howa mukham hota hy, aur esse he moukham par jane k baad mujh jese well educated, aur jaded dunya sy agah ensan ka dimag tak ghoom jata hy, aur shayad ese he waqt hum apnoon k liye khud kisi bhi had sy guzarne k liye tayyar ho jate hain.
Loog kehte hain k Wazirstan mai operation khatam ho gaya hy, ALLAH he jane esse logon ke source of knowledge kia hy, kiun k Operation tu abhi tak sawat mai bhi khatam nahi howa. Pakistan Armey tu apna farz buhat he ehsan tareqe sy ada kar rahi hy , mgr abh jinn ko agai barh k kam karna chahiye, wo hain humare politicicans, social organizations aur khud humari awam wo pata nahi kinn andheron mai gum ho chuke hain. Esse andhere jahan sirf aur sirf apni jaibon ka khayal hy, apni kursiun ka khayal hy, apni maqasid ka khayal hy.
Wazirsitan k buaht sare areas abh matti ka dhair ban chuke hain, buhatr sare areas mai abh tu basic zarooriyat ke cehzain tak moujod nahi kiun k jo kuch bhi thaw o es operation ke nazer ho chukka hy, sabh kuch esse barbad howa hy k jesa Pakistan k dushman chahte thy aur chah rahe hain rahi sahi kasar abh Drone ny pori kar deni hai. ALLAH jane kabh kahan kis basti par achanak ek fazai hamla ho aur porri ke pori basti barbad ho jai. Na koi makkan bacha hy aur na he koi dukan. Essa lagta hy k koi jinnati makhlooq akar yahan k areas ko tehes nehes kar gai hy. Khud tank esa ujra howa hy tu jane agai k areas ka kia hasher howa hoga.
Ashiyana camp (waziristan) ma abhi tak 8 esse shaded zakmi lai jaa chuke hain k jin ke halat buhat ziada khaab hy, humare pass tu abhi tak proper operation theater tak nahi hy. Hum ese logon ka elaj kese karain aur en ko kahan ly jain, Ek zakhmi ko hum ny galati sy peshawer bheja tha uss gareb ka elaj tu kia hota ulta us sy etni inquaires kari gain hain k wo gareeb tu adhe elaj mai he dam toud gaya. Abh ese halat mai yahan k log agr anit govt batain na karain tu aur kia karain.
Janab e wala yahan k loog jitney muhib e watan hain shayad he kisi aur area k hon, aur yahan k logon ke Pakistan sy muhabbat sirf aur sirf Islam ke wajha sy hy agr thoda dair k liye bhi Pakistan sy Islam ko alag kar dia jai tu hum sabh ko achi tarhan andaza ho sakta hy k ye log kia kirdar ada kar sakte hain.
To be cont....
سبسکرائب کریں در:
اشاعتیں (Atom)